Khulta nahi hai haal kisi par kahe bagair!! | |
khulataa nahin hai haal kisi par kahe baGair
par dil kii jaan lete hain dilbar kahe baGair
main kyuuN-kar kahuuN tum aao ki dil ki kashish se vo
aaye.Nge dau.Re aap mere ghar kahe baGair
kyaa taab kyaa majaal hamaari ki bosaa lein
lab ko tumhaare lab se milaa-kar kahe baGair
[bosaa=kiss]
bedard tuu sune naa sune lek dard-e-dil
rahataa nahiin hai aashiq-e-muztar kahe baGair
[lek=but (lekin); muzatar=anxious]
taqdiir ke sivaa nahiin milataa kahiin se bhii
dilavaataa ai "Zafar" hai muqaddar kahe baGair
__________________ Na tha kuch tu khuda tha,
Na kuch hota tu Khuda hota,
Daboya Mujh ko hone ne,
Na hota main tu Kya hota! |