Zabt kerna na kabhi zabt mai wehshat kerna | | Zabt kerna na kabhi zabt mai wehshat kerna Itna aasaan bhi nahee tujh se muhabbat kerna Tujh se kehne ki koi baat na kerna tujh sey Ganj-e-tanhaaii mai bas khud ko alamat kernaa Ik bagooley ki tarah dhoondhte phirna tujh ko Ro baroo ho to na shikwa na shikayet kernaa Hum gadayaan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn Umr bhar kaar nadamat pe nadamat kerna Ai aseer-e-qafas-e-seher ana dekh aa ker Kitna mushkil hai tere sheher se hijrat kerna Kaam aisa koi mushkil to nahee hai Khavar Magar ik dast-e-hina rang pe beiyet kerna
__________________ Zafar
Last edited by Aisha Baig; 05-14-2008 at 09:53 PM.
|