It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~!~ collecton of zuhaib ~!~ within the Ashaar - Misc forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; udaas Moasam sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao dukhon main ham to gum sum hain kabhi milnay chalay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [11] |
|
#101
| |||||
| |||||
| udaas Moasam sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao dukhon main ham to gum sum hain kabhi milnay chalay aao tumharay baad kesi ronaqain is dil ki nagri main sabhi charagh madham hain kabhi milnay chalay aao tumharay paas to hon gi zamanay bher ki sab khushian hamaray paas to gham hain kabhi milnay chalay aao tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai nigahain bhi to purnam hain kabhi milnay chalay aao lagay hain zakham kitnay bay baha dil pay mohabbat main tumharay lafz merham hain kabhi milnay chalay aao bohat hamderd hain yun to hamaray bhi zamanay main mager phir bhi bohat kam hain kabhi milnay chalay aao yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhtay rasta k khushian bhi to berham hain kabhi milnay chalay aao na janay kab yeh "ade" haar day saanson ki bazi ko isay lahaq tere gham hain kabhi milnay chlay aao |
|
#102
| |||||
| |||||
| aap ki collection tou bahot achi hai mashaAllah magar Mixed threads ke hamara Others section hai main ye thread wahan move kar rahi hon....yahan sirf Ghazlain post ki jati hain.....khusg rahiye |
|
#103
| |||||
| |||||
| very nice sharing keep it up
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |
|
#105
| |||||
| |||||
| Koi to hota? Main jis kay dil ki kitab banta Main jis ki chahat ka khawab banta Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad Ban kar azaab banta Koi to hota? Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota Koi to hota? Jo mujh ko dil ka karar kehta Ragoo ka apni fishar kehta Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta Koi to hota? Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay Koi to hota? Main jis kay itna qareeb hota Na paas koi raqeeb hota Main tanha uss ka habbib hota Yeh silsila bhi ajeeb hota Koi to hota? Kash k Koi to hota? ![]() Last edited by singer_zuhaib; 07-27-2006 at 05:53 PM. |
|
#106
| |||||
| |||||
| Tum Gaye Ghum Nahin ... tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen dard hoga dawa ab koi humdum naheen gulistan de diye to ne in kharon ko mere hisse main to ek shabnam naheen dard hoga dawa ab koi humdum naheen humsafar hum se ab chor de umeedain humsafar hum se ab chor de umeedain saath hum kia denge hum main ab dum naheen dard hoga dawa ab koi humdum naheen tum se shikwa karain yaar hum kis tarhan tum to tum hi rahe hum magar hum naheen dard hoga dawa ab koi humdum naheen kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila mujh ko sab kuch mila bas mile tum naheen tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen dard hoga dawa ab koi humdum naheen ![]() |
|
#107
| |||||
| |||||
| Chaloo Aab Faisla Karlo ... nasha tha woh jawani ka khumar utra to yeh jana mohabat yon nahe hoti jo mai nai khuwab dekhay thay ab in ki kirchiyan hi hain or zakhmi paon hain meray tumhara hum qadam rehna mujhy mumkin nahe lagta tumharay or meray darmiyan koi dewar hai shayd YEH hargiz gir nahe sakti tumhain woh log pyary hain jo mujhy ko zahar latgy hain mujhy tum ab bhi pyaray ho mager ab moor aisa hai jahan itnay mukhalif hain tumhain yeh to pata ho ga mukhaluf simt chlnay say kabhi manzil nahe milti to phir kiyon waqt khootay ho chaloo ab faisla karlo ..... ![]() Last edited by singer_zuhaib; 07-27-2006 at 06:19 PM. |
|
#108
| |||||
| |||||
| Bikhar gaye sab taane bane rishtey daari toot gayi, Apney paraaye rooth gaye taqdeer se yaari toot gayi, Ye hai tera woh hai mera bhool ja kissey maazi ke, Palta hai taqdeer ne paasa daawa daari toot gayi, Jo bhi mile taqdeer se tujh ko, us pe kana'at kar lena, Apna apna daana hai ab saajhe daari toot gayi, Aandhi aayi gulshan ujra patoon ki auqaat hai kya, Jis pe tere tinke thhe who shaakh bechari toot gayi, Aaj hamarey dil ka safeena aa k bhanwar me doob gaya, Yaas ne apne paaoun pasarey aas hamari toot gayi, Khail hai saarey kismet ke "SHAIDA" shikwa thik nahi, Tere daawe jhuthe nikle teri baari toot gayi. Written by Mohd. Wali "SHAIDA" Meerut |