some ashAAr...., | | Ager Ansu baha deta to uskay pass kya rehta ?
Wo mujh ko HOsla deta to uskay pass kya rehta ?
Meri yadoon nay he ub tak usay abad rakha hay,,
Woh mujh ko bhi bhula deta to us k paas kya rehta ??
******************** ******************** ****
Ya Rab Zamana' Muj Ko Mitata Hai Kis Liye
Loh-e-Jahan pe Harf-e-Muqarar Nahi Hoon Main !
******************** ******************** *****
Aaina samnay rakhain tou nazar tu aaye
Tujh say jo baat chupani ho kaha kis say karain
******************** ******************** **** |