[1]
Insaa.n apne aap me.n majboor hai bohat
Koi nahi.n hai bewafaa afsos mat karo
[2]
Ham se shermaata hai aainaa muqaabil aaker
Bewafaa hai.n na munaafiq na adaakaar hai.n hum
[3]
Hum bawafaa the is liye nazro.n se gir gai
Shaayad tumai.n talaash kisii bewafaa kii thii
[4]
Dil liyaa jis ne bewafaa_ii kii
Rasm hai kyaa ye dil-rubaa_ii kii