Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
---------------------------
EK CHEHRA
Koi dhundala sa ek chehra meri aankhon mein rehta hay
koi bhatka sa ek jugnoo meray khawabonn mein rehta hay
ek manos si awaz mujhey soney nehi deti
koi uljha sa ek jumla meri yadoon mei rehta hay
koi ehsas mehka sa meri sansoon mei rehta hay
mujhey khud per nehi qaboo na mei kuch bool sakta hoon
asar yeh kis k lafzoon ka meri batoon mei rehta hay
hay dil bhi pershan ehsas bhi soochon ki uljhen bhi
yeh kis ki aankh ka aaNSoo meri aankh mei rehta hay................
------------------------------------------------------
Hamesha
Hamesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay alvi
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
---------------------------------------
Dur Hoo Gaye
Mere Dil Ke Sab Arman Chakna Chor Hoo Gaye
Sab Apne Mujh Se Dur Hoo Hoo Gaye
Sath Dete Rahe Hum Os Ka Bohat Dur Tak
Bewafa Ke Nam Se Phir Bhi Hum Mashoor Hoo Gaye
Mohabbat Kaya Ke Ek Juram Hi Kar Liya Hum Ne
Imtihane Ishaq Mei Hum Raswa Zaroor Hoo Gaye
Maar Gaya Tu Mere Qabir Par Aa Kar Roo Lena
Jane Kyun Zinda Hoon Aur Jane Kyun Vo Mujh Se Dur Hoo Gaye
------------------------------
Dekhtaye Hain
Chal Aaj phir Ghalti Kar ke DEKHTE HAIN
Aaj phir US per Aaetabar Kar Ke DEKHTE HAIN
US Ke Dil Main Chahat Hi Nahi Hai
Aaj Phir US Se Hath Mila Kar DEKHTE HAIN
Bare Mehfil Main Ota Di Ungli Meri Taraf
Aaj US Ka Ilzam Le Kar DEKHTE HAIN
Wo Shakas Kayi Rangon Main Dhal Gya Ho Ga
Aaj US Ki Mehfil Main Ja Kar DEKHTE HAIN
Dowa Se Har Chez Milti Hai GUDA Se
Tujhe Mang Kar GUDA Se DEKHTE HAIN
Sona Hai GHULAB Main Kante Bhi Hote Hain
Aaj GHULAB Ko Cho Kar Bhi DEKHTE HAIN
Wo Shakas Tera Nahi Hai FAZI
Aaj Yeah DIL Ko Samjha Kar DEKHTE HAIN