mere saath tum bhii duaa karo uoon kisii ke haq main buraa na ho
kaheen aur ho na ye haadasaa koi raaste main judaa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho terii aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo charaag ban ke jalaa na ho
isii ehatiyaat main main rahaa, isii ehatiyaat main vo rahaa
vo kahaa.N kahaa.N mere saath hai kisii aur ko ye pataa na ho