It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
User Name: Password:
Urdu Poetry/Shayari Forum

Urdu Poetry Forum

Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum

 


Sleepless

This is a discussion on Sleepless within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; .Q: Aap ka mukamal naam, tareekh e paidaaish aur jaa e paidaish ? A: Fahed Khalid ... 19th August 1978 ...


Go Back   Urdu Poetry/Shayari Forum > Urdu Poetry Forum News, Update & Help > Updates & Help > Announcements

Video Photo Books Games Sites Register Groups FAQ Calendar Mark Forums Read Chat

Notices

Rate This Thread - Sleepless.
(0)
Thread Rating: 0 votes, average.

Reply
 
Thread Tools
  #1  
Old 01-23-2005, 11:34 AM
Ankaboot's Avatar
aka Bhoot
 
Join Date: Feb 2004
Location: Chand nagar
Posts: 90,297

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Blog Entries: 1
Thanks: 162
Thanked 257 Times in 123 Posts
Nominated 21 Times in 8 Posts
Nominated TOTW/F/M Award(s): 1
Rep Power: 1000
Ankaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond repute
Default Sleepless

.Q: Aap ka mukamal naam, tareekh e paidaaish aur jaa e paidaish ?
A: Fahed Khalid ... 19th August 1978 .. Jaaye Paydaish "Saudia / Riyadh" ..


Q:Aap ka naam kis nay rakha tha... aur iss naam kay mainee kaya hain ?

A:Rakhaa mera Grand Father nay thaa ... aur Matlab iss ka hay Lapord (Cheetah)

Q:Shairi kab shuroo kee aap nay, aap nay jo pehli nazam likhi woh kaya thi aur jo pehli ghazal thee woh bhi sunaiyeah

Youn to Bachpan say hee mizaaj Shairaana thaa lekin Baqaaida Shairi Yahan HG pay aanay kay baad hee shuru ki ... Yahaan aanay say pehlay sirf aik nazam likhi thee ... aur pehli ghazal bhi yahaan aa kay hee likhi ... Dono paish-e-khidmat hain ..



Q:Woh koun say moharkat thai jin ke wajaah say shairi shuro kee ?

Muharakaat kuch khaas nahee thay ... bass tabiyat kuch shairaana paayi hay .. aur aik adad dard-mand dil rakhtaa hoon .. Bass here i am ...

Q:Koun say shayer ka qalaam sab say ziada pasand hai ?

Faiz Sahab aur Insha ji ..

Q:Apni woh nazam ya ghazal jo aap ko sab say achi lagti hai.. jo sab say ziada pasand hai aap ko.

A: Waisay to mujhay apni nazmain kuch ziyada pasand nahee aateen .. lekin ye aik nazam mujhay pasand hay .. wajaah ye kay iss kay Khayaal say kuch bohat achi yaadain waabasta hain .. so aap kikhidmat main paish hay ..

Q:
Apni pasanda nazam, ghazal aur aik shair jo sab say ziada pasand hai aap ko woh humain bhi sunaiyeah.


Ghazal :

Her’Chund Sahaara hay, teray piyaar ka dil ko …
Rehta hay mager aik ajab Khof sa dil ko …

Wo khaab kay Daikha na kabhi, lay uraa neendain ..
Wo dard kay , uthaa na kabhi , khaa gaya dil ko …

Yaa saans ka lainaa bhi Guzar jaana hay jee say ..
Yaa Maarka-e-ishq bhi ik khail thaa dil ko ..

Wo aayen to hairaan, Wo jaayen to Paraishaan …
Yaa Rab koi Samjhaaye , ye kyaa ho gaya dil ko ..


Nazam :


Wo Chaand Chehraa Sitaara aankhain …
(you can find this on SOS selected poetry section .. Nazam of the Day .. 10/04/2004)


Shair :


Meray Waastay teray naam par koi harf aaye nahee nahee ..
Mujhay khof-e-duniyaa nahee magar, Meray Roo-ba-Roo teri zaat hay ..

Q:Ghazal aur Nazam mein koun see sinf ziada achi lagti hai aur kiyon, ho sakay tu in dono sinfoon mein jis ko bhi aap tarjeeh daitay hain uss ke wajoohaat pay roshni daliyeah.

Ager aap baat kar rahay hain likhnay ki to mujhay Nazam likhna ziyada acha lagta hay …

Wajah us ski ye hay kay Nazam main Bandish Ghazal ki nisbat bohat kam hoti hay … Ghazal likh kay bhi lutf to bay-shak aata hay .. lekin Ghazal likhnay kay liye mujhay khaas tor par Shairi karni parti hay .. jab kay Nazam ka bass khayaal sochna hotaa hay .. khud ba khud khayaalaat ilfaaz ka roop laitay jaatay hain … Bohat haseen kaifiyat hoti hay wo ..


Zindagi mein manziloon ke ehmiyaat kaya hai aap ke nazar mein.. ?

Meray khayaal main humaaray haath main itna hee hay kay hum manzilon ka tai’yun karain aur unhain haasil karnay ki koshish karain … lekin kiss ka safar kissay kahaan lay gaaye .. ye koi nahee jaanta …

Iss liye main nay humaisha Manzil par nigaah rakhnay kay bajaaye Raastay ko ziyada tawajja dee hay ..

Younhi chaltay chaltay kabhi youn bhi hoota hai koi mill jata hai.. bichar jata hai.. uss ik shakhs kay baray mein kuch bataiyeah.. jo younhi milla bichar gaya.. par abhi tulak un lamhoon ke khushboo sansoon say na gaiee.. !

hmmm .. aap nay kahaa aik shakhs kay baaray main bataaoun .. lekin kiss aik shakhs kay baaray main ?? bayshumaar log aisay milay jinn say mil kar meri shakhsiyat ko aik naya Rukh milaa … Bohat say logon say bohat tuhfay milay .. kabhi Gham kay to kabhi Ghum-gusaari kay … kisi ko bhi nazar andaaz nahee kiyaa jaa sakta .. aur na hee kisi ko mutaaz kar sakta hoon sab say ..


Dais say door pardais mein rehtay hain aap.. dais ke un beetay dinoon ke yaad tu aati hoo gi.. kaya kafiyaat hooti hai.. aisay mein kaya sochtay hain.. kuch hum ko bhi bataiyeah ... !!

Kuch bay-had qeemti yaadain bhi hain jinn kay tasawur say hee dil shadaab ho jaata hay .. lekin saath hee kuch aisi talkh yaadain bhi hain .. jinn ko sochtay howay ye khayaal aata hay kay aaj jahaan par hoon, waheen par honay ka haq-daar hoon …


• kabhi kabhi aisa hoota hai kuch likhtay hain... baray chaoo say.. baray dil say.. magar woh pazeeraiyee nahi milti... aisay mein kaisa lagta hai.. !!
• Chaliyeah yeah bhi bataiyeah.. jab aap kuch likhtay hain.. aur loug bohat ziada pasand kartay hain... tavaqoo say kaheen ziada.... tu kaisa mehsoos hota hai ?

Inn dono sawaalat ka aik hee jawaab hay meray paaas ..  .. meri tanqeed ki aadat say to aap waaqif hee hon gay … abb wo tanqeed sirf doosron kay liye hee nahee .. apnay liye bhi istamaal kartaa hoon .. kuch likhta hoon to mujhay pata hota hay kay kaisa likhaa hay .. bohat kam aisa howaa hay kay kisi nazam say tawaqu’aat kuch aur hoon aur doston ka response kuch aur milaa ho … haan kuch khaas dost aisay hain jinn ko meri buraayi karnay main hee maza aata hay .. unn ki baat alag hay …


Shairi kay muqabloon mein shirkat kartay rehtay hain aap.. pehi baar aap nay HallaGulla pay shairi share kee.. yeah bataiyeah HallaGulla mein ab tuk woh koun see nazam ya ghazal hai (kissi aur ki likhi hoi) jis nay bohat ziada mutasir kiya hoo aur yaad reh gai hoo.. woh nazam ya ghazal share bhi kijiyeah aur yeah bhi bataiyeah kay kiyon achi lagi.. ?

HG pay Allah kay fazal say bohat hee behtreen Shair khawaateen ‘O’Hazrat mojood hain .. bay-shumaar nazmain Ghazlain likhi gayeen hain aur parhee hain main nay … Pasand bhi bohat see aayeen … lekin ager sirf aur sirf aik tak mehdood honaa hay to .. Atif bhai ki .. Adhoori Koshishain mujhay bohat pasand hay … yaad to nahee hay abhi lekin .. uss nazam ko parh kar aisaa laga kay jaisay meray dil ka haal kisi aur nay bayaan kar diyaa ho .


Lagay hathoon yeah bhi bataiyeah kay HallaGulla pay koun say shair aur koun see shaira ka kalaam batoor e khaas parhtay hain aur acha lagta hai.. !

Koi aik naam to nahee hay .. Shayeron main … Atif bhai, Basit bhai, Danish bhai, Tahir bhai, Inam bhai, Sof Voice Bhai .. kay naam khaas tor par ehem hain jinn kay shairi ko khasoosi tor par parhta hoon …

Shairaaoun main .. Kanwal ji, Isha ji , Anchal ji ,Madiha ji , Shagufta ji , Bina ji , aur Tara ji ki poetry attract karti hay …

Aur baaqi sab bhi Bohat achay hain …


Insaan sada seekhta rehta hai.. yeah bataiyeah aapnay aas pass kin shairoon say seekha aap nay aur kis kis say kaya kaya seekha hai ab tuk ?

Sab say bohat kuch seekhnay ko milaa … lekin yahaan ye baat ajeeb see hay lekin haqeeqat yehi hay .. kay humaaray jitney baray baray shair hain jo bohat acha likhtay hain .. unn say ziyada unn logon say seekhnay ko milaa jo nisbatan acha nahee likh saktay … jinn kay kalaam main ghaltiyaan hoti hain .. unn ki shairi ko parh kay bohat kuch seekhnay ko milaa kay kinn khaamiyon ki waja say kyaa kyaa kharaabiyaan paidaa ho sakti hain Shairi main ..



Aik saal mein aap kaya samajhtay hain aap ke apni shairi mein kitna nikhaar aya hai.. aur woh koun see kamiyaan hai jo aap samajhtay hain kay aabhi aap ko un pay qaboo pana hai ?

Bila shubaa yahan jo kuch seekhnay ko milaa uss say farq to bohat para hay shairi main .. Kami meri shairi main ye hay kay main Shairi ko bator Shairi nahee likhta .. naa hee kabhi khaas tor say baith kar kisi khayaal ko socha .. naa hee ilfaaz ikathay kiye kuch likhnay kay … bass jo dil say awaaz nikli ussay saada say ilfaaz main bayaan kar diyaa … shayed issi liye kuch mustaqil mizzaji nahee hay shairi main …

HallaGulla aik Virtual Home hai hum sab ka.. aap iss kay baray mein kaya sochtay hain.. aik saal say aap HallaGulla kay sath hain ... yeah bataiyeah woh koun koun see kamiyaan rahi hain jin ko agar door kar liya jaye tu mazeed behtari paida kee jaa sakti hai.. youn samjhiyeah keh agar aap HallaGulla kay Administrator hotay tu mazeed behtari kay liyeah kaya kartay ?

Meray khayal main aik behtreen jagah hay apnay khayaalaat kay izhaar kay liye .. jahaan aap ki baat ko sunnay waalay bhi aap hee ki tarhaa sochtay hain .. aur bohat kuch seekhnay aur sikhaanay kay liye aik behtreen plateform hay …

Aur ye baat aap nay khoob kahi kay Administrator hotaa to kyaa karta … … Bhai ji .. meray khayaal main jahaan kaheen kami nazar aayi mujhay .. main nay ussay poora karnay ki koshish ki hay apni approach kay mutaabiq … aur yahaan ye baat zaroor kehnaa chaahoon ga kay HG pay jab main Mod nahee bhi thaa .. tab bhi aur abb bhi .. mujhay kisi tarhaa ki behtri laanay kay liye Administrator honay ki koi zaroorat nahee hay … yahaan par her achay idea ko welcome kiyaa jaata hay ussay ussay execute kiyaa jaata hay … that’s what I love the most about HG ….


Yeah sawaal aur in kay jawab likhtay howay jo kafiyaat hain un ko shairi ke shakal mein likhiyeah.. matlab abhi tuk jo sawal parhay aur jo jawab diyeah un ko agar mumkin hoo tu shairi ke shakal mein kissi nazam ya ghazal ya shair ke shakal mein likhiyeah.. !

Aik shair ban gaya hay tazaa taazaa ….


Zamaanay bhar ki baatain pooch daali hain Zamaanay nay …
Kisi nay ye nahee Poocha, Teraa dildaar kaisaa hay … …





Acha chaliyeah ab yeah bataiyeah aap woh koun say aisay 10 sawaal karain gai kissi bhi naye milnay wallay say jis say aap uss kay baray mein woh sab jaan sakayain jo aap kissi bhi dost ko dost bananay say pehlay jan'na chahain gai... ?


Meray khayaal main 10 sawaal to kyaa .. 10 Saal bhi aap kisi kay saath reh lain aap uss kay baaray main ye nahee keh saktay kay haan waaqayi ye meraa acha dost hay …

Aur doosri taraf .. kisi ko kuch kahay sunay baghair … sirf milnay say hee aisaa dil kartaa hay kay iss say dosti kar li jaaye …

Dosti Mohabbat mein Badal sakti hai.. kaya Mohabbat Dosti mein badal sakti ha.. jo bhi jawab hoo aap ka uss ke dalail kay sath wazahat kijiyeah ...

Dosti aur Muhabbat … dono hee jazbaat aik doosray say laazim’O’malzoom hain … kayi baar aisaa hotaa hay kay humain koi Dost itnaa acha lagnay lagtaa hay .. keh uss say muhabbat see ho jaati hay … iss main Jins ka koi dakhal nahee hay … lekin meray khayaal main jo Muhabbat aik dost kay saath ho jaati hay wo uss muhabbat say kuch mukhtalif hoti hay jiss ka zikar aap kar rahay hain … Muhabbat main kuch khaas awaamil aisay hain jo dosti main nahee ho saktay …
Ji meray khayaal main Dosti Muhabbat main tabdeel ho sakti hay … lekin shart ye hay kay ye tabdeeli yak-tarfaa na ho … ager aisaa ho to Muhabbat to bar -araf .. dosti kay jazbay ki bhi tazleel ho jaati hay …
Aur Muhabbat .. yaani do-tarfa muhabbat ko dobaara dosti main tabdeel nahee kiyaa jaa sakta … phir to ya muhabbat rehti hay ya nahee rehti …

HallaGulla mein sab say ziada kiss kay sath dosti hai.. aur woh koun say humarkaat hain jin ke bina pay yeah dosti hai ?

hmmm .. Bohat say dost hain HG pay bohat achay achay .. jinn say khayaalaat bohat miltay hain .. lekin ager sirf ki aik ki baat karain to wo hain NainTara ji … bohat achi dost hain meri .. aur unn doston main say hain jinn ki waja say kabhi kabhi apnay aap par Naaz hotaa hay … inn say dosti ki khaahish to bohat pehlay say thee lekin inhon nay kaafi arsay tak ghaas nahee daali … …
Muharakaat inn say dosti kay khud inn ki shakhsiyat aur inn ki fitrat hay … jiss ki waja say insaan inn ki taraf khichtaa chala jaata hay … hum sab hee dost aik doosray ki izzat kartay hain .. aur chaahtay hain kay humaari izzat bhi ki jaaye … lekin bohat kam log aisay hotay hain jinn ko apni izzat karwaanay ka saleeqa hotaa hay … aur meray khayaal main Tara ji main ye hunar hay kay wo apni izzat karwaan ajaanti hain … inn say meri dosti ki buniyaad bhi ye izzat hee hay … (Haala’nkay mujhay say kaafi bari hain .. lekin min inhain ji keh kar hee mukhaatib kartaa hoon ) …
Kuch log aisay bhi hain jinn ko aksar humaari dosti par kuch ultay seedhay gumaan hotay hain … lekin waja usski shayed ye hay kay aaj kal doston ki izzat karnay ka riwaaj khatam hotaa jaa raha hay … jahan doston main bay-takalufi kay bajaaye takalufaat bartay jaain wahan log kuch naye rishtay talaashnay lagtay hain …. aur tara ji ko duniya ki bohar parwaa hay .. ye chaahti hain kay inn kay baaray main koi ghalt na sochay …
Mujh say bhi iss waja say kabhi kabhi jhagra ho jaat hay … aur naraaz ho jaati hain … lekin agli baar baat honay par shayed inhain jhagraa yaad nahee rehta yaa khud anjaan ban jaati hain …
Aik nazam likhi thee inn par aik arsaa pehlay … wo sunaa to daitaa lekin phir say jhagraa honay ka khadshaa hay iss liye rehnay dain …

Apnay uss dost kay baray mein bataiyeah jis say aap kuch bhi nahi chupa saktay.. jo aap ka sab say behtareen dost hai humraaz hai..

Naveed …. Jo yahaan HG kay member bhi hain .. unn ka Nick KHUMAAR hay … uss say meri dosti taqreeban 15 Saal puraani hay … aik saath parhay likhay .. aik saath jawaan howay .. aik saath sab achay buray kaam karnay seekhay … aik saath Muhabat ki (aur aik hee larki say …) .. abb iss say behtreen humraaz kon ho saktay hay bhala … aaj kal Pakistan gaya howaa hay … Shadi karnay …

Apnay irad gird logoon ka woh koun sa raviyaah hai jis say bohat kooft hoti hai aur dil chahta hai kay kaash loug buss yeah aik kaam karna choor dain ??

Jinn logon ki shakhsiyat dohri hoti hay unn say bohay koft hay mujhay … jo aik chehray par kayi chehray Saja laitay hain …
Dil karta hay kay Log ye dohri shakhsiyat paish karma chor dain …

• Kabhi aisa howa kissi cheez ke khawahish hoo.. par himat na pari hoo izhaar ke.. aur woh kissi din achanak hee mukamal hoo jaye poori hoo jaye.. kabhi howa aisa.. agar haan tu kaya..

Bohat see Cheezain .. Bohat see khaahishaat aisi hoti hain jinhain hum un Hazaaro’n Khwaahishon main shumaar kartay hain jinn par Damm to nikaltaa hay lekin unn kay pooray honay ki koi umeed nahee hoti … bohat see khaahishaat theen aisi zindagi main .. aur bohat see bin maangay hee poori bhi ho gayeen … abhi jo latest poori howi hay wo bataata hoon …
Humaari Family main Cousin Marriage ka riwaaj nahee hay .. khaas tor par meray peresnts iss kay haq main bilkul nahee thay … iss liye aik khwaahish jo dil main thi to zoroor lekin kabhi zubaan par naa aa saki aur kabhi aati bhi naa … lekin wo kehtay hain na kay rightay aasmaan’n par bantay hain …. Sab kuch aisaa hairaan kun howaa .. kay aaj tak samajh nahee aayi kay howaa kyaa … aik week kay ander .. baat paki howi aur Nikah ho gaya … that was the bissest wish which I never thought, would come true …


* Kabhi kabhi hum rishtoon ko bachanay kay liyeah un ko woh naam dai daitay hain ... jo woh asal mein nahi hootay.. kaya kabhi aisa howa... kisi rishtay ko kuch aur naam daina para hoo.. jo woh hoo na ? Agar haan tu kab kaisay aur kis say.. aur kaya rishta tha woh jissay kuch naam diya tha kuch aur ?

Meray Nazdeek wo rishtay jinhain bachaanay kay liye koi naam dainaa paray .. wo Rishtay nahee hotay … wo kab kay khatam ho chukay hotay hain … aur unhain bachaana bhi laa’hasil hee hota hay … aur aisaa koi moqaa meri zindagi main to nahee aaya .. kay kisi Rishtay ko bachaana para ho … haan tootay zaroor hain bohat say rishtay .. lekin kabhi aisaa naam nahee diyaa kisi rishtay ko jo wo asal main naa ho …



* Kabhi kabhi koi dil say kareeb tar rooth jata hai, bad'gumaan hoo jata hai.. aisa hoo jata hai.. aisa howa hoo ga kabhi.. tu kaisay aap nay woh bad'gumaniyaan door keen.. kaya kiya uss dil say kareeb tar ko man'nanay kay liyeah ?

Dil say Qareeb … hmmm .. kaafi gehraa lafz hay … Wajoohaat par munhasir hay .. kay Bad’gumaani ki wajah kyaa hay … kayi baar aisaa hotaa hay kay koi bohat hee piyaara baghair kisi wajah kay naaraaz ho jaata hay .. to uss soorat main ussay waqt dainaa chaahiye apnay amal par ghor karnay kaa … aur apna rawaiyaa wohi pehlay jaisaa hee rakhaa jaaye … lekin ager Bad’gumaani ki wajah kuch aisee ho jiss say uss dil say qareeb shakhs kay saath jo aik ta’luq hay Khayaal ka .. wo hee majrooh ho jaaye .. to phir wo dil say qareeb shakhs dil say door bhi ho jaata hay … aur phir ussay roknay ki koshish nahee kartaa …


* Woh kaya hai koun hai jo shab bhar soonay nahi daita ?

aik nazam likhi thee …Ye Pooray Chaand ki Raatain, Mujhay Sonay nahee Daiteen .. … kuch sochain theen .. kuch khadshay thay .. jinn ko sochtay sochtay kitni hee raatain jaagtay guzar jaateen .. phir aisaa howaa kay Sochain , khadshay khatam ho gayee … lekin Jaagnaa , aik aadat see ban gayee … aur Aadatain bhi ajeeb hoti hain … bass issay bhi aik aadat hee samajh lain …


* Aksar aap nay daikha hoo ga hum lafzoon say fasanay garh laitay hain.. chahray bun'nay lagtay hain.. khud o khaal nikharnay lagtay hain.. kaya yeah mumkin hai kay aap sirf apnay lafzoon say apni shareek e hayaat say hum sab ko milwain.. ? matlab un ka khaka likhiyeah.. !

hmmm … lafzon say khailnaa to aik shayer ya musanif ka Fann hotaa hay … Mub’haam par mabni khayaalaat ko ilfaaz main dhal kar aisay paish karma kay parhnay waalay ko aik haseen haqeeqat lagay … lekin aik Haseen haqeeqat ko ilfaaz ka roop dainaa bohat mushkil kam hotaa hay …
Khaaka banaanay ki baat hay to youn keh li jiye kay aap kay zehen main meraa jo khaaka hay bass ussi ko kuch niswaaniyat main dhal dain to meri shareek-e-hayaat ka khaaka ban jaaye ga … wo kehtay hain na Made for each other … kuch aisaa hee hisaab hay yahaan bhi ..


* Kabhi kabhi kissi sathi, kissi dost ke kissi baat pay bohat ghussa aa jata hai, mizaaj kay khilaaf koi baat hoo jati hai.. aisay mein kaya kartay hain aap ?

phir say wohi baat kahoon ga her uss baat kay pas’manzar main jo wajoohaat hoti hain .. unn par inhasaar hotaa hay … bohat see baatain aisee hoti hain jinn par ghussa bhi aata hay aur mizaaj kay khilaaf bhi hoti hain … lekin wajah unn ki mehez ye hoti hay kay wo meray khayaal main ghalat hain … aisee baatain chup kar kay bardaasht kar jaata hoon … kyu kay apnaa mizaaj kisi par haawi karma nahee chaahta …
Lekin ager ye baat yaqeeni ho kay doosra shakhs .. chaahay wo kitna hee acha dost ya qaabil-e-izzat kyu na ho … wo ghalti par hay aur mehez apnaa nazriyaa mujh par haawi karnaa chaahta hay .. to phir ussay bilaajhijhak bataata hoon kay wo kahaan aur kyu ghalat hay … phir kyaa hota hay .. ye aglay kay zarf pay munhasir hay kay wo kiss had tak apni ghalti tasleem karay …


* Sehraoon mein gulaab nahi khilay, saraab miltay hain, kaya kabhi kissi saraab say milnay ka ittefaq howa aap ka ?

Bohat baar … … dar haqeeqat .. sehraaoun ka chaahnay waala hoon .. aur Gulaabon say ziyada Saraabon main kashish mehsoos kartaa hoon … Saraab ko paanay ki tamanna , Lagan ya khuwaahish hamaishaa rehti hay … wo aik jazbaa humaishaa zinda rehtaa hay … Gulaab to mil jaatay hain .. Murjhaa jaatay hain …bikhar jaatay hain … aur phir kitaabon kay safhon par unn ki laash sambhaalay rakhnay ka shoq nahee hay mujhay …



* Chakoor chaand ke aur urta hai.. paa nahi sakta.. hum bhi un rastoon pay chaltay hain jin ke manzil koi nahi... kiyon cahltay hain ?

Jinn raston ki Manzil hoti hay .. unn kay ikhtataam par ager Manzil paa kar bhi ik tashnagi see reh jaaye .. to phir hum wo Rasta pakartay hain jinn ki koi Manzil hee na ho … jinn main kam-az-kam Safar ki intihaa to nahee hoti .. aur raastay kho jaanay ka darr bhi nahee hota …



* Aap kay bachpan ke tarf aatay hain, pehli maar, pehla dukh, pehli khushi, pehli khawahish, aur pehla payar, kaya hum sathiyoon kay sath yeah share kar sakain gai ?

hmmmm .. Pehli maar … … kuch yaad nahee hay .. lekin yaqeenan apni hee kisi ghalt harkat ka nateeja bani ho gee … Bachpan bohat haseen thaa .. Dukh to jaisay daikhaa hee nahee … haan lekin Bachpan Mukhtasir bohat thaa … wo masoomiyat aur sharaaratain … bohat pehlay khatam ho gayee .. phir dukhon ka silsilaa to chaltaa hee raha … Pehli Khushi, Pehli Khuwahish , aur Pehla Piyaar .. aik hee tasweer kay pehloo hain .. aur iss baaray main bata chukaa hoon .. aur apni wife ko kaafi explaination bhi daini pari .. iss liye ye rehnay hee dain abb ..


* Apnay ghar kay baray mein, ghar mein basnay waloo kay baray mein aur un say jo aap ke mohabbatain hain.. un kay baray mein kuch bataiyeah..

Ghar apna to sabhi ko piyaara lagta hay … ghar main basnay waalon say bay-intahaa muhabat hay … Bachon say bohat lagao hay .. Bhai kay Behen kay bachay .. unn ko mujhay mujhay unn say bohat lagaao hay … jab unn kay paas hota thaa to family main Baby-sitter kehtay thay mujhay … aur bachay apnay waldain say ziyada mujh say attach thay …


* Mohabbtoon ke baat bohat hoo gaiee.. nafratoon ke baat kartay hai.. chaliyeah yeah batiyeah faraq kaya hai dono mein ? koun ziada zoor awar hai aap ke nazar mein ?


Dono hee jazbaat aik doosray kay mutazaad to hain lekin bohat say iqdaar mushtarik bhi hain inn main … sab say bari baat meray khayaal main jo mushtarik hay .. ye dono hee Daayimee nahee hain … Muhabbatain bhi toot jaati hain aur nafratain bhi khatam ho jaati hain … zor awar meray khayal main nafrat ziyada hoti hay .. kyu kay Muhabbat main to kami baishi ki gunjaaish bhi hoti hay .. lekin naffrat jitni shaded ho .. utni hee rehti hay .. ya phir nahee rehti ..


* Aap ke shairi mein bichri yaddain, aur kuch pachtaway hain, kaya hain kiss kay hain.. koun hai woh jo aap kay andar bolta hai ?


Meri Tabiyat .. … kuch tabiyat hee aisee ghamgeen payee hay kay sab kuch hotay howay bhi dil dard hee dhoondta hay …

Qurbato’n main bhi Judaayi kay Zamanay Maangay ..
Dil wo bay-meher kay Ronay kay bahanay maangay ..

Wasl say ziyada hijr ka zamaan pasand hay … abb kyu .. ye Allah behter jaanay ..


* Aap say aik sawaal kiya tha 10 sawaal kissi ko agar jan'na hoo tu.. aap nay uss ka jawab diya kay mumkin nahi, chaliyeah phir bhi.. woh 10 sawaal kijiyeah jo sab say pehlay jan'na chahiyeah gai kissi kay bhi baray mein ?


Bhai ji .. pehlay bhi bataaya ap ko .. Sawaalon kay jawaab to pal bhar main insaan taraash laitaa hay .. aur jaisay jawaab ki aap ko umeed ho waisay hee jawaab bhi mil jaatay hain aap ko … lekin unn Jawaabon ki haqeeqat … saath chal kar hee pata chalti hay .. to meray nazdeek Sawaal kuch ehmiyat nahee rakhtay … aur na kabhi kisi naye milnay waalay say poochay hain kuch sawaal … haan zehniyat , takhaiyul , soch .. wo share kartaa hoon kisi naye milnay waalay say … abb wo kisi bhi mozoo par ho saktay hain .. depend kartaa hay kay milnay waala kon aur kaisaa hay ..


* Kaya aap ke zindagi mein koi aisa shakhas hai jis kay liyeah sab tayaag saktay hain, sab choor saktay hain.. ? koun hai ?



Maa’n … wo jiss ki aik sift bayaan karnay kay liye meray tamam lafz kam’tar hain … kuch tayaag daina ya kuch chor dainaa to bohat kam hay .. …………………….

wohi baat kay ilfaaz kam’tar hain .. chaahtay howay bhi apnay jazbaat ko ilfaaz nahee day saktaa ..


* Pichlay sawaloon mein dosti ke baat chiri.. baat tu mohabbat ke bhi hoi.. yeah bataiyeah.. gar aap ke mohabbat aap say kahay kay nahi milan nahi hoo sakta.. haan chahoo tu rabat reh sakta hai.. kaya karain gai aap... rabt rakhain gai.. ya rasta badal lain gai.. palat kay bhi na daikhain gai ?


Muhabbaton main bhi farq hota hay … kuch muhabbatain innsaan aisi kar baith’ta hay jinn kay hasool ka imkaan pehlay say hee nahee hotaa … jaisa main nay peechay saraabon ka zikar kiyaa … wo muhabbatin bhi bohat haseen lagteen hain .. jinn ka naa milnay ka pehlay say hee yaqeen ho .. waja .. phir wohi saraabon aur Gulaabon waali baat … Gulaab to mil jaatay hain .. aur Bikhar jaatay hain … saraab humaisha dikhaayi daitay hain aur unhain paanay ki khuwahish zinda rehti hay ..



* Zindagi ka woh din jo aaj tuk nahi bhoola... kabhi bhool bhi nahi saktay... kaya howa tha uss din ?


aik Haadsaa .. wo raat kabhi nahee bhoolay gee … jab yaad aati hay to zehen jhatak daitaa hoon khof say …
Basant ki raat thee year 2000 ki .. meray Bhai ki Car koi chori kar kay layjaa raha thaa .. to Bhai moaqay par aa gaya .. mazahimat karnay par unhon nay Seenay par Goli maar dee …
Wo raat zindagi ki sab say khofnaak raat thee jo Hopital main guzri … Allah nay bara karam kiyaa ussay nayi zindagi mill gayee ..



* Jab kissi bhi shakhas say miltay hain, pehli baar tu woh kaya cheez hai jiss ka jaiza laitay hain, aur jo aap kay ainda ravaiyeah ka ta'yun karti hai ?


Uss ki zehneeyat … jiss tarhaa ki soch rakhtaa ho usay uss tarhaa hee miltaa hoon … aur meray khayaal main kisi say aik baar milnay say baat karnay say bohat hadd tak andaaza ho jaata hay kisi kay level of mind ka ..


* Kuch logoon ko shikayaat hai kay aap kuch maghroor hain, kuch apnay aap mein rehtay hain.. apni hee mouj mein behtay hain.. kis hud tuk sadaqat hai iss baat mein ?

hmmm … bilkul sahi kaha aap nay .. bohat say logon ko ye bad’gumaani hay meray baaray main … aur shayed aisaa ta’sur dainay main meri apni hee ghaltiyaan rahi hain … sab say bari kam’zori ye rahi hay kay jab koi zimmaydaari day dee jaati hay mujhay … to main chaahta hoon kay ussay poori tarhaa say nibaahoon .. aur koi kammi na reh jaaye … aur uss koshish main apnay aas paas kay logon say bohat hadd tak bay khabar sa ho jaata hoon … bohat say logon ko theek tarhaa say deal nahee kar paata … shayed ye bhool jaata hoon keh Zimma daari jinn kay liye sonpi gayee hay unn ko khush na rakh sakaa to zimmaydaariyaan poora karna bhi laa’haasil hay … iss khaami ko kuch log gharoor kehtay hain kuch Rudeness kehtay hain ... lekin meray khayaal say mujh main koi aisee baat nahee hay jiss ki waja say main gharoor kar sakoon .. aik bohat hee aam sa insaan hoon bohat see khaamiyon kay saath … aur ghaltiyon say seekha bhi bohat hay … aur farq bhi bohat dikhayi daitaa hay … kuch log aisay bhi hain jo mujhay Maghroor kehtay thay .. aur abb wo khud kehtay hain kay unn ka khayaal ghalt thaa … lekin ghalti meri hee thee jo aisaa ta’sur paida ho gaya … hope for the best for future ..



* Woh koun se jagaah, muqaam hai jahan janay ke bohat khawahish hai... ? aur kiyon ?


Pahaar aur sehra mujhay bohat pasand hain .. Pahaaron main bhi bohat phiraa hoon .. Pakistan kay taqreeban sabhi pahaar chaan maaray hain ... abb yahaan Sehraaoun main aa gaya hoon ... lekin Pahaaroun ka shoq abhi poora nahee hoqwaa .. dil karta hay phir say jaaoun her jagah par .. Swaat ka ilaaqa bohat pasand hay ... inshaAllah jaoun ga issi saal ..


* Rungoon mein koun sa rung pasand hai ?

Siaah (black) rang acha lagta hay ..


* Woh koun sa sawaal tha jis ka jawab daitay howay sab say ziada dushwaari paish aiyee ?

Maa’n kay baaray main apnay jazbaat chaahtay howay bhi bayaan nahee kar saka..


* Insaan khud say battain karta hai, sawaal karta hai, woh koun sa sawaal hai jo aksar khud say akrtay hain ?



Kayi baar poochtaa hoon khud say .. kay jo hoon wo naa hotaa to kaisaa hotaa ..


* Zindagi ka maqsad kaya hai.... ? Kaya hasil karna chahtay hain, kaya sabit karna cahhtay hain.. kaya banna chahtay hain.. ?



Zindagi ka koi khaas maqsad to banaaya nahee ... itni khuwaahish hay dil main kay kuch aisaa kar jaaoun jiss say aakhirat sanwar jaaye ...



* Koun sa mousam pasand hai ?

Khizaa’n ka mosam ... aadhay sabz aur aadhay sookhay pattay mujhay bohat pasand hain ..



* Sinf e nazuk kay baray mein aap ke raye ?

Wajood-e-Zan say hay Tasweer-e-Kaayinaat main Rang ....

lekin saath hee saath ...

Wajood-e-Zan say hay taswwer-e-kaayinaat main Jang ....


* Aaj kay musalmaan ke hooti tazleel hotay daikhtay hoon gai aap parhtay hoon gai.. kaya kabhi dil kiya kay un kay liyeah bhi kuch likha jaye ? Ya faqat mohabbat kay dairoon ka asar mein rehtay hain ?


apni shairi ko iss darjay par nahee paata abhi kay itnay sanjeeda masly par kuch likh sakoon ... matlab likhnay ko abhi bohat kuch likh sakta hoon .. lekin aisaa nahee likh paaoun ga jiss say khud ko bhi tasalli day sakoon ... wajaah ye kay Musalmaanon ki hoti tazlel ki buniyaadi wajah unn ki apni kotaahiyaan hain ... aur bohat see kotaahiyaan mujh main bhi hain .. so jab tak as a musalman apnay aap ko mukamal n paaoun .. kisi aur ki khaami ki nishaandahi ka haq nahee rakhtaa ..



* Koi baat koi payghaam, hum sab kay liyeah, koi naseehat jo hum ko karna cahahyain ?

Naseehat dainay kay qaabil to nahee hoon ..

Mera Paighaam Muhabbat hay, Jahaan tak pohanchay ..

Muhabbatin kijiye .. Muhabbatain phailaiye ... Muhabbaton say dariye mat ... aur Muhabbaton ko Tasleem kijiye ..
Digg this Post!Add Post to del.icio.usBookmark Post in TechnoratiFurl this Post!Submit to Yahoo!Submit to Google!Submit to Live!Submit to Facebook!Submit to Ask!Submit to StumbleUpon!Submit to Squidoo Submit to Netscape Submit to SlashDot Submit to Reddit Submit to FarkSubmit to Newsvine
Reply With Quote
Reply

Tags
sleepless

Thread Tools

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are Off
Pingbacks are Off
Refbacks are Off

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Congrats to sLeEpLeSs for completing 500 Posts sLeEpLeSs Announcements 10 02-12-2008 05:48 PM
FOR U ... Sleepless *sLeEpIng BeAutY* Gup Shup 336 12-11-2007 08:55 AM

Urdu Poetry Forum RSS Feed One of the largest message boards on the web ! Photo Gallery RSS Feed

eXTReMe Tracker


All times are GMT +1. The time now is 04:24 PM.


Copyrights: All rights reserved.

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75 76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 87 88 89 90 91 92 93 94 95 96 97 98 99 100 101 102 103 104 105 106 107 108 109 110 111 112 113 114 115 116 117 118 119 120 121 122 123 124 125 126 127 128 129 130 131 132 133 134 135 136 137 138 139 140 141 142 143 144 145 146 147 148 149 150 151 152 153 154 155 156 157 158 159 160 161 162 163 164 165 166 167 168 169 170 171 172 173 174 175 176 177 178 179 180 181 182 183 184 185 186 187 188 189 190 191 192 193 194 195 196 197 198 199 200 201 202 203 204 205 206 207 208 209 210 211 212 213 214 215 216 217 218 219 220 221 222 223 224 225 226 227 228 229 230 231 232 233 234 235 236 237 238 239 240 241 242 243 244 245 246 247 248 249 250 251 252 253 254 255 256 257 258 259 260 261 262 263 264 265 266 267 268 269 270 271 272 273 274 275 276 277 278 279 280 281 282 283 284 285 286 287 288 289 290 291 292 293 294 295 296 297 298 299 300 301 302 303 304 305 306 307 308 309 310 311 312 313 314 315 316 317 318 319 320 321 322 323 324 325 326 327 328 329 330 331 332 333 334 335 336 337 338 339 340 341 342 343 344 345 346 347 348 349 350 351 352 353 354 355 356 357 358 359 360 361 362 363 364 365 366 367 368 369 370 371 372 373 374 375 376 377 378 379 380 381 382 383 384 385 386 387 388 389 390 391 392 393 394 395 396 397 398 399 400 401 402 403 404 405 406 407 408 409 410 411 412 413 414 415 416 417 418 419 420 421 422 423 424 425 426 427 428 429 430 431 432 433 434 435 436 437 438 439 440 441 442 443 444 445 446 447 448 449 450 451 452 453 454 455 456 457 458 459 460 461 462 463 464 465 466 467 468 469 470 471 472 473 474 475 476 477 478 479 480 481 482 483 484 485 486 487 488 489 490 491 492 493 494 495 496 497 498 499 500 501 502 503 504 505 506 507 508 509 510 511 512 513 514 515 516 517 518 519 520 521 522 523 524 525 526 527 528 529 530 531 532 533 534 535 536 537 538 539 540 541 542 543 544 545 546 547 548 549 550 551 552 553 554 555 556 557 558 559 560 561 562 563 564 565 566 567 568 569 570 571 572 573 574 575 576 577 578 579 580 581 582 583 584 585 586 587 588 589 590 591 592 593 594 595 596 597 598 599 600 601 602 603 604 605 606 607 608 609 610 611 612 613 614 615 616 617 618 619 620 621 622 623 624 625 626 627 628 629 630 631 632 633 634 635 636 637 638 639 640 641 642 643 644 645 646 647 648 649 650 651 652 653 654 655 656 657 658 659 660 661 662 663 664 665 666 667 668 669 670 671 672 673 674 675 676 677 678 679 680 681