It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Roshni within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; Q#1. Apka nam aur tareekh Paidaish ? A. Mera nam qurat-Ul-Ain Hai 11 AUgust 1979 d.O.B hai Q#2. SUnahai apanay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [8] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Q#1. Apka nam aur tareekh Paidaish ? A. Mera nam qurat-Ul-Ain Hai 11 AUgust 1979 d.O.B hai Q#2. SUnahai apanay shairi shorh kardi hai.? kaisay shorh ki? A. yeh apsay kis nay kaha /thinkingoh han yaad aya meri shairi :blush woh aaj kal SHAIR aur SHAIRA logon kay stah uthna baithan ziyada hogaya hai na :blush to bus unhi logon kay thoday bohat germs agai hain /loser Q#3.Apni shairi main kuch sunana pasand karaingi. A.ufff meri shairi /confuse ....hm zindagi main pehli aur akhri martaba kuch khudh say likha tha chand dino pehlay...woh likh dayti hon.. ![]() lekin ek guzarish hai Maazrat kay stah kay plz isko poem ya ghazal /confuse ko nigalnay ki koshish kariyay ga ;) ** Dil Bohat udas rehta hai Janay kis as main rehta hai DIn guzartay hain meray khamoosh magar Ratoon main ek toofan sa rehta hai Jisay bholna chaha dil nay bohat Woh shaks har pal Guman main rehta hai** ub hazam karain aap sub iSko :blush Q#4. Apki Taleemi Qabliyat.? A. Ba Pass hon /confuse uskay ilawa french language aur textile desinging main Diploma liya hua hai Q#5. ZIndagi main kis cheez ya shaks ki kami mehsoos hoti hai..? A. hmm Allah ka shukar hai kay Allah nay apni har neemat say nawaza hai mujhay...aur rahi baat shaks ki to.... zaroori nahi kay jis ki kami hum mehsoos kartay hon woh hamari bhikaray..isliyay shayad kisi ki nahi Q#6. Apka Sinif-e-Mukhalif (larkon) kay baray main kiya ray hai ? A. sory ji.....mainay kabhi is baray main itna goor nahi kiya jo koi ray qaim karsakoon /confuse Q#7.Apni koi Achivement jis par fakhar kiya ho..? A. han ji ..main CAD/CAM (Computer Aded desinging/Computer Aded Manufactring) ki student thi..aur jis ka meray SIR kay baray main kahayl tah kay main nahi seekh paongi /confuse...lekin end of the year main us class ki Brilliant student pai gai...aur 1 got 83% Highest % li aur Usi result walay din mujhay 5000 rs ki Job ki offer bhi hogai thi CAD/CAM ki. ..magar mujhay CANADA anatah isliya mainay Inkar kardiya /sad Q#8.Apni teen (3) ahchi aur teen(3) buri adatain batain.? A.hmm Buri Adaton main ... 1. Gussa bohat jaldi ajata hai /confuse 2. har Bohat Jaldi JAti hon /sad 3.Ankh band kar kay bharosa karna dosron par /hang aur ahchi adatain mujhay to nahi lagta kay mujh main hai /confuse but jo log kehtay hain woh likh dayti hon ![]() 1. Bohat mohabbat karnay wali hon :blush 2. Kisi kay liyay dil main Nafrat nahi rakhti /nahi 3. Jinti jaldi gussa ata hai utnay hi jaldi utar bhi jata hai Q#9.Ghar ka kaun sa kam bohat shooq say karti hain.? aur kis kam say jan jati hai? A.hmm Good question /good Mujhay ghar ki safai ..ek ek kona..decoration yeh sub kam bohat ziyada pasand hai /hug aur Istri karnay main meri bari jan jati hai /head Q#10. Zindagi ka na kkoi Nakhushgawar waqaia share karain..? A. hmmm nahi aisa koi waqia abhi tak nahi hau kay main usay Nakhushgawar tasawwur karkay yaad karon Q#11.Apki Zindagi ka Khobsurat tareen hiisa.? A. hmm Jab main Pakistan main hua karti thi 4 sal pehlay...jab koi tension nahi thi..parhna likhna....duniya ki sairain karna.. koi fikar nahi thi woh din meray haseen tareen din thay /hug Q#12. Halla Gulla ki kis shaksiyat say milnay ak ishtiyaq hai? A. Meri SHAfaq Aapi say /hug aur kuch aur log hain :chup Q#13. Halla Gulla main kis shaksiyat say mutasir hain..? A. subsay pehlay to main apni Shafaq aapi ka nam likhan chahongi uskay bad fari khan ka interview parha..Bohat shandar shaksiyat lageen woh @};- aur bhi kuch log hain Q#14.Zamanay talib-e-ilmi ka koi waqia jo aaj bhi yaad hai..? A.yes ek baar main school kafi late pohanchi thi...to atay hi maths ka paper miss nay meray kardiya jo kay surprise test tha /head aur woh bhi Maths ka /hang to main ghabra gai thi..lekin jab goor kiya to miss nay same book ka hi paper photo copy kiya huatha..aur mainay pora word to word book say ratta mara tha.... :blush isliya meray marks aay thay 17/17 /dancewarna maths main to meray 1 out of 1 bhi kabhi na atay /ohno Q#15. agar koi jan say aziz rooth jay to usay kaisay manati hian.? A.hmm pehli baatto yeh kay itni bari larai kabhi hoti hi nahi kay koirooth jay mujhay aur aagar ais ahojay to mai ro kar, minnatain karkay, ha woh kam karkay jis say woh khush hojay..wohi kam karti hon @};- Q.16. Koi ek net kahani sunaiyay ? [/b]A. Net kahani /thinking i think meray pas nahi hai koi si bhi net kahani ...bcoz kay meray koi ziayada strangers Frs nahi hain jin kay sath koi waqia hua ho ya mainay suna ho ya kuch /confuse Q.17. Duniay kay aisa 5 maqamaat jahan janay ki khuahish ho? A. hmm wiasya to mainay kafi had tak duniya ghomi hui hai like Europe.Asia,usa,Can isliyay ub kahin janay ka dil nahi chata......han Haram Shareef Hazar baar lay jain main shoq say chali jaongi aur ub mujhay wiasay Apna Mulk deikhnay ka Shoq hogaya hai like Naraz, Saawat /love . Q.18. Woh Lamhaaat jo aap chahti hain Loat aain..? A. hmm ek to woh lamhay jab main bohat sukoon ki neend soya karti thi aur ....... ....... Q.19. Apnay baray main koi jumla jo hameesha yaad raah..? A. Kay tum Dil ki Bohat ahchi ho :blush Q.20.Apnay baray main koi jumla jo kisi say sunna chahain ? A. Kay tumnay apna har farz nibha diya hai Q.21. Halla gulla kay ilawa mashagil..? A. Sirf aur Sirf Digest Parhna /exam Q.22.Agar aapko kisi ek Make-up ki ijazat di jay to aap kaun sa Male0up karaingi .? A. Lips Pencil ka Q.23. Koi AIsa kam jis par Pachtawa hua ho..? A. Nahi aisa koi kam nahi hai @};- Q.24. Woh kalmaat jo aksar monh say nikaltayhain ? A. kafi saray hain....... Suno, Thapper lagaongi :blush , wohi to, Hmm, sorry, No na /yblush Q.25. Kis Kisim kay Log ahchay lagtay hain..? A. Mohabbat daynay walay /hug, Adad karnay walay, thoday Shook kisim kay For All Of U Frs /flowers /flowers /flowers /flowers /flowers Q.26. Aurat ka kaun sa roop hai jo aapko pasand nahi hai..? A. hmm !! Woh AUrtain jo dosron kay gharon ko ujar dayti hain...aur jo mardon par hukmrani karna chahti hain Q.27. Agar apko apni Ap beeti likhni paray to kiya kiya likhna pasand karaingi .? A. nahi ji aisi koi Ap beeti nahi hogi meray pas jo main kahin par likh sakoon Q.28.Har Koi khuab dekhta hai..apna koi ek khuab sunaiyay..? A.. hmm Khuab mainay bohat achchay deikhay hain,,,aur ittifaq say yaad bhai wohi hain.... lekin soch rahi hon likhon kay nahi.. /thinking bcoz suna hai kay Rohani khuab kisi ko batay nahi jatay ..aur mainay ziyada wohi khuab deikhay hain.. ( Mashallah Say) Q.29.Kitabain to yaqenan parhti hongi.. aisa koi Iqtibas ko yaad reh gaya ho..? A. hmm han mainay ek Kitab parhi hai...magar nam aisa hai kay Ajeb sa lagay ga sub ko means "KALA JADO"...aksar main us kahani ki usmain honay walay waqiaat ko sochti hon..us kahani main jo admi ka IMAN dikahay hai us par rashk karnay ko dil chahta hai...ALllah hum sab kay Iman ko Mazboot banain Ameen @};- Q.30. Star par yaqeen rakhti hain..aur kis star say apki bohat banti hai?? A. Hmm Stars par yaqeen to builkul bhi nahi rakhti main /no lekin mujhay lagta hai meri sub say ziyada PIeces aur uskay bad Virgo, Libra, Leo say bohat banti hai /jin1[/b] Q.31. Mohabbat par yaqeen rakhti hain....aur batain kay Mohabbat kiyahai.? A. /ohno itna mushkil sawal /confuse.. Han Mohabbat par yaqeen hai , bohat yaqeen hai, hm kiya likhon mujhay is sub baton pay ziyada kuch likhan nahi ata...Mohabat kay baray main ek baat aur likhogni kay.. ** Mohabbat Husool-E-Yar Nahi Hoti ** /hug Q.32. Aisi koi ghazal ya Nazam jo aapki akasi karti ho.? A . hai to lekin main shayad likh na paon. Q.Shair Ya Shaira Ki pasandeeda Ek Nazam ? A. hmm shair o Shairi say mujhay kabhi lagao nahi raha tha ;) lekin ub jab main kafi BA Zooq logon kay bech rehti hon to ub kuch kuch shairi samjh bhi anay lagi hai aur ahchi bhi lagnay lagi hai.. mujahy yeh Ghazal ya Nazam ( i don't know :confuse) bohat pasand hai Betahasha hai yaad kiya Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko Sari ronaq tere hi dam say hain Aur tere bikhray huay gham say hain Jis qadar mainay tera talluq mehsoos kiya Itni gehrai to rohoon main hua karti hai Jis qadar mainay teri zaat ko khudh main paya Itni yaqtaee kahan milti hai Faslay wooqatain kho baithay hain Dooriyan pheekheen pareen Itni shiddadsay tujhay chaha hai Itnishiddat say tujhay socha hai @};- Shiddatain ishq ki mairaaj hua karti hain @};- Q.34. Kitnay behan bhai hain aur apka number kaun sa hai..? A. Meray do bhai aur ek behan hai aur mera Number 3 hai /baby Q.35.Ideal par yaqeen rakhti hian..? aur rakhti hain to apnay Ideal ki kuch khusoosiyat ginwaiyay..? A. hm Ideal waghaira kay baray main mainay kabhi socha nahi tha.. aur iski Mohlat bhi nahi mili mujhay :blush magar shorh say hi main Ideal waghaira par yaqeen nahi rakhti thi...kiyun kay Ideal banana bohat asan hota hai... lekin dhondhna mushkil..aur agar bilfarz mushkil say woh mil bhi jay lekin jo tawaqqah aap us say kartay ho aur woh na milay to bay had dukh hota hai /aw .... means hota hoga /jin mujhay koi idea nahi hai /confuse Q.36.Kabhi aisa hota hai kay sub kay beech main tanhai nay ghair liya ho . agar HAN to kiya mehsoos hota hai? A. hmmmm yeh to Mohabbat kay asaar lag rahay hain mujhay /jin woh kiya hai na..main ek builkul sedhi si larki hon.. mera matlab hai ziyada gehri main jati nahi hon....kabhi agar tanhai feel karti bhi hon to ...bus kuch bhi nahi...means i don't know kay tanhai kehtay kisay hain /aw Q.37.Mukhalif Sinf par kaisay log Impress kartay hain..? A. pata nahi kabhi sochnay ki fursat hi nahi mili /confuse Q.38. Agar aapko apna nam badalna par jay to kiya nam rakhna pasand karaingi..? A. hmm waisay to mujhay apna nam bohat pasand hai /hug lekinagar badalna par jay to main Zubaria /love ya Roshni hi rakhan pasand kaorngi /hug Q.39.Agar koi faisla karna ho aur dil o dimagh main jang ho to kis ka kaha manaingi? A. Hmm Jis faislay main Dil o Diamgh main jang hoti hai woh bohat bara faisla baghair kisi jang kay hogaya tha..... aur ub koi aisa faisla meray hath main diya nahi gaya hai jis main main yeh jang lar sakon @};- Q.40.Apki kaun si adat say apkay dost aur ghar walay bayzar rehtay hain..? A. Hm Ghar walay Meray Net ziyada use karnay say bayzar rehtay hain /aw aur dost shayad meri kam aqali say bayzar rehtay hongay /confuse1 Q.41.Buzurgo ki koi naseehat jo hameesha yaad rehti hai..? A. ek aisai naseehat hai jo mujhay meray buzurg , ghar walay , aur ziayada tar log kehtay hain.." Kay Itna Naram nahi bano kay Nichor li jao /aw aur thodi himmat wali bano kay dosron ko NA keh sako /confuse yeh nasihatain hameesha yaad rehti hain mujhay....lekin Amal main kar hi nahi pati in par /sad Q.42.aap koi bhi kam kartay waqt risk ziyada layti hain ya mohtat rehti hain..? A. Ziyada tar Risk layti hon Q.43.Shadi ek rishta hai Ek Bandhan hai, apka is kay baray main kiya ray hai? A. bohat mushkil sawal hai.....mujhay builkul idea ya koi words nahi hain jo main likh sakon /help Q.44. KAbhi aisa hua hai kay jan boojh kar jhoot bolna para ho..aur hai to woh jhoot kiya tha..? A.Nahi aisa jhoot kabhi nahi bola kay agar woh pakra jay to kisi ka nuksan ho ya woh mehnga par jay ........chotay motay nannay munnay jhoot to chaltay hain /jin Q.45.Jab koi apsay jhoot bol raha ho aur apako maloom ho to apka rady amal kiya hoga.? A. Kai baar aisa hua hai meri zindagi main kay mujhay pata hai kay samnay waal ya wali jhoot bol rahi hai.......lekinmain kuch nahi kehti ..kay uskay apnay Amal uskay sath jaingay ... mujhay koi farq nahi parta Q.46. Zindagi main sab ahchay nahi lagtay...jo apko sab say bura lagta hai uskay baray main batain.? A. hmm do baar meray sath aisa hua kay ek pal ko mujhay un do logon say shadeed kisim ki nafrat hui aur mainay socha tha zindagi main kabhi unko maf nahi karongi...un main ek meri Cuz thi...un do logon nay mujahy had darja dukh diya tah apni apni taraf say.... lekin main sochti hon Nafrat karnay say kuch hasil nahi hota isliyay bus bhoola kar maaf kardiya ![]() Q.47.Jazbon ka izhar karna asan lagta hai ya mushkil..? A. hmm yeh to depend karta hai kay izhar kiya kis kay samnay ja raha hai... Q.48.kaun sa sawal aisa hai jo aap chah rahi hian koi na pochay..? A. nahi ji ..kuch kasar nahi chori hai sawalaat pochnay main /help ..sub kuch to poch liya hai.... waisay Paper # 2 kafi mushkil tha /ohno Q.49. ub tak kiyay janay walay sawalaat main say kaun s asawal sub say mushkil laga/? A. koi ek ho to bataon na /aw yeh dosray 26 to 50 tak kay sawaalaat bohat mushkil thay /sad Sawal # 50 zara bad main dongi Q.50. Apki nazar main Halla Gulla...Halla gulla kay sathiyun kay nam koi paigham koi naseehat..? [/b]A. hm Halla GUlla..... Halla gulla say meri wabastgi ka junon keh lain aap ..bohat ziayad hai.. is ka to kafi logon ko malom hai....mujhay yahan rehna isliyay ahca lagta hai kay yahan jin logon ko main janti hon unmain koi bhi jhootnahi bol raha ya fareeb nahi day raha hai...bsu yeh bohat apna apna sa lagta hai ghar jaisa /hug Sathiyun kay liyay paygham aur naseehat.. main ziyada nahi bus itna hi kehna chahongi kay |
![]() |
| Tags |
| roshni |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Roshni | ishiwani | Ashaar - Misc | 10 | 05-21-2008 08:47 AM |
| shair | imran_sheikh | Ashaar - Misc | 13 | 03-12-2008 08:04 AM |
| roshni ki bheek | Shab-e-Tanhai | Ashaar - Misc | 12 | 03-02-2008 08:16 PM |
| Roshni Ki Kiran | Bilal raheem | Designed Urdu Poetry | 14 | 02-02-2008 04:26 PM |
| ~~lahoo ke dip jalao ke roshni kam hai ~~ | llvlliss_chlak0 | Ghazal | 9 | 09-20-2007 06:07 AM |