It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
User Name: Password:
Urdu Poetry/Shayari Forum

Urdu Poetry Forum

Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum

 


NainTara

This is a discussion on NainTara within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; Q no 1) Aap ka asli naam ? buss jee yehi naam hai ;) Q no 2 ) Aap ki ...


Go Back   Urdu Poetry/Shayari Forum > Urdu Poetry Forum News, Update & Help > Updates & Help > Announcements

Video Photo Books Games Sites Register Groups FAQ Calendar Mark Forums Read Chat [7]

Notices

Rate This Thread - NainTara.
(0)
Thread Rating: 0 votes, average.

Reply
 
Thread Tools
  #1  
Old 01-23-2005, 11:22 AM
Ankaboot's Avatar
aka Bhoot
 
Join Date: Feb 2004
Location: Chand nagar
Posts: 90,186

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Blog Entries: 1
Thanks: 123
Thanked 216 Times in 112 Posts
Nominated 18 Times in 7 Posts
Nominated TOTW/F/M Award(s): 1
Rep Power: 1000
Ankaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond reputeAnkaboot has a reputation beyond repute
Default NainTara

Q no 1) Aap ka asli naam ?

buss jee yehi naam hai ;)


Q no 2 ) Aap ki jaaey paidaaish, aur taareekh , aaj kal kahan rehaaish hai?

Jaaey paidaaish Karachi , date 31st Dec 19.. yaad nahin aa raha ... /sleeping aaj kal bhi karachi mein hi hon


Q no 3) shaadi shuda hai yaa ghair shaadi shuaa, shadi kakab tak iraada hai ?

ghair shaadi-shudaa, aur kab ho gee God knows better...


Q no 4) Gher mein kitney log hain ? sab sey ziada dosti kis sey hai ?

Ammi Abbu hein, 5 bhai hein , 3 behnein hain ..sab sey ziada dosti apni behnoun sey aur sab sey barey bhaiyaa sey hai...buss ik mera bhai hai na Daani .....uss sey roz laraaee na ho tou mujhey lagtaa hai ke kuch gum ho gaya hai ....


Q no 5) Aaj kal kia ker rahi hai ? perhaaee, job yaa gherdaari ?

hmmm ...aaj kal tou ik School mein perhaa rahi hoon aur saath saath perhaaee bhi kerni hai ... jab school sey aati hon tou shaam mein gher kay kaam bhi kerti hon werna Ammi daantti hain ...


Q no 6) Apni 3 achi aur 3 buri aadatein bataain ?

Hmmm... 3 tou bouhat ziada ho gaya ...mujh mein bouhat kam achi aadatein hein ...mera khayaal hai mujh mein ak hi aadat achi hai aur woo hai baaqaidgee kay saath Namaaz perhnaa...yeh aadat abhi nahin bouhat puraani hai like mein class 7 yaa 8 mein thi ...yaad nahien perta kabhi chouri hoo yaa soucha hoo ke baad mein perh loon .. buss perhni hai her haal mein...



hmmm yaad nahin aa rahi...koi aur bataa dey peeej agar kisi ko pata hai :blush


aur buri aadatein..hmmmm kaafi hein ....


pehli yeh ke ghussa bouhat aata hai ...aur shadeed aata hai ...bouhat mushkil sey uterta hai...


2nd buri aadat...
lougoun sey na milnaa ... Family tak mein na jaana .. qareebi azizoun sey miley howey mahieeney hoo jaatey hain..


3rd buri aadat...badgumaan foran hoo jaati hon...naraaz bhi jaldi houti hon ...


Q no 7) Aap ki zindagee ka khobsoorat tareen hissa ?

yeh sawaal bouhat achaa hai

haan bilkul ...meri zindagee ka khoobsoorat tareen hissa thaa ... jab mein matric mein thi... kia din thay woo... yeh woo din they jab khayal thaa ke aagey jaana hai bouhot .. bouhot kuch kerna hai .. umang thi .. josh bouhot thaa .. intizaar thaa ke haan woo din aayien gey jab zamana thouker mein hoo gaa ..ab jub wahi din hain tou kuch thouker mein nahien ...kuch kerney kaa Azm tha .. ab tou buss din guzer rahey hain ..

buss ab wahi din aa jaein tou acha hai .. mager kaissey... kuch pata nahin


yeh ak atal haqeeqat hai ke waqt aur lamhaat ko qayaam mayasser nahin magar zindagee mein
kuch baatein aisee houti hein joo guzar jaaney kay baawajood hamaarey ander saans ley rahi
houti hein ... hai naa...yeh perhyey ... aur khoo jaaiyey

Ham kaisey pagal houtey thay

Ek phool ko chooney ki khaatir , kaantoun sey zakhmi houtey thay
Joo phool jhouli mein aa girtaa, ussey chooney sey dar jaatey thay

Ham kaisey pagal houtey thay

Ke dhundhley aainoun mein apnaa, ham aks sa dhonda kertay thay
Aur kirchiyaan chatkhey aainoun ki muthi mein dabaa ker rakhtey thay

Ham kaisey pagal houtey thay

Jab sarak per chalnaa houta thaa, ham kashti ley ker chaltey thay
Aur beech hanwer jaaney kay liyey ham paidal nikla kertay thay

Ham kaisey pagal houtey thay

Jab baarish bersaa kerti thi , ham chhatri mein chup jaatey thay
Aur jalti dhoop mein nangey sar ham chhat per uchla kertay thay

Ham kaisey pagal houtey thay

Jab saari duniya souti thi , ham chaand sey khaila kertay thay
Jab saari duniya jaag uthti , ham thhak ker phir soo jaatey thay

Ham kaisey pagal houtey thay


Ham kitny pagal houtey thay
Ham aaj bhi waisey pagal hain ...


Q no 8) Zindage ka koi naa khushgawaar waqia tehreer karein ?

hmm haan ...sunaati hoon mein ke kia waqia huaa thaa...

mein bouhat chouti see thi like 8 , 9 saal ki tab meri Ammi bouhat beemaar theen ...woo Hospital mein admit theen ...mein Ammi kay baghair rehti nahin thi iss liyey Ammi kay saath hospital mein, mein bhi thi ..aur meray Naana-Abbu bhi saath thay ...khair mein aur Naana-Abbu poorey hospiatl dandanaatey phirtey they ... sab mujhey aur Naana-Abbu ko jaanney lag gaey thay ...matlab Doctors Nurses , mareez aur unn ki daikh bhaal kernay waaley bhi ... achaa khair Ammi ko chour ker ham dono ( mein aur Naana-Abbu ) baahir nikal jaaya kertay thay ..aik roz issi terhaa kuch khareednay ham ek Shopping center mein gaey wahaan ham kuch khareedney lagey ..mein ney Naana-Abbu sey haath churaaya
aur miss place ho gaee ... ab thouri dair baad khayaal aaya Naana-Abbu kahaan hein ...ab poorey Shopping center mein nazrein douraain tou Naana-Abbu kahin nazar nahin aey ...mein Shopping center sey baahir niklee aur beech road per aa ker khari gaee thi ..andhaira chaa gaya thaa...
ab mein ney rouna start kiyaa ke right jaaon ke left ...baharhaal mein ney ak taraf koo bhaagna shuroo kiyaa ... road weeraan tha ik 2 gaariyaan theen itney mein 2 aadmi mujhey nazar aaey woo log aapass mein kehney lagey "Arey yeh tou Yassen uncle ki nawaasi hai , iss waqt yahaan kia ker rahi hai" woo log mujh sey kehnay lagey chalo tumhaarey Naana-Abbu kay paas ley chalein ...mein unn kay
saath nahin jaana cha rahi thi ..woo log mujhey zabardasti ley ker gaey ...aur wahan hospital mein pata chala sab dhond rahey thay...mein ney Anaana-Abbu ko daikh ker rouna start ker diyaa aur kaha Naana-Abbu aap gum ho gaey thay..unhoun ney mujhey 2 , 3 thapper lagaaey :( ...
iss kay ilaawa tou Allah ka shuker hai ke koi naa-khushgawaar waqia tou naihin hai...

waisey souchein uss waqt agar mein gum hoo jaati tou HG per kitna sakon houtaa... /ohno


Q no 9) Agar aap ko naam badalna ho tou kia naam rakhna pasand karein gee?

woo joo hai wahi sab sey achaa hai...


Q no 10) Mukhaalis sinf mein kaisey log bouhat impress kertay hai ?

bouhot strong hoon.. aurat ki respect kertey hoon... unn ko arzaan naa kertey hoon...aankhoun mein zahaanat ki chamak hoo .. sanjeedaa

..nasehaana andaaz rakhney waley ..


Q no 11) Pakistan mein kon see jaga hai jo bouhat pasand hai aur pasandedgi ki waja ?

mein Krachi mein hi rahi hoon ...kahin jaaney ka ittifaaq nahin huaa iss liyey Karachi hi achaa lagtaa hai.. karachi ki ik ik cheez sey muhabbat hai


Q no 12) Gher ka kon sa kaam shouq sey kerti hain aur kon sey kaam sey jaan jaati hai ?

sab kaam kerti hoon ..sab kaam kerna achaa lataa hai aur kernay bhi tou sab hi hein... jab kernay hi hein tou shouq sey kion na kiyaa jaaey

apnaa gher hai apney log hein ...jaan kion jaaey kisi kaam sey ...


buss zara routi pakaatey howey souchti hon kaash koi aur paka ley /suno Ammi sey kerwaana achaa nahin lagtaa naa iss liyey ham khud hi keraty behnain mil ker sab kaam


Q no 13 ) pareshaani ki haalat mein kia kerti hein ?

pareshaan haan bouhat diptartion ho jaata hai ...routi bhi bouhat hoon ...neend bhi nahinh aati theek sey ..kabhi kabhi saari saari raat nahin souti ...aur din mein gher mein stairs charti uteri hon ...round lagaati hoon...buss bey-dhiyaan ho jaati hoon ...


Q no 14) agar koi jaan sey azeez rooth jaaey tou kaisey manaati hein ?

koushish houti hai ke naraaz na hoo ...aur naraaz ho jaaey tou baar baar waja poochti hoon.. uljhan houti hai ke aisaa kia ker diyaa hai jo koi naraaz hai ...manaaney ki naakaam koushish kerti hon kionke mujhey manaana nahin aata ...routi bhi hon...ke naraazgi kaisey door karoon ...


Q no 15) Aap ki sab sey bari kamzouri ?

dont want 2 tell... kamzouri ko ayaan nahien kertey hain ..ager bata dee tou merey pass raha kiya


Q no 16) Duniya mein aisey 5 maqaamaat jahan jaaney ki khwaahish hoo ?

aur tou kuch khaas nahin ..haan muqaddas muqamaat per jaaney ko dil kertaa hai ...apna NWFP poora
ghomna chaahti hoon...


Q no 17) zindagee ka koi aisaa din jo aaj bhi yaad hai ?

job ka pehla din .. ussi principle key under as a teacher kaam kerna jin ki student reh chuki thi ...
aur unn kaa woo fakhriyaa andaaz ke "see she was my student aur ab meri colleague hai"..


Q no 18) apni sab sey pehli nazm yaa ghazal sunaain ? yeh bhi bataain ke shaairi kab aur kaisey shuro ki ?

Tum tou aisey pooch rahi ho ke jaisey koi manjhi hui ...mash'hor shaaira hoon... shaairi tou buss aisey hi shuroo ker dee thi...HC per thi tab shuroo ki thi....share nahin kerti thi... phir jab HG per compitition houney laga phir mein ney souchaa Try kernay mein kia harj hai...
sab ker saktey hein mein kion nahin ker sakti /ohno tou buss phir shuroo ho gaee...

aur sab sey pehlay yeh nazm likhi thi mein ney ...

Yeh meraa Dil akailaa..

Ajeeb see khaamoushi
Chaar soo sannataa
Kuch an-kahi baatein hain
Ranjish kay silsiley hain
Rat-jagou'n kay qaafley hain
Raat ki muheeb khaamoushi mein
Meri maayoosiyan
Meri tanhaaiyaan
Raqsaan hain chaaroun jaanib
Mein inn kay beech tanhaa
Meray saath saath tanhaa
Hai yeh mera dil akailaa
Hairat sey taktaa inn koo
Aansoo liyey aankhoun mein
Hai poochhta yeh mujh sey
Kaisee yeh khaamoushi hai
Kaisey yeh rat-jagey hain
Kaisey yeh silsily hain
Tujhey kis ney diyey hain
Tu ney kis sey yeh liyey hain
Tuu ney badley mein kia diya hai
Mein hairaan see pareshaa'n
Uss kay inn sawaaloun pey
Hairat uss ko sakti
Yeh souchey jaa rahi hon
Yeh mera dil akailaa
Kion uss sey jaa milaa hai ..!!


Q no 19) Aap ki kis aadat sey dost aur gher waaley bayzaar rehtay hein ?

hmm ..mein khafa bouhat jaldi hoo jaati hoon... routi bhi bouhat hoon issi aadat sey tang hain... aur aap log bataain meri aur kon see aadat sey aap log beyzaar rehtay hein ... ;p aur haan yeh jo mein her waqt bey-dhiyaani mein stairs cherhti uterti hon ...lambey lambey rounds lagaaon ...
tou yeh aadat meri Maa ko pasand nahin ...unn ko uljhan houti hai ... kehti hain chain kion nahin hai ..apney saath saath mera bhi demaagh kharaab ker doo gee...


Q no 20) Zindagee ka woo lamhaa jo aap chaahti hein ke laut aain ?

achaa yeh sunoo aur kai boloon...

Shayed issi ka naam hai majboori e hayaat
Lamhaat jo guzar gaey waapis na aa sakey


Q no 21) agar zindagee mein kuch badalney ka mauqa miley tou kia badlein gee ?

khud ko badloun gee .. aisee Naina na hoo jo kamzour dil hai .. jo kisi ke ansoo nahien daikh sakti ... bouhot strong banna chahti hoon .. bouhot zaidaa....baat bey baat rouna zeher lagta hai mager kiya kijyey ke aadat hai ab...


Q 22) HG mein kis shakhsiyat sey mila chaahti hein ? waja bhi bataain ?

Hmmmmmm...

Tujh sey tou dil kay mulaaqaat ho gaee
Ham khud ko dhoondney kay liyey dar-badar rahey ...



buss ab kiya waja rehjaati hai.. kuch batein bey waja hi achi lagti hain...


Q no 23) Aap kay mashaaghil ?

Hmmm... mashaaghil ....achi books perhti hoon...Umera Ahmed kay novels perhti hoon...poetry ka tou craz hai tou poetry books perhti hoon...aur shaam mein balkey amoman raat mein agar Ammi ka mood achaa ho tou ham walk kernay jaatey hein ...bouhat maza aata hai ...iss kay ilaawa Jagjit ki ghazlein sunti hoon ...aur Fuzon ko sunti hoon .. faarigh zara mein kam hi houti hoon...idher PC per aa jaati hoon ...


Q no 24) likhtey howey kia cheez inspire kerti hai ? jis cheez ko daikh ker ehsaas ho ke yeh lafzoun mein aani chayey

mein na tou koi bouhot bari poetess hoon naa itna likha hai .. bouhot kam aur bouhot bey tukka likha hai .. jo likha ab yaad bhi nahien ke kion likhaa ...


Q no 25) Rnag hamaari zindagee mein kia ehmiyat rakhtey hein ?

Allah Taala jameel hai , iss ney kaainaat ko apney jamaal sey khoobsoorat banayaa hai aur kaainaat mein mukhtalif rang rakhey hein...insaan jo ke ashraf ul makhlooqaat hai aur Allah ney kaainaat ko iss kay liyey maskhar kiyaa...lihaaza iss ki fitrat mein bhi husn e jamaal rakh dee hai yehi waja hai ke rang jo iss kaainaat ki khoobsoorti ka bunyaadi juzw hein insaan koo muttassir kertay hein ...
Rnagoun ki ehmiyyat kisi naabeena fard sey poochi jaaey ke woo gulaab kay surkh rang , aasmaan kay neelay rang aur phooloun kay saarey rangoun aur sabzey ko daikhney ka kion khwaahish-mand hai ?
iss ka jawaab yaqeenan yeh ho gaa ke " mein Allah ki paida kerdaa mukhtalif takhleeqaat koo inn kay asal aur khoobsoorat roop mein daikhna chaahta hoon".
aur phir rang insaan ki shakhsiyyat per bhi asar daaltey hein ..
gehray rang sardi mein kion pehnay jaatey hein iss liyey ke inn sey germi ka ehsaas houta hai halkey aur dheemay rang germi kay ehsaas koo kam kertay hein iss liyey germi mein pehnay jaatey hein issi terha kaala yaa siyaah rang andhairey aur khouf ki alaamat hai , jabkey safaid paakieezgi
ki alaamat ban gaya hai ... issi sey saabit hua ke insaan ki zindagee rangoun sey muzaiyyan her haal mein rehti hai...


Q no26) khushi milti hai tou kaisa lagtaa hai ? aur is ka izhaar kaisey kerti hain?

achaa lagtaa hai …mujhey chouti chouti khushiyaan hi khush ker daiti hein …iss liyey bari bari khushiyoun ka intizaar nahin rehtaa…woo chouti chouti khushiyaan mil jaain kaafi hein …jiss terhaa chouti chouti baatein khush kerti hein kabhi kabhi uss sey chouti baatein khafa bhi ker daiti hein …like agar koi dish bana lon aur gher mein koi taareef ker dey tou buss mein khush hoo jaati hoon kahin Ammi kay saath baahir jaain aur koi kahey aaj mazza aaya naa…aur mein kehti hon haan …buss yehi chouti chouti khushiyaan zindagee ka hissa hein …bari khsuhiyoun kay intizaar mein inn ko feraamoush kerna theek nahin …hai naa …izhaar ka kuch khaas tareeqa nahin …buss khush hoo jaati hoon …


Q no27) Koi aisaa kaam jiss per aap ko fakhr hoo ?

nahin ….mujhey tou yaad nahin pertaa ke aisaa kuch kiyaa hoo jiss per fakhar kiyaa jaa sakey


Q no 28) apni koi aisee taareef joo hameshaa yaad rahi hoo ?

…………



Q no 29) Ideal per yaqeen rakhti hein ? agar haan tou apney ieadl ki khusoosiyaat ginwaain …

nahin jee…nahin rakhti yaqeen


Q no 32) Koun sa sawaal aisaa hai jo aap chaahti houn ke koi na poochey ??

poochaa jaa chukaa hai aur mein ney answer wrong kiyaa hai ;p sorry :blush


Q no 33) faisla kertay howey dil o demaagh ki jung hoo tou kis ki baat maanein gee ??

Loug suntey rahey demaagh ki baat
Ham chaley dil ko rehnumaa ker kay


Q no 34) Kisi kitaab ka koi iqtibaas joo yaad reh gayaa hoo ??

hmm haan , Mushtaaq Ahmed Usfee ki “Aab e Gum” sey share kerti hoon kuch…

Her dukh her azaab kay baad zindagee aadmi per apnaa raaz khoul daiti hai…boudh-gaya ki chhaaoun taley budh bhi ek dukh bhari tapsiyaa sey guzrey thay , jab pait peethh sey lag gayaa , aankhein andhey kowein ki the mein bey-noor huin aur haddiyoun ki maala mein bus saans ki douri atki reh gaee tou Gotam Budh per bhi ek bhaid khulaa , jaisaa aur jitnaa aur jiss kaaran bhi aadmi dukh bhoktaa hai waisa hi bhaid iss per khultaa hai …nerwaan dhoondney waaley koo nerwaan mil jaata hai aur joo duniyaa ki khaatir kasht uthaata hai tou duniya iss ko raasta daiti chali jaati hai…


Q no 35) apna koi sa khwaab bataaiyey joo haqeeqat ka roop dhaar gaya hoo??

abhi tak tou kisi khwaab ney haqeeqat ka roop nahin dhaaraa…waiting for


Q no 36) Pasandeeda shaair aur shaaira aur kion pasand hain ??

pasandeedaa shaair ..hmm Naasir Kaazmi ..mujhey Nasir sahib bouhat pasand hain…udaasi in ki shaairi mein rachi basi hui hai…inn ko udaas logoun kaa shaair kahaa jaata hai …thakan , bey-basi aur karb bhi paaya jaata hai inn ki shaairi mein…buss inn ko perh hameshaa achaa lagtaa hai aur bandaa udaas bhi ho jaata hai …inn ki “maanoos ajnabi” out standing ghazal hai …Wahaab khaan jab uss ko gaatey hein tou aur achaa lagtaa hai …

“Naasir ham ko raat milaa thaa tanhaa aur udaas
Wahi puraani baatein uss ki wahi puaaray roug”

pasandeeda shaaira , Perween shaakir mujhey bouhat achi lagti hein , woo khobsoorat asloob ki shaaira thee’n, unn ki shaairi mein muhabbat ki khushboo paaee jaati hai… in ki kitaab “khushboo” ibtidaa bhi hai aur intihaa bhi jiss ne in ki yeh kitaab nahin perhi uss ney bouhat kuch miss ker diyaa hai…aur inhoun ney sinf e naazuk ki feelings ko apni shaairi mein bouhat umda tareeqay sey bayaan kiyaa hai…Parween shaakir koo mohlat e hayaat bouhat kam mili …magar unn kay likhey howey alfaaz aaj bhi saans ley rahey hein….woo hameshaa khushboo kay hawaaley sey pehchaani jaati rahein gee … In hi ka ek sher sunaati hoon…

“Ham tou samjhey thay ke ek zakhm hai bhar jaaey gaa
Kia khabar thi ke rag e jaa’n mein uter jaaey gaa”


Q no 37) Aap ki nazar mein muhabbat kia hai ??

Joo bhi kuch hai muhabbat ka phailaao hai
Teray meray abad kaa kinaara hai yeh
Isstiaara hai yeh
Roop ka daao hai
Piyaar ka ghaao hai
Joo bhi kuch hai muhabbat ka phailaao hai
Subah dam jiss ghari phool ki pankhari
Auss kaa aaina jagmagaaney lagaa
Ek bhanwraa wahin daikh ker kahin
Shaakh ki aut sey sar uthhaney lagaa
Phool, bhanwraa talaatum hai, thhehraao hai
Khwaab kia kia chuney , jaal kia kia buney
Mauj thamti nahin, rang ruktey nahin
Waqt kay farsh per , khaak kay raqs per
Naqsh jamtey nahin, abr jhhuktey nahin
Her musaafat ki dori ka simtaao hai
Joo bhi kuch hai muhabbat ka phailaao hai ..!!!


Q no 38) aik ghazal ya nazm jo lagtaa hai ke aap ki akkaasi ker rahi hoo ??

hmmm..!!!


Q no 39) jab koi azez shakhs dhouka dey tou kaisaa mehsoos houtaa hai aur aap ka kia radd e amal ho gaa ??

abhi tak aisaa huaa tou nahin…Allah na karey ke aisaa hoo…iss ka radd e amal nahin souchaa aur naa souchnaa chaahti hoon …


Q no 40) koi aisaa jiss kay binaa zindagee naa-mukammal lagti hoo ??

LOLzzzzzz mujhey nahin thaa pata ke itnaa personal bhi pochaa jaata hai mein tou nahin bataa rahi LOLzzzzzz


Ke Raja sey Raani mili thi kahaa’n…


Q no 41) Art kis shakal mein achaa lagtaa hai ? ( shaairi , mauseeqi, tasweerein ya kuch aur )

Shaairi…
Sach …ek poora sach hamaara Rab hai jiss ney yeh kaainaat aur phir insaan koo paidaa ker kay dono kay maabeen taalluq paida kiyaa …yeh kaainaat sach hai aur iss kaa her zarra bhi , insaan aur uss ki her saans , zindagee aur iss ka her roop , duniya aur iss ka her rang , loug aur unn ka her maslaa, dukh aur uss ki her shiddat , khushi aur uss ki sarshaari aur aakhir mein maut aur uss mein chupa her raaz sach hai sirf aur sirf sach…ek aisaa sach jissey maano tab bhi sach hai aur naa maano tab bhi iss mein koi farq nahin pertaa …Shaairi ney in haqaaiq koo apney ander samoo liyaa hai tou phir saabit huaa na ke shaairi sach boulti hai aur agar yeh jhoot boulti tou iss ka wajood ab tak mit na jaata ? …

Laakh perdoun mein rahoo bhaid meray khoulti hai
Shaairi sach boulti hai
Mein ney daikhaa hai ke jab meri zubaan doulti hai
Shaairi sach boulti hai
Teraa issraar ke chaahat meri bey-taab na hoo
Waaqif iss gham sey meraa halqa e ehbaab na hoo
Tuu mujhey zabt kay sehraaoun mein kion roulti hai
Shaairi sach boulti hai
Mein ney iss fikr mein kaatee’n kaee raatein kaee din
Meray sheroun mein teraa naam na aaey laikin
Jab teri saans meri saans mein rass ghoulti hai
Shaairi sach boulti hai


Q no 42) koi aisaa kaam jiss per aaj bhi pachtaawa houta hoo ??

hmmm..joo guzar gayaa soo guzar gayaa…uss pey kia pachtaanaa..ab aagey ki souchan chayey ke kuch aisaa dubaara naa hoo ke jiss per pachtaaya jaaey…


Q no 43) agar kisi ko aap ki jaasoosi per maamoor kiya jaaey tou kia inkishaaf ho gaa??

agar kisi ko jaasoosi per maoor kiyaa jaaey tou ussey yeh yeh pata chaley gaa…ke ..haan yeh waqaee bey-waqoofoun ki malkaa hai… LOLzzz


Q no 44) bachey iss duniyaa mein khobsoorti ka ehsaah houtey hein ? aap ki kia raaey hei inn kay baarey mein ??

Bachey mann kay sachey…phool aur bachoun mein koi farq nahin…mein tou aadhaa din bachoun mein hi ghiri rehti hoon …inn ki masoomiyat ko bouhat qareb sey daikhaa hai…phool jgnoo, khushboo aur bachey duniyaa ki khoobsoorti ki alaamat hein …


Q no 45) agar aap likhtin naa tou kaiseey apney aap ko express kertin ??

nahin abhi bhi kahaan likhti hoon ..haan express hoo jaata hai khud ba khud…


Q no 46 ) Zindagee ko lafzoun mein dhaallein gee tou wo kaisee lagey gee ?

Zindagee….Iftikhaar aarif joo kehtay hein mein bhi wahi kehti hoon ke…


“ Meri zindagee buss ik kitaab hai
Ek chiraagh hai
Ek khwaab hai aur tum hoo
Yeh kitaab o khwaab kay dermiyaa’n
Joo manzilei’n hain
Mein chaahta hoon
Tumhaarey saath basar karoon
Yehi kul asaasa e zindagee hai…issi koo zaad e safar karoon
Meray dil jada o khush pey bajuz tumhaarey
Kabhi kisi ka guzar na hoo
Magar iss terha ke tumhein bhi khabar na hoo..!!!



Q no 47) Subah ka pehlaa ehsaas ??

phir ek nayaa din ….


Q no 48) HG per ksi sey sab sey ziada dousti hai ?

Hmm bouhat achey achey friends hain meray idher..aur sab mujhey achey lagtey hein …Dovy sey bouhat dosti hai…Cuti , Abral , Maham , Roshni , Biya, Moeed, Twins (mahee , sagar) , Adeel, Fahad , Tweedle, Naween , Sadi inn sab sey bouhat achi dosti hai …aur bhi bouhat achey achey hein sab …abhi naam zehen mein nahin aa rahey



Q no 49) sawaal jitney poocho kam lagtey hein ..aap ko inn sab sawaaloun ka jawaab dey ker kaissa lagaa ??

jawaabat dey ker mujhey lagaa ke khud sey baatein ker rahi hoon… Koi mehw e samaat hi nahin thaa…


Q no 50) HG kay saathiyoun kay naam koi naseehat , koi paighaam koi duaa??

hmm haan buss ek chouti see duaa hai sab kay liyey ….


Maulaa ! tujh sey aaj ki shab
Buss ek duaa hai…ek duaa
Bey-shak meri aankhoun ki qandeelein na qaaim rakhnaa
Laikin uss kay khwaab ka roushan diyaa salaamat rakhnaa
Maulaa! Meri umr kay chaahey saarey deep bujhaa dainaa
Laikin uss ki aankhoun kay sab khwaab salaamat rakhnaa….
Digg this Post!Add Post to del.icio.usBookmark Post in TechnoratiFurl this Post!Submit to Yahoo!Submit to Google!Submit to Live!Submit to Facebook!Submit to Ask!Submit to StumbleUpon!Submit to Squidoo Submit to Netscape Submit to SlashDot Submit to Reddit Submit to FarkSubmit to Newsvine
Reply With Quote
Reply

Tags
naintara

Thread Tools

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are Off
Pingbacks are Off
Refbacks are Off

Urdu Poetry Forum RSS Feed One of the largest message boards on the web ! Photo Gallery RSS Feed

eXTReMe Tracker


All times are GMT +1. The time now is 10:12 PM.


Copyrights: All rights reserved.

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75 76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 87 88 89 90 91 92 93 94 95 96 97 98 99 100 101 102 103 104 105 106 107 108 109 110 111 112 113 114 115 116 117 118 119 120 121 122 123 124 125 126 127 128 129 130 131 132 133 134 135 136 137 138 139 140 141 142 143 144 145 146 147 148 149 150 151 152 153 154 155 156 157 158 159 160 161 162 163 164 165 166 167 168 169 170 171 172 173 174 175 176 177 178 179 180 181 182 183 184 185 186 187 188 189 190 191 192 193 194 195 196 197 198 199 200 201 202 203 204 205 206 207 208 209 210 211 212 213 214 215 216 217 218 219 220 221 222 223 224 225 226 227 228 229 230 231 232 233 234 235 236 237 238 239 240 241 242 243 244 245 246 247 248 249 250 251 252 253 254 255 256 257 258 259 260 261 262 263 264 265 266 267 268 269 270 271 272 273 274 275 276 277 278 279 280 281 282 283 284 285 286 287 288 289 290 291 292 293 294 295 296 297 298 299 300 301 302 303 304 305 306 307 308 309 310 311 312 313 314 315 316 317 318 319 320 321 322 323 324 325 326 327 328 329 330 331 332 333 334 335 336 337 338 339 340 341 342 343 344 345 346 347 348 349 350 351 352 353 354 355 356 357 358 359 360 361 362 363 364 365 366 367 368 369 370 371 372 373 374 375 376 377 378 379 380 381 382 383 384 385 386 387 388 389 390 391 392 393 394 395 396 397 398 399 400 401 402 403 404 405 406 407 408 409 410 411 412 413 414 415 416 417 418 419 420 421 422 423 424 425 426 427 428 429 430 431 432 433 434 435 436 437 438 439 440 441 442 443 444 445 446 447 448 449 450 451 452 453 454 455 456 457 458 459 460 461 462 463 464 465 466 467 468 469 470 471 472 473 474 475 476 477 478 479 480 481 482 483 484 485 486 487 488 489 490 491 492 493 494 495 496 497 498 499 500 501 502 503 504 505 506 507 508 509 510 511 512 513 514 515 516 517 518 519 520 521 522 523 524 525 526 527 528 529 530 531 532 533 534 535 536 537 538 539 540 541 542 543 544 545 546 547 548 549 550 551 552 553 554 555 556 557 558 559 560 561 562 563 564 565 566 567 568 569 570 571 572 573 574 575 576 577 578 579 580 581 582 583 584 585 586 587 588 589 590 591 592 593 594 595 596 597 598 599 600 601 602 603 604 605 606 607 608 609 610 611 612 613 614 615 616 617 618 619 620 621 622 623 624 625 626 627 628 629 630 631 632 633 634 635 636 637 638 639 640 641 642 643 644 645 646 647 648 649 650 651 652 653 654 655 656 657 658 659 660 661 662 663 664 665 666 667 668 669 670 671 672 673 674 675 676 677 678 679 680 681 682 683 684 685 686 687 688 689 690 691 692 693 694 695 696 697 698 699 700 701 702 703 704 705 706 707 708 709 710 711 712 713 714 715 716 717 718 719 720 721 722 723 724 725 726 727 728 729 730 731 732 733 734 735 736 737 738 739 740 741 742 743 744 745 746 747 748 749 750 751