It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Hasil-e-Zeest within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; 1 din baad opz mera matlab 10 saal baad ap khud ko kahan daikhti hain ? dus saal kay baad ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| 1 din baad opz mera matlab 10 saal baad ap khud ko kahan daikhti hain ? dus saal kay baad main apnay aap ko apni life main set or dobara say apni kitabon wali routine bana kay sub kuch bhool bhal kar khush baash dekhti hoon [apni family kay saath ]bachpan ka koi sa eik yaadgaar waqiyaa yeh thora sa serious qisam ka waqia hai .. bachpan main aik martaba main akeli apni daadi kay kamray main soye thee bohat garmi thee or light chali gaye .. main andheray say darti hoon to harbara kay uthi main to glass ko thokar lagi or kaanch toot kay meray pair main lag gaya tha.. actually main itni dari hoye thee kay woh sub aaj bhi yaad hai..... shadi ka naam sun kay sab say pehlay kia ataa hai zehen main ? responsible hona paray ga [museebat] :p humaray jiju ka naam or qualities bataeen jaeen neez ounko handsome gadhay kay sath compare kia jaey ... umeed hai tumko pata hoga handsome gadhay say kia muraad hai meri ? naam: shahid dar or qualities to tubhi bataye ja sakti hain jub main unko bohat closely janti hoon to abhi main nahin bata sakti hoon waisay suna hai kay kam boltay hain :p comparison : handsome gaghay say bohat bahtar hain .. umar main bhi kaafi baray hain .. or sub say important baat main unki mangaitar hoon [meri parosan nahin] dosroon ki kis baat pay bohot ghussa ata hai ? baat barhanay par..... [baat mukhtasir or dotok honi chahie] bheegi shaam ko kabhi thapar mara .. agar nahi tou kyon nahi ya ouski koi aesi baat jis nay tum ko bohot tapya ho ? nahin main nay kabhi anila ko thappar nahin mara [marna chaha zaroor] or nahin is liye kay ... kabhi zaroorat nahin pari uskay baghair bhi baat samjha laiti hoon main :p .... uski do bataon say main tup jati hoon ..... aik to phone par baat kartay ho woh kahti hai ..... or.... phir thori dair baad ....or to is say mujhay gussa aata hai or aik or hai .. woh har baat par bol deti hai ... i dunno :p koi aesi cheez jo life main karna chahti hoo .. bohot arzoo hai ousay karnay ki ? haan, main chotay chotay bachon kay liye kuch karna chahti hoon.. jo choti choti umron main kaam kartay hain unkay liye.. i wish i could do somethin koi aesi adat jisay choorna chahti ho ? haan, main baat dil main chuppaye rakhti hoon to nuqssan hota hai isay main chor dena chahti hoon koi aunty bolta hai to kitnay liter khoon barh jata hai tumhara .. humain exact measurments chaiyeen exact meaurment aap ghar aa kay lay jain :p ... or mera khoon koi nahin barhta hai /jin college life main koi aesa kaam kia hoa jisay sooch kay aj bhi hansi ati hai ? hmm jub mairay exams hotay thay to main main din raat paglon ki tarah say parha karti thee kyon kay sara saal main kitabon ko hath bhi nahin lagaya karti thee .. ab apni shakal or haalat soch kar hunsi aati hai kay aisa koi darnay ki baat bhi nahin hoti thee :p ghar main sab say zada close kis say ho ? kyon? bhayion kay....or kyon.. is liye kay woh meray jessa sochtay hain .. mujhay sairain bhi karatay hain.. humari achi understandin hai is liye board per kis member ka sar toornay ka aksar dil karta rehta hai ? apki shaoolat kay liyay eik say zada shaksiyaat bhi ho sakteen hain naam likh dooon :p koi aesi shaksiyat board pay jis say milnay ka bohot ishteyaaq ho ? basit say.. ya phir larkiyon say nain tara, cc, abresham, fasana, roshni, biya, maham Kon sa mosam bohot pasand hai ? kyon ? spring acha lagta hai kyon kay phool aa jatay hain us main ap ka pasandeedah shier ya ghazal ? koi yeh kessay bataye kay woh tanha kyon hai pasandeedah libaas ? trouser shirt pasandeedah khusbuu? elizabeth arden [fifth avenue] waisay mujhay sari hi pasand hain achi wali khana pakanay ki training kahan say hasil ki ...? sab say achi cheez jo aj tak pakaie ho ? kahin say bhi hasil nahin ki hai or sub say achi cheeze aaj tak cake hi banaya hai sir mix kar kay bake hi to karna hota hai ![]() pehli mulaqat main kis cheez ko zada notice karti ho ? phone per baat karnay main kia cheez impress karti hai ? .. or main nay kitna impress kya tum ko ... ( 100% say kaam ka # non acceptable hai samjhi ) aawaz or batain karnay kay baad zahanat..... phone par baat kartay hoye awaz bohat impress karti hai... [aap nay jitni bhi impress kiya tha pm main mil jaye ga aap ko ] pasandeedah khanaa kia hai ? kabab...pizzzza .. chicken tikka pasandeedah rang kia hai ? black, mint green jazbaat ka izhaar asani say ho jata hai ya bohot mushkil hoti hai ? bohat mushkil say sab say bari kamzoori kia hai ? bata to main doon "sub hulf lain kay use nahin karain gay " agar ksi time period main rehnay ka chance milay to kahan rehna pasand karo gi ? or kyon ? kissi main bhi nahin main jahan hoon wahen khush hoon ![]() koi ahem faisla kartay waqat kya baat mad day nazar rakhti ho ? yeh kay sachai say ho or balanced ho larkoon ko daikhtay hi kia kheyal ata hai zehen main ? "itnay buray bhi nahin hain" eik din ki badshahat mil jaey to kia kaam karain geen ? koi say 5 kaam bataeen? 1: main khana kaba ko andar say bhi dekhna chahoon gi [badsha ko to ijazat hoti hai na] 2: chotay chotay bachon kay liye high school tak pak main bhi education free ho gi... 3: main apni tabiyat main thori si saadgi lay aaon gi [main khasi bigri hoye hoon or badsha to model hota hai agar main acha karoon gi to sub hi acha karain gay bhalay say woh aik hi din kay liye ho] bus teen hi kaafi hain ![]() kon si gari sab say zada achi lagti hai ? bentley, waisay mujhay sari hi gariyan achi lagti hain .. chumakti hooye. or trucks ziyada achay lagtay hain ![]() koi aesa kaam jisay karnay ki bohot chah thi magar poora na ho saka ? mujhay aik dafa wtc ko ooper say ja kay bhi dekhna tha.. magar afsos un ghunchon par ;) favt movie ? kyon ? ijazat, teen logon kay bohat sari batain waqt par na kahnay ki waja say or clear na karnay ki waja say.. teeno kay hi haath khali rah jatay hain.... kyon, bus meray dil ko choo gaye thee.. kissi nay bohat dil say likhi ho gi phir bohat dil say hi sub nay perform bhi ki thee.. or har har jumlay ko feel kar kay dekha hai main nay sab say zada dar kis baat say lagta hai ? andhairay say jab tabiyaat udaas ho to kia karti ho ? khood ko bahlanay ki koshish karti hoon pahlay .. phir jub udaasi na khatam ho rahi ho to finally ro bhi parti hoon apka weight kitna hai ? sachi sachi batana acha 127 pounds.... such hi bataya hai :p cig PEENAY walay kesay lagtay hain ... ? agar woh eis adat ko choor dain to acha hoga ya bura ? kyon ? buray lagtay hain..[rail kay engine /jin ] yeh aadat chor dain to bohat acha ho ga... kyon... main nahin bata sakti hoon kon sa kaam karna bohot mushkil lagta hai ? khana banana shopping main zada maza ata hai ya parties main ... or kyon ? shopping main mazza aata hai ....kyon, is liye kay mazzay say jo mujhay chahie hota hai main khareed laiti hoon agar maazi main say ksi cheez ko badalnay ka moqa milay to kon si cheez badloo gi . koi si eik batao ? main wapis ja kar aik shakhs ko apni zindagi say baydakhal karna chahoon gi kitchen section main na anay ki wajah ? na poochiye..... actually anila or main nay mil kar aalo maithi banaye thee.. [actually sirf anila nay hi banaye thee.. main nay sirf aalo or tamatar katay tha nafasat say :blush] to main nay jo garbar machaye thee anila nay dhumki di kay woh post karay gi sub kuch to main nay socha dekh hi loon kahin us nay such much post na kar di ho :p yeh thee waja chaand pay janay ka moqa milay to wohan jaa kay sab sey pehla kaam kia karo gi .. mati jama karnay kay elava ... moqa milay bhi to main nahin jaon gi .... akeli mujhay kia karna hai chaand par ja kay ..... ;) duniyaa main kis jagah ghooma chaho gi or kyon ? europe, karachi ..... dono hi jaga jana hai .... kyon, mujhay kuch chezon say mil kar kuch kahna hai...kuch jagho par ja kar .. gaye baton ko duhrana hai kis cheez ko daikh kay dil khoon kay ansu rota hai ? chotay bachon ko kaam karta howa dekh kar jub kay unkay khelnay or parhnay kay din hotay hain apnay ap kay baray main kia raey hai tumahri ? yeh dosray bahtar bata saktay hain ![]() aj kal kay hallaat ko daikhtay hoay kon si umr shadi kay liyay behtereen hai ? mujhay kia pata ... [mujhay to yeh bhi samajh main nahin aaya hai kay yeh sawal tum nay poocha kyon hai main koi daadi amma hoon ;) ] bhaiyoon say nipatnay ki kuch asaan tarkeebain bataou ... koi si bhi 3 ? 1: ziyada hi mazak farma rahay hon to aik dum say serious ho jaye mahol khoodbakhood qaboo main aa jata hai 2: dhumkiyan dain .. kay agar woh baat nahin manain gay to unkay "hidden affair" itna hi kaafi ho ga :p do hi aati hain mujhay eid ka chaand nazar atay hi sab say pehlay kia cheez soochti hoo ya KISKAY baray main soochti ho main dua manga karti thee ... ab to arsa howa dekh hi nahin bachay kesay lagtay hain ... especailly ziddi bachay ? kia soochti ho bachoon ko daikh kay ? i love kids.... ziddi bachay or achay lagtay hain [meray jessay jo hotay hain :p ]... unko dekh kay sochti hoon Allah tala nay unhain itna pyaara kyon banaya hai .... abhi eis waqat kya sooch rahi hoo kesssay ghair maroof or gumnaam say thay pahlay pahlay .... kitnay sawaloon main shaam say madad li hai .. sachi sachi bataou ? kissi aik main bhi nahin ... koi sa bhi janwar palnay milay to kia paloo gi ? main nahin paloon gi janwar..... [waisay mujhay lion acha lagta hai ] agar ksi sawal ko paas kia hai to foran wapis jaa kay ous ka jawab dou ... or ab yeh bataou kesa laga yeh interview .. or kitna zada pyaar aa raha hai mujh pay koi pass hi nahin kia hai .... mazza aa raha hai .... or tum par bohat pyaar aa raha hai .... mila na kahin /jin Aap ke nazar mein Mukamal Shakhsiyaat kaya hai ??? jis kay dil main dhier sari jagah ho or woh bohat sari baton ko maaf kar sakay Tunhai..... kiyon pasand hai ??? .. andar jhanknay ka moqa milta hai .. or jub main akeli hoti hoon to baray mazzay say or achi batain sochti hoon .. kabhi likh loon to baad main parh kay or bhi mazza aata hai .. yoon samjhaiye kay khood apnay andar wali larki ki company main mazza aata hai Quote: 1) 1 din baad opz mera matlab 10 saal baad ap khud ko kahan daikhti hain ? dus saal kay baad main apnay aap ko apni life main set or dobara say apni kitabon wali routine bana kay sub kuch bhool bhal kar khush baash dekhti hoon [apni family kay saath ] A. it seems you are out of your previous routine! kab say yeah routine choooti hoi hai.. aur kya wajoohaat raheen hain iss routine kay chootnay kee ? jub shadi hoti hai to bohat kuch badal jata hai aisa mujhay lagta hai .. to jo routine ab hai woh change ho jaye ga.. kitabon ko to main bhool hi jaon gi cuz of masroofiyat.. to dus saal main mujhay lagta hai sub kuch aitadaal par aa jata hai to is liye kaha tha B. Aap nay kuch bhoolaanay ke baat kee.. aisa kaya hai jis ko bhoolna chahtee hain.. ?? bohat sari batain hain.. choti choti batain dil main rakh kar rotay rahna kurhtay rahna.. [main kuch or bari ho jaon gi mazeed to yeh nahin karoon gi sari batain bhool jaon gi ] C. Family kay sath tu aap ab bhi hain.. here you mean your family.. i mean... jee wohi matlab tha main /loser Quote: * 2) bachpan ka koi sa eik yaadgaar waqiyaa yeh thora sa serious qisam ka waqia hai .. bachpan main aik martaba main akeli apni daadi kay kamray main soye thee bohat* garmi thee or light chali gaye .. main andheray say darti hoon to harbara kay uthi main to glass ko thokar lagi or kaanch toot kay meray pair main lag gaya tha.. actually main itni dari hoye thee kay woh sub aaj bhi yaad hai.....* D. Andhairay say dar... kab aur kaisay baitha.. kaya ab bhi andhairay say dar lagta hai jub main choti thee tub hi baitha ho ga zahen main or kessay to mujhay yaad nahin hai ....or haan ab lagta hai dar E. Kaya woh dar jo pachpan mein aap kay dil mein baitha kaya abhi tuk hai dil mein hee... ya uss say chutakara panay mein kamyaab hoo sakeen haan abhi bhi dil main chuppa baitha hai or ... chutakar to nahin mila hai abhi tak Quote: * 3) shadi ka naam sun kay sab say pehlay kia ataa hai zehen main* ? responsible hona paray ga [museebat]* :p F. Responsible honay say itna ghabrati kiyon hain ghubrati is liye hoon kay apnay ghar main .. mujhay bohat mazzay main rakha gaya hai to aadat nahin hai koi zimadari nibhanay ki.. mujhay pata hai main nahin karoon gi to bhi kuch nahin ho ga na koi dantay ga// to isi liye G. Un batoon ko list down kijiyeah which you think comes under responsibility category... subha subha jaldi uthna khana banana daily sub ka khayal rakhna laundry karna or mahmaan aain to unko company dena always at ur service type ki larki ho jana Quote: 4) humaray jiju ka naam or qualities bataeen jaeen* neez ounko handsome gadhay* kay sath compare kia jaey* ... umeed hai tumko pata hoga handsome gadhay say kia muraad hai meri* ? naam: shahid dar or qualities to tubhi bataye ja sakti hain jub main unko bohat closely janti hoon to abhi main nahin bata sakti hoon waisay suna hai kay kam boltay hain* comparison : handsome gaghay say bohat bahtar hain .. umar main bhi kaafi baray hain .. or sub say important baat main unki mangaitar hoon [meri parosan nahin]* H. Apnay Naam kay aur UN kay naam kay mainee bataiyeah zara meray naam... gulab ko jo bhi kahian woh gulab hi rahta hai :p so mera naam itna masla nahin karta hai sahib ka naam... shahid.. it means "witness" mera kahayal hai yehi hai I. Aapko kam bolnay wallay loug kaisay lagtay hain achay to lagtay hain magar kabhi kabhi masla kar daitay hain J. Aap kay khayaal mein umaroon kay faraq say izdawaaji zindagi mein kaya asraat muratab hootay hain ? bohat saray hotay hain...aik 20 year old differently sochta hai or 30 year old differently .. cheezon ko dono hi apni tarah say percieve kartay hain to yeh baat mujhay lagta hai masla kar deti hai.. [aisa abhi lagta hai] K. Aap yaqeenun un say milli hoi hain, jo pehli raye un kay baray mein un ko daikh kay ya un say baat kar kay paida hoi munasib samjhiyeah tu zara bataiyeah ga... mil kar to koi raye nahin banaye thee.. haan baat kar kay mujhay laga " he cares for me" :blush Quote: * 5) dosroon ki kis baat pay bohot ghussa ata hai ? baat barhanay par..... [baat mukhtasir or dotok honi chahie] L. Jab ko adhi baat karta hai.. matlab adhori baat karta hai.. par mukhtasar, tu kaisa lagta hai ? aadhi baat jhunjlahat main mubtala karti hai.. or mukhtasir bhi ho to bhi buri hi lagti hai .. gussa aata hai M.Kabhi aisa howa kay dil chahay koi baat karta rahay aur aap sunti rahayain haan, aisa howa hai Quote: 6) bheegi shaam ko kabhi thapar mara .. agar nahi tou kyon nahi ya ouski koi aesi baat jis nay tum ko bohot tapya ho ? nahin main nay kabhi anila ko thappar nahin mara [marna chaha zaroor] or nahin is liye kay ... kabhi zaroorat nahin pari uskay baghair bhi baat samjha laiti hoon main .... uski do bataon say main tup jati hoon ..... aik to phone par baat kartay ho woh kahti hai ..... or.... phir thori dair baad ....or to is say mujhay gussa aata hai or aik or hai .. woh har baat par bol deti hai ... i dunno i. agar pardais mein anila aap kay pass na hooti tu kaya hota to main bohat akeli ho jati ... kuch to main hoon hi akeli kuch or hi ho jati ii. kabhi aisa howa kay aapko laga hoo kay agar aap nay kuch kiya ya mazeed bola tu no wonder anila hee kuch suna dai ya phir .... nahin .... anila kabhi kuch nahin karay gi .. i am dead sure abt it .. main bhalay ki out ho jaon iii. agar anila aap say umar mein bari hooti tu kaya phir bhi aap ka relationship aisa hee close hona tha ya phir nahin phir aisa nahin hota jaisa ab hai Quote: 7) koi aesi cheez jo life main karna chahti hoo .. bohot arzoo hai ousay karnay ki ? haan, main chotay chotay bachon kay liye kuch karna chahti hoon.. jo choti choti umron main kaam kartay hain unkay liye.. i wish i could do somethin iv. let assume kay you got all the power to do what ever you want to do... tu kaya karain gi aap aisay bachoon kay liyeah ... ?? pahlay say to main kuch nahin bolon gi .. mujhay acha hi nahin lagta hai v. aur kaya kuch aisa bhi kar sakkain gi kay aap kay baad bhi child labour eliminate ho sakay ? or just to satisfy your inner do something got instant results ? haan main koshish karoon gi kay aisa kuch ho sakay kay meray baad bhi sab kuch jari rahay vi. you selected only this.. do you think its the worst things need your attention to be rectified.. or there are other things around you as well ? no, i know there are a lot more things which should be rectified.. but child labour makes my heart really hurt.. Quote: 8) koi aesi adat jisay choorna chahti ho ? haan, main baat dil main chuppaye rakhti hoon to nuqssan hota hai isay main chor dena chahti hoon vii. kabhi aisa howa kay kissi ko dil ke koi baat bataye ho bohat kam viii. if yes to above, are you regretting it now no ix. if yes to above again, is that the reason you dont tell anyone anything and hold it back ? i didnt say yes .. ;) x. what do you think what should happen that helps you to change this habit of yours ? samnay walay ko bohat acha or bohat patient or bohat carin or bohat lovin hona chahie to i just guess kay kuch ho sakta hai .. warna nahin Quote: 9) koi aunty bolta hai to kitnay liter khoon barh jata hai tumhara .. humain exact measurments chaiyeen exact meaurment aap ghar aa kay lay jain ... or mera khoon koi nahin barhta hai xi. larkiyaan umar kiyon chupaati hain (generally), i mean koun sa jazba hai jis ke taskeen iss chootay say jhoot say milti hai ? mujhay khood pata nahin hai kay kyon chupati hain ... or aik kameeni si khushi hoti ho gi meray khayal main xii. aap ko agar koi kam umar dosheeza samjhay tu khushi hooti hai ya phir agar koi aap ko apna bara samjhay tu ? koi bara samjhay to main ziyada easy feel karti hoon xiii. are you bossy by nature or friendly ? bossy xiv. you feel more relax in age group of 30+ or 20+ ? 20+ ;) :p xv. what is the age group of your most of friends ? 20+ :p aunty aap aunty kyun hain ? to main aaunti is liye hoon kay main duniya main aap say kaafi arsa pahlay tashreef lay aaye thee :p /loser mera HZ say sawal hai k aap ki pasendeda book kon c hai jisay aap ney baar baar perha ho aur aap ka fav. writer kon hai. main nay "ali poor ka aili" bohat parhi hai or is kay ilawa " raja gidh" bhi bohat parhi hai..... mumtaz mufti.. mujhay achay lagtay hain yeh aap bukwasi kub kehti hein .. ?? aur yeh aap ka khud ka banaya howa lufz hai ya kisi se chora ke bunayaa hai ?? bakwasi main tub kahti hoon jub gussa to ho magar saath main pyaar bhi aa raha ho :p Biya ka khaaka perh ker kya zehun mein aaya tha ??? sub se pehli cheez .. ager yaad naa aaey tao jaa ker perhein phir duabra .. aur jawab dein ![]() khaka parh kar pahli cheeze yeh aaye thee zehan main kay main itni funny kahan say lagti hoon ;) Aap ko itney roob rukhne ka shauq hai .. ager aisa waqt aaey keh bheegi aap hoon aur aap bheegi tao kaisa lageyga .. ??? kya waqayi mein aap bheegi jaisi bun paaayeingi ?? mujhay koi khas shouq nahin hai chunda.. bus image khood ba khood aisa hi ban jata hai to .. main bhi enjoy karti hoon..or sawal kay dosray hissay ka jawab yeh hai kay ....awal to aisa ho nahin sakta hai .. or agar ho bhi to main anila jessi nahin ban sakti hoon app ka real name dob and star? naam rahnay detay.. may 7 1979, taurus zindagi ka koi nakhushgawar waqia? exams main aik dafa meri bus choot gaye thee to mujhay bohat bura laga tha apni koi adat jo pasand hoo? meri bayniyazi :p kiya app samjhti hai ke app aik mokamel shaksiyat ki malik hain? nahin zindagi main kisi chez ki kami mehsos hoti hai chahe wo koi insan he ku na hoo? kuch lafz thay .. meray hissay kay .. woh mil jatay to acha tha kabhi kisi se nafrat ki? nahin waqt ki pabundi kerti hai? koshish zaroor karti hoon .. aksar say bhi ziyada time par hi hoti hoon ![]() akhri bar kab roye thi or ku? parson friend say jhagra howa to raat ko aansoo aaye aankhon main books read kerti hai kis kisam ki? achay achay writer si .. main sari hi kitabain parh laiti hoon kiya app tanahi pasand hain? jee haan ![]() chand ko dekh ker kiya khayal ata hai. or chand ko sub khobsurat he ku kehte hai? chaand ko dekh kar khayal aata hai kay .. agar chaand na hota to raat kitni adhoori si hoti.... or taray kinay udaas.... kyon kay woh hay hi khoobsoorat.. koi best friend hai iska naam? ayesha hg main app ko sub se acha section kaun sa lagta hai? urdu adab saray ka saray acha hai main hoti bhi ziyada tar wahen hoon koi isa geet ya ghazal jo app samjhti hoo ke ap ke hasbe hal hai? kai aakaas bailain hain jo andar say chimti hian zaroori to nahin yeh kay shakon par darkhton ki utar aaye woh peela rang bazahir kuch nahin unko magar jub waqt aata hai to tahna toot jata hai kissi ki dakhli soorat koi kaisay samajh paaye usay kahna.. ghair bhar ko meray dil main utar aaye fav.personality? QUAID E AZAM koi nasehat jo kerna chahay? koi si bhi nahin ... naseehat ki jissay zaroorat ho woh sunta nahin hai or jo sunta hai usay zaroorat nahin hoti hai app ke khayal main mohabbat main izhar zarori hain ya khamosh mohabbat achi hote hai? izhar karna zarooi hota hai mohabbat kiya hai? main nay subhi sawalon kay jawab diye hain isay main "pass" karna chahoon gi mohabbat ka melna acha hai ya na melna? na milna hi acha hai.. bohat sari bataon ka bharam rah jata hai .. ager app ne shairi ki hai tu apna koi shair ya nazam tahrer karain? bohat arsa pahlay yeh aik choti si nazm likhi thee yeh suna deti hoon tum ko bhool janay ka ehad main nay kiya barha khood say phir woh ehad dil ki sub say nichli teh main apnay hathon say dafnaya hai fav.zodiac? capricorn aap yeh batayiye kay hum dono main say ziyada khoobsoorat kon hai.. /jin aap ziyada khoobsoorat hain [main jhoot bol rahi hoon /jin ] aap kehti hai ke Zeest ka hasil hai " Muhabbat " to phir is ka izhaar kerte waqt ego ko kyon beech main aane deti hain tum ko aakhir masla kia hai itnay mushkil sawal karnay ka aakhir matlab kia hai....use na kiya karo knowledge ko ziyada |
![]() |
| Tags |
| hasilezeest |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| *!* Hayat Ka Hasil *!* | Heart_Beat | Ashaar - Misc | 14 | 05-04-2008 02:01 PM |
| Yeh Jo Zeest Ka safer Hai.... | ayankhan | Ghazal | 7 | 03-11-2008 01:10 AM |
| ye jo zeest ka safar hai | \*-*!*-*PaRiArEeBa*-*!*-*/ | Nazam | 17 | 10-14-2007 09:14 AM |
| ~!! Atta Kar Key Merii Zeest Ko Hijjr Kii Aziyatien !!~ | ~ HijR ~ | Ghazal | 4 | 10-13-2007 02:55 AM |
| La HasiL | sirra | Urdu Poet Club | 17 | 08-17-2007 01:18 PM |