It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Great Jasoosa within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; Q) Aap ka asal naam A) Afeefa ;;) Q) Aap kee jaey paidaaish, tareekh-e-paidaaish Aaj kal kahan hain? A) main ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Q) Aap ka asal naam A) Afeefa ;;) Q) Aap kee jaey paidaaish, tareekh-e-paidaaish Aaj kal kahan hain? A) main lahore main hoee thee ;;) 22 sep 1983 ;;) aaj kal main uk main hoon /angel Q) shadi shuda hain ya gair shadi shuda? aur shadi ka kab tak irada hai A) ghair shadi shuda hoon /beauty /sharmili aur jab koee larka mill gaya tab kar loon gee Q) ghar main kitnay loog hain aur sab say zayada dosti kis say hai ? A) ghar main 6 loog hain aur sab kay saath hee dosti hai /hug Q) Aaj kal kya kar rahi hain? parhai,job ya ghar daari A) aaj kal main parhaee kar rahi hoon ;;) and being a girl ghar dari saath saath chalti hai ;D Q) Apni 3 achi aur 3 buri adatain bataain A) achi ;;) 1) innocent /baby 2) choti choti baatoon main khush hoo jaati hoon 3) bohat achi hoon ;D buri 1) trust bohat jaldi kar laiti hoon 2) comp bohat use karti hoon 3) kabhi kabhi bohat ziddi hoo jaati hoon Q) Aap kee zindagi ka khoobsoorat tareen hissa A) waisay tu i guess bachpan acha guzra tha jab koee fikar nahi thee laikin Allah ka shukar hai keh abhi tak zindagi kaafi achi jaa rahi hai aur koee aisa nahi hai keh jis main main kahoon keh bura tha baqi dua yahi hai keh baqi jitni bhee zindagi hai achi guzray ;;) Q) Agar aap ko apna naam badalna ho tu kya pasand karain gee ? A) pehli tu baat yeh keh main change hee nahikaroon gee coz i just luv my name aur agar keoe option na hoo tu main "kashmala" rakhna chahoon gee ;;)Q) Mukhalif sinf main kaisay loog impress kartay hain ? A) hmmmmmmm tall, jo baat ko kartay howay hichkachatay nahi hain, un ka attitude ;;) Q) pakistan main kaun see aisi jagah hai jo sab say pasand hoo ? A) Apna ghar ;;) uss kay baad jo abhi tak deikha hai tu mujhe Azad kashmir pasand aaya hai Q) kaun see dish sab say achi banati hain A) Donuts ;;) , chicken :p :p Q) Pareshani kee halat main kya karti hain A) hmm mujhe bhook kafi lagti hai ;;) ya phir main soo jaati hoon agar in donoo main say koee na hoo tu uss ka hal talash karti hoon aur jab tak nikal nahi aata mujhe chain nahi aata Q) Agar koee jaan say aziz rooth jaaey tu kaisaymanain gee ? A) uss say pooch kay keh ussay kaisay manaoon main ;;) Q) Duniya kay aisay 4 maqamaat jahan jaanay kee khawahish hoo A)waisay tu agar chance howa tu i would like to go around the world ;;) nahi tu 1) Makka, madina 2) Egypt 3) Antartic 4) China wall deikhnay (baqi china main kuch nahi deikhna :p ) 5) sooch kay bataoon gee ;;) Q) Jazbaat ka izhaar asaan lagta hai ya mushkil A) sirf mushkil nahi bohat mushkil Q) Aap kee kaun see adat say aap kay ghar walay aur dost bayzaar hain A) ghar walay zayada comp use karnay pay aur soonay pay ;;) aur dost zara sab bata doo coz mujhe tu lagta hai keh main achi hoon ;D Q) zindagi ka koee aisa lamha jis kee khawahish hoo keh laut aaey A) Nahi /angel Q) Hallagulla main kis shaksiyat say milnay ka ishtiaq hai A) Kafi hain laikin sab say mill nahi sakti :p Q) Apni zindagi main waapis jaa kay kuch badalnay ka mauqa milay tu kya badlain gee A) Apni kuch aadatoon ko ;;) Q) Aap kay mashagil A) HG /hayjamalo books /book soona /sleeping kaheen bahir jaana /bike Q) kis cheez say dar lagta hai A) raat ko akaelay jaanay main /ohno aur zayada sunsaan jagah say ![]() Q) Hallagulla say bahir kis shaksiyat say milnay ka ishtiaq hai A) kissi say bhee nahi apnee hee doostain kafi hain :p Q) Apni behtareen dost kay baray main batain A) filhaal behtareen koee nahi hai laikin jo thee jo kay maeray yahan aanay kee wajah say bichar gaee ![]() woh aisi thee keh uss kay saath i could share my half of the things ;;) woh itni achi thee keh exams main help bhee karti thee ;) baqi mainay bohat kam doostain banaee hain aur jo bhee bani hai achi bani hai aur dosti nibhaee behe hai ![]() Q) Kabhi aisa howa hai keh sab kay hotay howay tanhaee nay ghaer liya ho? tab kya mehsoos hota hai A) hmmm i guess shaid aisa kabhi nahi howa ![]() waisay tu i like thori see tanhaee laikin kabhi aisa howa nahi waisay har mausam chakhnay ka apna he emaza hai /wink Q) Kaun sa aisa sawal hai jo dil kiya keh na hee poocha hoo :p A) question number 31 and 32 Q) Agar koee faisla karna hai aur dil o dimagh main jang hoo tu kis kee baat manain gee A) donoo kee (uss ko mix kar kay ) mujhe risk laina itna acha nahi lagta :pQ) Kisi kitab ka koee iqtabaas jo yaad reh gaya hoo A) sach bolna hai tu koee nahi agar jhoot bolna hai tu main kisi kitab laa laa kay likh daiti hoon ![]() Q) Aurat ka kaun sa roop hai jo aap ko pasand nahi A) mujhe aurat ka har roop pasand hai sawaey jab woh mard kay saath chalnay kee baat karti hai wahan tak tu theek hai laikin jab woh uss main main itna hoo jaati hai keh apnay aap ko bhool jaati hai keh pehlay who aik aurat bhee hai bas wohi bura lagta hai ya phir tab jab woh laraee jhagra karwaati hoo Q) koee aisa zindagi main jis kay bina zindagi ka ehsaas na mukamal lagta hoo? A) mama papa behan bhai tu aisay hain hee laikin un kay ilawa abhi tak koee aisa hai nahi keh main kahoon keh yeh agar na howa/ hoee tu zindagi na mukammal hoo gee Q) Star pay yaqeen rakhti hain? kauns ay star kay saath aap kee banti hai? A) waisay tu nahi rakhti laikin shaukiya aksar parhti hoon waisay zayada tar jo deikha gaya hai woh apnay hee star waloon say ya phir sagittarius ,capricon and geminis say ![]() Q) Hallagulla pay kis say mutasir hain? A) Sirf lecture dainay main basit say Q) Pasandeeda shair/ shiara? aur pasandeeda nazam kaun see hai A) /ohno no interest in aal this :p nazam shaid lab pay aati hai dua ban kay ;;) Q) Mohabbat pay yaqeen rakhti hain? tu bataeyeh kya hai mohabbat? A) hmmm life poori mohabbat kay gird hee ghoomti hai chahay woh kisi bhee roop main hoo har mohabbat ka apna andaaz hoo aata hai, kisi say zabardasti mohabbat nahi kee jaa sakti aur jis kee bohat aap kay dil main jagah bana lay tu ussay nikalna mushkil hee daita hai doosray roop main mohabat main bicharna bohat zakham daitay hai jo kehnay ko tu waqt ussay bhar daita hai laikin uss ka kisi bhee mauqay pay ubhar kay nikalna asaan hota hai kisi bhee moor pay yaad taaza hoo sakti hai aur insaan ko aisa girati hai keh sabhalna mushkil hai Q) Apna koee khawaab batain jo haqeeqat ka roop dhar gaya hoo A) koee aisa tu nahi, laikin aik dafa mainay apnay mamoon ka beita deikha tha aur un ka phir baeta hee howa tha /hayjamalo doosray khawab pooray nahi howay laikin khawahish hai keh 1-2 zaroor pooray hoo jaain Q) Agar aap ko jis say sab say zayada mohabat hoo dhoka day tu kya raad-e-amal hoo ga? A) hmmmmmm bas kuch nahi hoo ga ya main seh jaoon gee nahi tu phir us sko jawab bhee aisa doon gee keh kabhi uss kay baad mohabbat nahi karay ga Q) Agar aap ko kisi ko autograph daina hoo tu kya likhain gee A) life is like an ice cream enjoy it before it melts Q) Zamana talb-e-ilmi ka koee lamha jo apa ko yaad ho? A) main abhi tak zamana-e-talbeilmi main hoon ;;) /hayjamalo Q) Ideal pay yaqeen rakhti hai?Agar haan tu apnay ideal shaksiyat ka batain A) nahi rakhti Q) Ghusa kis baat pay aata hai aur ghussay kee halat main kya karti hain A) Mujhe jitni jaldi aata hai utni hee jaldi utar bhee jaata hai aur zara see baat pay bhee aa sakta hai ![]() it depends ghussa kis pay aaya hai ;;) aksar bolti hoon magar iss tarhaan keh uss ko samajh na aaey ;D , ya phir jaa kay soo jaati hoon Q) Woh kalmaat jo aksar aap kay muun say nikaltay hoon A) Pagal /girlwink , khota/khoti (alv nay adat daali :p ) ,ullu Q)Apnay baray main koee jumla jo kisi say suna'na chahain A)iss baat kee kitni guarantee hai keh mujhe yeh jumla sunanay ko milay ga ![]() Q) WOh lamhaat jo aap chahti hoon keh kaash laut aayein? A) haan laikin itni bhee khawahish nahi hai uss kee ;;) agar woh lamha edit hoo kay aaey tu i would wish keh a ajaaey ![]() Q) Apnay baray main jumla jo hamesha yaad raha hoo ? A)haan yeh tu lagta hai keh shehad (honey) hai keh sab iss kay saath saath jaatay hain ;) pata nahi iss main itna kya hai keh sab bachay iss kay paas araan say chalay jaatay hain yeh aam ke etarhaan meethi hai ![]() Q) Ab tak kiye jaanay sawaloon main say kaun say sawaal ka jawab daitay howay sab say zayada masla howa? A) apni 3 achi aur 3 buri adatoon ka likhtay waqt aur baqi sab theek thay ;D Q) Insaan beitha beitha kyun muskuraanay lagta hai? gham chupaanay kay liye ya phir ussay koee aisi baat yaad aayee hoo jo uss kay liye imp hoo ya ussay achi lagi hoo koee guzra lamha yaad aaya hoo Q) Yeah bataoo.. how you spent all your birthday ![]() A) yahan aanay kay baad tu aisay hee ghar main waisay weekend pay aayee thee aur intazaar tha keh weekday par kab aaey gee aur aaj aa gaee ;;) me happy /hayjamalo bas phir raat ko papa kay saath dinner nahi tu ghar main mama kay haath kee banaee hoee lazeez dishes ;D Q) Afeefa /jin mera sawal hai keh ... aaj kal /confused ... khoye ho tum kahan /protest ... infact aaj kal nahi /fuming kafi maheenon se tum khoi khoi gum sum kyun rehti ho /slap A) main tu yaheen hoon bas dhoondhnay kee baat hai Q) Kya MSN nicks kisi wajah ke baghair rakhey jatey hain ;) A) haan kabhi kabhi mns kay nick baghir wajah kay hee rakhay jaatay hain Q) Tumhara nick Gr8 Jasoosa :. aur tumhari apni personality kahan tak match karti hain /cig .. full lite maarna har point uttey /jin A) hmm iss mamlay main koee only abt 1% of my personality laikin chunkay i love the stories tu issi liye nick rakha ;;) Q) Waaadey karna aur unhein bhool jana kaisa lagta hay .. agar koi tum se waada karey aur bhool jaye tu kaisa feel karo ghee ![]() A) bohat bura lagta hai , bohat bura lagay ga laikin intazaar karoon gee keh ussay yaad aa jaey nahi tu jab baat na bani tu ussay yaad karwaoon gee ;D Q) Apni konsi aadat tumhein bohat pasand hain aur kyun ![]() A) mujhe apni kitab parhnay kee aur naraaz honay kay bawajood baat karnay kee adat pasand hai woh issi liye coz 1 tu kitaab parhtay howay deehan change hoo jaata hai aur doosra yeh keh naraz honay kay baad bhee bolna acha lagta hai laikin agar zayada narazgee kee baat hai tu phir main maanti kam hee hoon chahay jitni bhee imp hoo ;;) Q) Apni koi weakness batao > ![]() A) baray kehtay hain keh apni weakness nahi bataty /baby Q) Apni paali c saheli yani mein ki khul kar tareef karo (Abresham) A) kitna khul kay :-s Q) Koi Net ka funny kissa sunao /ydance A) aisa koee khass nahi hai keh jisay bataoon ;D coz har doosray din koee na koee aa jaata hai Q) Konsi cheez sab se achi bana leti ho .. oyee Khaney mein .. ![]() A) donuts ;;) , chaawal (boiled ) , chicken karhaeeQ) Apni koi aisi KITT yaad karo aur batao jis ko tum ne khud bhi bohat enjoy kiya ho /frog A) abhi tak tu nahi :-s Q) Jab bohat ghussey mein ho tu kya karti ho .. Naaj ho jati ho ya /slap maarti ho ![]() A) naaaj hoo jaati hoon aur kabhi kabhi /slap ![]() waisay mujhe jitni jaldi charhta hai utni jaldi utar jaata hai ![]() Q) Green colour ki history batao /fuming ... yeh kab aur kaisey wajood mein aaya /angry .. aur tumhein kab iss colour se unsiyat hui aur kyun .. ![]() A) green color /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad tum sab ganday hoo main nahi batati Q) Muhabbat kiya hai .. Apney Lafzon main batayein ?? A) mohabbat eik ehsaas hai jis ko zabardasti apnay pay hawi nahi kiya jaa sakta, thats like hai magnetic bond ;D b/w u and the person ;;) aur pata nahi /baby Q) Kon Konsey Makamaat ki Sayr ki Khuwish mand hain ?? , Ab Tak Kis kis City/Country ka Safar kiya hai ?? A) hmmm around the world ka aik chakar ;;) ab tak dubai, paris, uk Q) Bachpan ka Dilchusp Waqiya ... Jo Bhulaye nahin Bhoola ?? A) yaaddaasht itni achi nahi ;;) Q) HG key Behtreen Doost ?? Aur /ohno Dushman /bhagoA) sab hee achay dost hain aur aik hee peeyari dhushman /hugs hai tkf Q) Songs aur Films sey kis had tak lagaoo hai ?? Apni Fav Films, Songs, Actor Aur Actress batayein A) koee khaas nahi hai jo achi lagi deikh lee abhi tak saathiya , koee mill gaya kabhi shaam dhalay actor actress koee bhee nhai :-s Q) Ghar main Kis Naam sey Sub Pukartey hain ?? A) jo naam hai :p Q) Rooti Round main kion banti hai .. Square main kion nahin ??A) it depends on u :p kaisi bhee bana lain /loser Q) Fav. Color, Fav. Perfume aur Fav. Flower Konsa hai ?? A) blue and green (almost in all shades), lilac koee nahi :p :p yellow in jab khil raha hota hai aur red ;;) Q) Men tumharey ghar jald az jald kab aa jaon (kamazkam 2-3 haftey kai liye) /jin A) jab tumhara dil karay ;;) Q) Jab men tumharey ghar aaon gi to tum merey liye kia muhanbat say pakao gi aur isarrar kar kai khilaao gi :blush /hungry A) donuts and chicken /jin Q) jab men 2-3 haftey bad janey ki bat karoon gi to 2-3 haftey aur kesey roko gi..... :blush :blush A) Darwaazay ko lock kar kay :p Q) wapsi per merey samyan men kitna izzafa karoo gi .... (Naveen Shah)A) hmmm aik cheez ka ![]() Q) Bachey /baby Kitney Achey ?? A) bachay kaafi achay /jin Q) music like kartee hien ya nahi agar karti hien to kaisa A) karti hoon yeh mood pay depend karta hai waisay jo sunanay main acha lagay wohi acha hai ;;) Q) ye nick kyon rakha ![]() A) kyun keh mujhe jasoosi novels parhnay ka shauk hai :p /book aur uss din itefaq say koee parha tha (naam yaad nahi ;;) ) Q) CC ki dil khol k burae karo /jin jaldi /khabardar A) apni jaan kee koe eburae enahikar sakta Q) meri dil khol k tareef karo ;;) (Sagar) A) phatti jeans kee tareef kaisay kar doon :-s Q) 2+3= 5 hotay hain magar 3+2 bhi 5 hotay hain. kyon ;D A) kyun keh kabhi kabhi naak ko taera kar kay bhee pakarna parta hai ;) Q) apna fav. shair ya nazam ya ghazal sunao A) hmmm mujhe in cheezoon say koee khaass lagaoonahi hai laikin koe ebhee kisi bhee waqt acha lag sakta hai jaisay keh abhi tak jo mujhe yaad bhee hai ( /suno waisay mujhe yaad nahi rehtay ) udaas aankhoon say aansoo nahi behtay yeh motioon kee tarhaan seepiyoon main rehtay hain Q) agar kabhi kahin akelay jana paray aur kaha jaye kay hg members mien say kisi ko lay jao to kis ko sath lay jao gee? A) main 4 logoon ko CC Adeel Basit Abresham Q) kis type kay logon say buhut ziyada banti hai aur kin say nahi banti bilkul bhi? A) hmmm jo loog mazak ko seh laitay hain aur jaldi free hotay hain ya zayada boltay hain un say zayada banti hai nahi tu bohat kam hee banti hai. Q) kis baat per buhut ghussa ata hai? A) kabhi kabhi choti see choti baat pay bhee aa jaata hai ![]() Q) kabhi koi aisa lamha zindagi ka kay jis kay baray mien sochnay tak ko dil na kara ho? A) hmm shaid aisa aaya hooga laikin yaad nahi /ohno Q) Hg members mien say kis kay sath ziyada banti hai aur kion? A) ban tu sab kay saath hee jaati hai ;D aur kyun coz sab achay hain /hugs Q) mustaqbil ka kia irada hai? A) as such koee nahi filhal parhaee challing ;D Q) tum ney ye hi nick kyoon rakha A) kyun keh mujhe novels achay lagtay hain aur shaid uss din mainay koee novel khatam kiya tha :p Q) tumhari birthday meri birthday waley din hi kyoon aati hai /khabardarA) s good question /weldone next plz /girlwinkQ) tumhara fav. jasoosi novel kon sa hai /cig A) mujhe naam yaad nahi rehtay :p :p waisay A.hameed kee aik series shehancha bohat pasand aayee thee Q) apney ko 3 words mein define karo /jin sirf 3 words mein /khabardar A) paali /paali khamosh khoya chand (CC nay aisa haal main hee kaha hai ) )Q) HG mein best friend kon hai tumhara /jin sirf 1 batana hai /angry A) sab hain ;;) Q) Ye LOG Tumhein itna CHupa Rustam kiyun kehtay hein ? [ /jin ]A) yeh in logoon say hee poochoo ;;) /suno in kay mutabiq main sab kuch saaf saaf nahi likhti ;D (doctors jaisi handwriting hai na ;;) ) Q) Apni best friend ka naam bataoo ;D ? A) hmmm filwaqt koee nahi :p :p Q) Apni Zindagi se Kis hadd takk mutamain ho? /ohno A) hmmm 52 % ) baqi samajh nahi aaya kaisay lkikhoon ;;)Q) apni fav. book ka naam batao ![]() A) hmm mujhe baelay ka sayah phool achi lagi thee ya phir shehansha series Q) agar tumhein green color use nahi kernay dein to tum kya karo gi /jin A) tab tu kuch kar na saki ab kya karna hai smain ab in kuch logoon say nahi bolti :( Q) khudkhushi kernay ka sab say asaan tareka batao /cig A) tauba karo mujhe kya pata hoo /hang Q) agar tumhein koe zor say thapper maray to tum kya karo gi /thinking A) main bhee shaid thappar he elaga doon laikin depend karta hai keh kis nay lagaya hai nahi tu beechara / beechari ko maeray ansoo deikhtay saath hee apni iss harkat pay afsoos hoo ga ;) Q) aap itna non serious rehna kyun pasand kerti hein A) kyunkeh zindagi kam hai kuch lamhaat hotay hain ab banda agar har jagah hee serious hoo jaaey tu khush honay ka ya non-serious honayka maza hee kab lay ga ![]() Q) ager tum se kisi ne kaha ... mazaq mut kerna tao kya keroogi ![]() A) waisay tu main rooth jaoon gee laikin phir bhee main mazak main hee jawab doon gee laikin serious pan ko saamnay rakh kay /jin Q) kya aap haath mein bundooq aur jaib mein chaqo leyker ghoomti hein A) bilkul nahi /ast Q) tum chote chote se replies deyti ho aur kum nazur aati ho .... hg pe .. WAJA ![]() A) hmm mujh say detail main kuch nahi hota basit say training loon gee lamba lamba likhnay kee hg par tu main aksar he ehoti hoon ;) nazar kam aati hoon :p Q) achanuk tumhe pata chuley keh tum se bhi aik great jasoosa is duniya mein maojood hai tao phir ![]() A) tu kya maeree taraf say hoti rahay s
__________________ ![]() |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| great, jasoosa |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Manasik of Hajj | usman6484 | Islam & Muslim Ummat | 2 | 06-20-2008 01:58 AM |
| Atomic Bombing of Hiroshima and Nagasaki | ahsan akbar | Write-Up's in English | 1 | 01-22-2008 12:15 PM |
| Last Part! Seerah of the Prophet Muhammad (saw) 3 | usman6484 | Islam & Muslim Ummat | 3 | 11-06-2007 10:29 PM |
| Eradication Of The Old | Solve et Coagula | Discussion Corner | 0 | 07-05-2007 12:10 PM |
| Depressionomics | Solve et Coagula | Discussion Corner | 0 | 06-26-2007 07:49 AM |