It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Dove within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; 1* aap ka asal naam? Aisha 2* aap kee jaa'ay paidaa'ish aur taareekh-e-paidaa'ish? aaj kal kahan rihaa'ish hai? karachi, 1 ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [3] |
|
#1
| |||||
| |||||
| 1* aap ka asal naam? Aisha 2* aap kee jaa'ay paidaa'ish aur taareekh-e-paidaa'ish? aaj kal kahan rihaa'ish hai? karachi, 1 september. aaj kal lahore mein hoan. 3*shaadi shuddah hain keh ghair shadi shudaa? shaadi ka kab tak iraada hai? ghair shadi shudaa hoan ... /jin aur mera to koi irraada nahi /ohno .... 4*ghar mein kitnay loge hain, sab say ziada kis say banti hai? ghar mein kaaaaaafi loge hain ;) amee, abu, bhai, bhabiyaan, bhateejay ... behenain /dance .... khud count kar lo :p ... waisay ham mashaAllah 4 behenain aur 4 bhai hain /hug sab say ziadaa aalee say banti hai ... aisa bhi nahikeh kabhi laraee nahi hoee ous say ... bass understanding bohat hai hamaari ... choice hamaari aik hotee hai aksar bohat see baat'oan mein ... phir issi baat pay laraee ho jaati hai ;;) ... /hug hamein aksar yeh bhi pata hotaa hai keh aik doosray keh zehen mein kia hai is waqt /jin ... aur kaee dafaa aisaa bhi hotaa hai keh ham aik hee waqt pay aik hee song gungunaa rahay hotay hain /ohno ... aisay maukay per pehlay ham hotay hain ... phir aur phir ) ... /hugs ... laikin aik do issues aisay hain jin per hamaaray khayaalaat aapas mein /takar hain ... ... > > 5*aaj kal kia kar rahi hain, perhaa'ee, job ya ghar daari? ... hmm... shayad ghardaari hee kar rahi hoan ![]() 6*apni teen achii aur teen buree aadat'ain bataa'ain? buree aadatein to kaafi hain ... s ... teen ka zikar karna hai to ...1.ghussa bohat aata hai ... aik dam aag lag jaati hai ... /fuming 2.kisi say miltee nahi ... zabardasti baith kay baatein nahi hotein mujh say .... 3.saari baatein dil mein rakhtee hoan ... share nahi kartee kisi say ... [ mujhay to yeh buraee aadat nahi lagtee ... laikin sab yehi kehtay hain keh buree aadat hai s ]achee aadatein /thinking .... 1. kaam kay maamlay mein perfectionist hoan b-) ... mera khyaal hai keh yaa to kaam naa karo ... aur agar karo to aik dam tait karo /jin ... ... baqi aur koi khaas aadat nahi jis ka khud say zikar karoan ... ;;) 7*aap kee zindagee kaa khoobsoorat tareen hissa? ... guzra hoaa her pal achaa lagtaa hai .... agar khoobsorat tareen hissay ka zikar karoan to do teen hissay hain jo meray leeay barabar kay khoobsoorat hain ... aik bachpan /hug .... kabhi rait kay oonchay teeloan pay jaana gharonday banaana bana kay mitaana woh khwaab'oan khilonoan kee jageer apni woh masoom chaahat kee tasweer apni naa dunyaa kaa gham thaa naa rishtoan kay bandhan baree khoobsoorat thee woh zindagaani ad .... phir is kay baad student life /hug .... bohat bohat bohat achaa waqt thaa woh ous waqt to bass aisaa lagtaa thaa kah sab hameshaa aisaa hee rehnaa hai ... school, college. friendz ... sab khwaab hoaa ab to ... chotee see dunyaa thee ... /hug ... .... 8*zindagee ka koi naa'khushgawaar lamhaa shair karein? ... her woh lamhaa naa'khushgawar hota hai jab zindagee azaab lagnay lagtee hai [wajah koi bhi ho ] 9*larkoan aur larkiyaon kee koan see aadat achi aur koan see buree lagtee hai? ... hmm...larkoan mein buree aadat'ain smoking khud ko larkiyoan say superior samajhnaa [ sirf is wajah say keh woh larkay hain /frog ] double H hona [ koi matlab poochnay kee koshish naa karay /jin ] over shmart honaa ![]() ghair zaroori pangay lainaa [specially behnoan say /loser ] achee aadatain ... caring honaa ... ![]() apnay muqaam kay mutaabiq apni responsibilities ka ehsaas karnaa aur ounhain poora karnaa ..... /headbang respect karnaa aur karwaana ... larkiyoan mein buree aadat'ain ... /search .... /ohno ... larkiyoan mein koi buree aadat hoti hai kia? ;;) aur achee aadat'ain .... saari hee achee aadat'ain pasand hain /hug :blush .... 10* apni koi achievement jis per fakhar ho? ... nahi 11* kis kisam kee kitaab'ain shauq say perhti hain? .... novel, afsaanay ... shairee mein say jo bhi haath lag ja'ay .... kisi zamaanay mein novel bohat perhay hain .... laikin aaj kal poetry kee bks asaani say mil jaati hain,,, so wohi ziada perhti hoan .... 12*kis qisam ka music shauq say sunti hain? .... it depends keh mood kesa hai... .... mostly puraanay gaanay aur ghazalein [jagjit kee] shauq say sunti hoan .... aaj kal ahmed jahanzeb kay songs charhay hooay hain .... /suno agar masti charhee ho to phir khattay songs bhi chaltay hain /jin .... 13* aap kee sab say baree kamzorii? .... kyoun bataa'oan.. <IMG class=inlineimg title=" " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0 smilieid="776">" alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0>14* zindagee mein kis cheeze ya shakhs kee kamee mehsoose hoti hai? ... hmm... jis taraf nazar uthay ik kamee see lagtee hai yeh zindagee kabhi kabhi ajnabi see lagtee hai .... tafseel choro rehnay do .... /jin 15*ghar kay kaam'oan mien koan saa kaam sab say shauq say kartee hain? koan saa kaam karnay say jaan jaati hai? " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0> ... ghar kay kaam mujhay kaam nahi lagtay jab tak walkman mein battery ho ;;) /jin .... jaan jaati hai /thinking .... haan /ohno .... yehan say raat ko 2/3 bajay uth kay bartan dhonaa zeher lagtaa hai .... /fuming /fuming .... 16*parayshaani ya depression mein kia karti hain? ro kay so jaati hoan .... 17*khushi ka izhaar kesay kartee hoan? .... khilaaf-e-maamool ziadaa boltee hoan ... bhateejoan kay saath mastiyaan kartii hoan /happy ... full volume mein waisay > songs sunti hoan /jin .... ....18*apnay baaray mein koi jumlaa jo hameeshaa yaad raha? aur aik jumlaa jis ko sunn'nay kee aarzoo hai? .... tum bay'waqoof ho .... /rolleyes [ ] ...haan qayamat waalay din yeh sunn'nay kee aarzoo hai keh jao tumhain baghair hisaab kitaab kay hee bakhsh diyaa gaya hai ... 19*koi geet yaa nazm sunaa'ain jo aap kee akaasi kartay hoan? ... .... hmm ... geet yaa nazm ..... sunaa to doan ... laikin woh bohat ronay dhonay walay ho jaatay hain /ohno achaa yeh nazm perh ho .... ..kissay maaloom? koan is raaz kee saddiyoan purani kaifiyat say aashnaa hai? yeh meray chaaroan taraf kyoun ik sakoot-e-bay'sadaa hai? mein kahoan kis say? meri ujri hoaee aankh'oan kay khaali rozan'oan say ous taraf kia hai? kh'laa hai ya sitaaray phaankti andhi hawa hai? jaanta hai __ koan? kis per khul saka hai? jism kay khaali khandar mein koan ab tak bas raha hai! tum mujhay daikho, mein apnay aap say dartaa hoan shab ko jab andhairaa bolata hai, dil ka sanaata puraani daastaan'oan say attay bhaid'oan kee girhain kholta hai!! jab lahoo kee aag mein lat pat kiwaar'oan say ulajhti hain meri cheekh'ain koi suntaa nahi mujh ko! bikhartay toot'tay khwaab'oan mein jab taqseem hota hoan koi chuntaa nahi mujh ko!! to aisa hai keh tum apni mehekti neend say khailo na dukh jhailo meri tanhai kay asraar mat poocho kahin aisa na ho tum bhi khud apnay aap ko ganwaa baitho meri khwaahish aur apnay darmiyaan bhaid'oan bhari dewaar ___ rehnay do, maujhay kutch din meri ujree hoee aankh'oan kay khali rozan'oan say ous taraf tareek lamhoan kay bhanwar mein bas younhi baidaar rehnay do, mujhay saddiyoan puraani daastaan'oan kee tarhaa andhi hawa kay saath purr'asraar ___ rehnay do! 20*baatooni hain yaa kam'goa? .... kam'go hoan .... [ tumhain pata to hai ;;) ] ... 21*kis cheeze say sab say ziaada dar lagtaa hai? .... waqt say .... in guzartay hooay lamhoan say ... aanay waalay kal say ..... 22*agar apni maut kaa aik din pehlay ilm ho ja'ay to kia dass kaam karnaa chaahoan gee? koshish karon gee keh achee tarhaa waqt guzaaroan .... jissay jo kehnaa hai keh doan .... aur cutay say miloan gee ..... /jin 23*hallagulla mein kis shakhsiyat say milnay ka ishtiyaaq hai? .... " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0> ous say jo milnaa chaahay /jin ;) .... aur jo milnaa nahi chahtay oun mein say ... ABral /hug .... kyoun keh yeh mara bachpan ka shauq hai ... ;;) .... ous kay gaaloan kaa rang daikhna hai keh kesay badaltaa hai .... /jin[b]nain .... ....... bata doan kyon? " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0>cuta >:D< .... udhaar chukaana hai aik ... aur /suno ..... .... /girlwinkfasaana .... ous kee aankh'oan mein doobnay kaa bara shauq hai ... ![]() [fasaaaaaaaaaaanay ... :-s ...is waqt bohat yaad aa rahi ho /slap aur saath mein tumhari bhi .... :blush ]bulandi " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0> ... aaj tak issay nahi daikhaa /rolleyes ... is kay illawa kutch /slap bhi maarnay hain issay ....... ![]() tweedle .... /fuming ... issay kehnaa hai keh kabhi mujh say baat naa karay .... ... aur aik do /slap bhi lagaanay hain issay taakay shauq poora ho bachay kaa .... /fuming .....basit > .... kyoun keh mein nay kabhi zeher live nahi daikhaa :p .... is kay illawa bhi aik kaam hai /jin ....moeed /jin .... daikhnaa chahtee hoan keh khaali khopriyaan rotee hoee kesi lagtee hain .......... /hah /hah ... 25*school yaa college ka koi mazydaar waqay'aa sunaa'ain? hmm... mazydaar waqay'aa ... ... 8th class kee baat hai ... sindhi kaa period thaa .... /dance .... miss ka accent kutch ajeeb saa thaa .... woh sindhi boltay hooay rhay [ray] bohat boltee thein bohat shore hangaama kartay thay ous class mein ham .... /jin miss pata nahi kis baat pay ghussay mein thein .... > .... asaar achay nahi thay ... is leeay pin drop silence thaa class mein ... ;;) ... laikin is kay baa'wajood sab copies mein likh likh kay baatein kar rahay thay ) .... keh achaanak koi bohat zore say hansaa /ohno .... miss ghussay mein uthein /khabardar ... ham sab dil mein jal to jalaal too perhna shuroo ho ga'ay /dua ... miss qareeb aa'ein ... pehlay to hamaari copies diakh kay woh hoein ... phir jab kutch samajh lagee to ounhoan nay aik larki kee copy uthaa'ee .... /ohno ... ous mein likhaa hoaa thaa keh miss ko to rhay kee bemaari ho gaee hai s ... ..... uffffffffff .... /uff ..... miss nay ousay /fuming mien aik thappar maar diyaa /ohno .... aur jawab mein ous larki nay bheegi aankh'oan say jis lehjay mein miss ko kaha keh MISS ... maarnay kee nahi ho rahi /rolleyes ... yeh baat ous nay kahi ... aur ham sab hans hans kay paagal ho ga'ay .... ) ) ) .... aur miss .... s phir meray final terms mein yeh hoaa keh mera science ka paper thaa ... aur mein geography kee tayaari kar kay chalee gaee /rolleyes ..... aagay naa poocho keh saara time kesay guzraa mera ... s .... baqi college kee baat karon to 6th yr mein jab ham residence ga'ay thay as an advisor .... .... yeh oun din'oan kee baat hai jab ham pagal pagal phirtay thay /dance ... bara tang kia thaa larkiyoan ko /jin /jin .... bohat mazaa aaya thaa .... /dance ... ... khair choro ... phir baat phail ja'ay geee " alt="" src="http://www.hallagulla.com/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0> 26*kia aap apni zindagee say mutmaa'ein hain? hmm... haan .... kyoun keh jo hota hai... waisa hee honaa likhaa hai .... waisay bhi Allah kay her kaam mien maslihat hoti hai .... yehi soch mutmaa'ein kar daynay kay leeay kafi hoti hai ![]() 27*hallagulla kay baaray mein apnay khyaalaat ka izhar karein? ..... end mein karoan gee .... /girlwink ... 25. apni zindagee mein islam ko kis hadd tak laagoo kartee hain? * islam kay bunyaadi arkaan per amal karnay kee mukamal koshish kartee hoan .... .... is kay illawa roze marra kee zindagee kay baaray mein jo ehkaamaat hain ... jahan tak mumkin ho / Allah himmat day apni zindagee per lagoo karnay kee koshish hoti hai ... ![]() 26. jazboan ka izhaar karnaa asaan lagtaa hai yaa mushkil? * ... mushkil .... bohat hee mushkil .... kabhi alfaaz kho jaatay hain ... aur kahbi .................... .. ...... 27. buzurg'oan kee kee hoee naseehat jo hameshaa yaad rehti hai? * ... amee kehti hain keh yaa to waqt pay kaam karo ... yaa phir naa karo .... laikin jab bhi is baat kay doosray hiisay per amal karnay kee koshish kartee hoan to pata chaltaa hai keh woh to izzat karnay ka andaaz hai .... .... asal baat to pehli waali hai jissay palloo say kass kay baandhaa hoaa hai mein nay .... aik baat aur aksar kehti hain amee keh ehsaas woh hai jo banday ko khudd say ho ... keh kay ehsaas dilaana koi maa'einay nahi rakhtaa yeh dono baatein achee lagtee hain mujhay .... 29. ideal per yaqeen rakhtee hain? agar haan to apnay ideal kee kutch khusoosiyaat ginwaa'ain? * ... nahi .... bilkul yaqeen nahi rakhtii ... laikin shayad ham unconsciously ideal bana laytay hain ... yaa khudd say bann jaata hai ... .... but still idealism per yaqeen nahi mujhay 30 . agar aap ko bohat saaray paisay mil ja'ain to oun ka kia karein gee? a* bohat saaray kitnay .... aik laptop ... aik car ...aur aik mobile aa ja'ay gaa naa oun say /jin .... ) ....mazaakin :blush .... /dontsee .... parents ko day doan gee keh jo karna hai karein ..... 31 .mukhaalif sinf mein kesay loge impress kartay hain? * .... mmmm .... perhay likhay ... intelligent ... dedicated ... respect karnay aur karwaanay waalay .... is kay illawa self made loge impresskartay hain 32 . koan sa sawal aisa hai keh jo aap chaht hain keh koi naa poochay? * pooch leeay hain saaray .... /slap basit nay /fuming ...... ab jo reh gaya hai woh bhi bata doan....? /angry 33 . faislaa kartay hooay dil o damagh kee jang ho to aap kis kee baat maanein gee? * jo mujhay qaa'il kar lay gaa 34. kisi qitaab ka koi iqtibaas jo yaad reh gaa ho? * ..... iqtibaas yaad nahi rehtay mujhay ... ... haan aik jagaah perhaa tha ... theek to yaad nahi ... mafhoome kutch aisaa thaa keh bohat ziadaa oonchaa'ee per insaan akaylaa reh jaata hai ... tanhaa aur serd ... pahaar kee chotee kee tarhaa ... 35. apna koi aisa khwaab bataa'yay jo haqeeqat ka roope dhaar gaya ho? nahi ... koi nahi 36. pasandeeda shaa'ir aur shaa'iraa aur yeh bhi bata'ain kyon pasand hai? * achee poetry ... kisi bhi shaa'ir kee ho achee lagtee hai ... poetess/poet ka naam daikh kar bohat kam bks layti/perhti hoan ... siwaa'ay amjad islam amjad kay ... amjad islam amjad kee nazm'ain khaas taur per pasand hain mujhay ... in kee nazmoan mein aik rhythm hotaa hai ... perhtay jao perhtay jao ... baat say baat nikal rahi hoti hai ... woh perhnay waalay ko apnay saath lay kay chaltay hain ... lagtaa hai keh woh saari waardaat'ain aap per beet chuki hain ... khwaab'oan aur baarish'oan ka bohat zikar hai in kee nazmoan mein ... mera zaati khyaal hai keh nazm likhnay mien amjad islam amjad ka koi saani nahi ... rehi baat khwaateen kee to faakhira batool, parveen shakir, aur noshi ko perhaa hai mein nay .... boaht achaa likhaa hain larkiyoan kay jazbaat kee mukamal akaasi karti hain ... noshi kee kuth nazmein to bohat hee zabardast hain ... 37. aap kee nazar mein mohabbat kia hai? *mohabbat ... mohabbat hai ... simple see baat ... aik laa'faani jazbaa jo Allah kee taraf say hamaaray dil mein utaara/rakhaa jaata hai ... mohabbat kabhi merti nahi ... yeh aasmaanoan say utarti hai aur wohin waapis chalee jaati hai ... is waqt amjad islam amjad kee mohabbat pay nazm yaad aa rahi hai... mohabbat oas kee soorat pyasi pankhari kay hont ko seraab karti hai gull'oan kee aasteen'oan mein anokhay rang bharti hai seher kay jhattpattay mein, gungunati, muskurati, jagmagati hai mohabbat kay dinn'oan mein dasht bhi mehsoose hota hai kisi firdous kee soorat mohabbat oas kee soorat! mohabbat abar kee soorat dil'oan kee sarzameen pay ghir kay aati aur barasti hai chaman ka zarrah zarrah jhoomta hai, muskurata hai azal kee bay'namoo matti mein sabzaa ser uthaa'ta hai mohabbat oun ko bhi abaad aur shadaab karti hai jo dil hain qabar kee soorat mohabbat abar kee soorat! mohabbat aag kee soorat, bujhay seenoan mein jalti hai to dil bay'daar hotay hain mohabbat kee tapish mein kutch ajab asraar hotay hain keh jitna yeh bharakti hai, aroos-e-jaan mehekti hai dil'oan kay saahil'oan pay jama'a hoti aur bikharti hai mohabbat, jhaag kee soorat mohabbat, aag kee soorat! mohabbat khwaab kee soorat, nigaah'oan mein utarti hai, kisi mehtaab kee soorat sitaaray aarzoo kay is tarha say jagmagaatay hain keh pehchaani nahi jaati dil-e-bay'taab kee soorat! mohabbat kay shajar per khwaab kay panchi utar'tay hain to shaakhain jaag uth'ti hain thakkay haaray sitaaray jab zameen say baat kartay hain to kab kee muntazir aankh'oan mein shamm'ain jaag uth'ti hain mohabbat in mein jalti hai charagh-e-aab soorat mohabbat, khwaab kee soorat! mohabbat dard kee soorat guzishtaa mausam'oan ka ista'aara ban kay rehti hai shabb'aan-e-hijr mein, roshan sitara ban kay rehti hai moundair'oan per charagh'oan kee loa'ain jab thar'tharaati hain nagar mein naa'umeedi kee hawaa'ain sansanati hain gali mein jab koi aahat, koi saaya nahi rehta dukhay dil kay leeay jab koi bhi dhoka nahi rehta gham'oan kay bojh say jab tootnay lagtay hain shaanay to yeh oun pay haath rakhti hai kisi hamdard kee soorat! guzar jaatay hain saaray qaaflay jab dil kee basti say fizaa mein tairtee hai dair tak yeh gard kee soorat, mohabbat, dard kee soorat! [b]kitnee sachi baat kee hai is mein fizaa mein tairtee hai dair tak ... yeh gard kee soorat ..... 38. aap kee nazar mein dosti kia hai? apni/apnay behtereen dost kay baaray mein kutch bataa'ain? *dosti aitemaad ka doosra naam hai ... meray khyaal mein dost dost hota hai ... categorize karnaa ajeeb lagtaa hai .... haan meri diary meri aisee dost hai jis say mein sab share kartee hoan ... 39. jab koi azeez shakhs dhokaa day to kesaa mehsoose hotaa hai aur aap ka radd-e-amal kia ho ga? *dhokaa to nahi ... bass kutch expectations hotee haein ... woh pooree naa hoan to dukh hotaa hai ... thoree dair kay leeay ... laikin phir mein khud hee ous kee taraf say khud ko taweel'ain day dayti hoan aksar keh nahi aisa nahi aisaa hoaa ho gaa .... bass .... 40. koi aisaa zindagee mein jis kay binaa zindagee ka ehsaas naa'mukamal ho? *40 zindagee mein to amee hain jin kay binaa zindagee kaa ehsaas naa'mukamal lagtaa hai ... 41. art kis shakal mein achaa lagtaa hai? *41 art her form mein achaa lagtaa hai ... music, poetry, sketching, stain glass waghaira ... sab ... 42. koi aisa kaam jis per aaj bhi pachtaawa hota ho? *42 haan aik do hain ... apni 3 saal'oan kee din raat kee mehnat ghussay mein apnay hee haath'oan say kho dee thee ... [ ghussay mein aksar woh saaray kaam kar dayti hoan jo normally nahi karti ] ... ab oun teen saal'oan kee baabut kutch bhi nahi meray paas .... 43. agar kisi ko aap kee jasoosi per maa'moore kiya jaa'ay to pehlaa inqishaaf kia hogaa? *43 yeh keh mein bay'waqoofe hoan ... 44. bachay is dunya mein khoobsoorti ka ehsaas hotay hain, aap kee kia raa'ay hain oun kay baaray mein? *44 haan sahi kahan ... pehlay mujhay zeher lagtay thay bachay ... laikin bhateejoan aur bhaanjiyoan kay baad pata chala keh bachoan ko phooloan say kyuon tashbeeh dee jaati hai .... /hug .... jesaa bhi saraa hoaa mood ho ... oun ko daikh kay hee aik dam sab badal jaata hai ... thoree dair kay leeay dunyaa mein koi tension koi gham nahi hotaa /hug .... seconds mein mood fresh kar daytay hain ... laikin kabhi jab baa'jamaat rotay hain to .......... /fuming ... /fuming .. 45. qudratee nazaaroan mein sab say ziadaa kia pasand hai? *45 tamaam qudratee manaazir pasand hain .. laikin sab say ziada aasmaan kay badaltay hooay rangg ... , saahil-e-samander, aur poora chaand .... [ 14veen ka nahi 13veen aur 15veen kaa ]... dil kartaa hai keh kabi samander kinnaaray baith kay raat say din honay kaa manzar daikhoan ... kabhi kabhi to dil-e-muztarib yeh cahhtaa hai keh chaand raat ho aur saamnay samander ho |
![]() |
| Tags |
| dove |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| * On The Wings Of A Dove * | foqiazafar | English Poetry | 7 | 10-07-2007 10:54 PM |