It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Basit within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; Question #1: Aap ka asli naam, tareekh e paidaish and jaa e paidaish ? Basit Habib, September 9th, 1971, Nowshehra/Peshawar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | All Albums | Projects | Blogs | Groups | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Question #1: Aap ka asli naam, tareekh e paidaish and jaa e paidaish ? Basit Habib, September 9th, 1971, Nowshehra/Peshawar Question #2: HallaGulla ko shuroo karnay kay peechay jo waqaiaat aur jazbaat thai un pay roshni daliyeah ? Hmmm.. mein kaafi arsay say net use kar raha hoon 1995 say i think, shuru shuru mein educational purpose kay liyeah karta tha, ya phir for research. with time kaafi addicted hoo gaya.. and than in 1999 mein yahoo chat karna shuroo kee.. kissi nay ID bana kay dai di.. tu phir ussi say chat shuroo kee... phir youn howa kay aik dafa aisay hee yahoo ko explore kar raha tha tu yahoo groups ka pata chala.. aik yahoo group banaya Sunoojee Sunaoojee kay naam say.. woh kaafi arsa chala.. mairay sath pehlay join kiya saira nay uss group ko.. hallagulla ke member bhi hain woh.. phir diya (sonia) nay.. phir aik dost hain humaray azhar ul haq unhoon nay.. khair sunoojee sunaoojee group aik meharban nay delete kar diya.. phir kuch aur groups bhi banaye.. aur silsala chalta raha.. phir youn howa kay pardes aa gaya. tu yeah cheez khatam hoo gai.. phir aik din aisay hee shairi parhtay parhtay aik link pay click kiya.. aur aik forum ko join kar liya.. uss forum pay kull milla kay 8 say 9 maheenay tuk member raha.. bohat posts kee.. bohat say achay achay dost banay.. magar aik kami rahi.. aur woh thi.. uss jahaan kay talaash kee.. jis ko apna kahain.. jo apna hoo.. matlab jo sab apnay hain sab ka hoo.. apnoon kay liyeah.. uss cheez ke boaht kami rahi .. kuch dost ehbaab thai.. woh dil kay tu shaid bohat achay hain.. magar shidat e jazbaat say malghoob hoo kay jo kuch kartay thai.. woh kabhi pasand na howa.. phir youn howa kay asooloon pay ikhtilaaf hoo gaya.. kissi nay mujhay mazdoor leader kaha.. aur kissi nay laraka, aur kissi nay (6) kaha.. lougoon ka tu kaam hai battain karna.. so jitnay moun khullay utnee battain bhi.. magar kaya hai kay jis aik rukh milla ... kay theek hai agar aisa hai tu kiyon na apna jahaan khud talaash kiya jaye.. tu buss ussi ik jahaan ke talaash mein idhar ko iss khayal ka hath thamay idhar ko nikal paray.. hallagulla ke taraf.. socha aik aisi jagaah banaye jaye.. jahaan payaar hoo.. jahaan ikhlaas hoo.. jhaan baat zubaan kee jaye.. lathi say nahi.. jahaan rishtoon ko lafzoon ka libaada pehna kay bikaoo na kiya jaye.. balkay amloon say sajaya jaye.. jahaan baat kuch aisi ho kay aap ko na kehni paray.. daikhnay walla khud kahay... buss issi justajoo mein nikal paray.. safar kitna tay howa kitni door hain manzil say.. yeah tu daikhnay wallay he bata saktay hain.. manzil millay na millay.. gham nahi.. magar ik baat tu tay hai.. kay iss safar mein jitna payar milla.. jitni duain milli.. aur uss say bhi barh kay jitnay achay aur chahnay wallay dost millay.. sathi banay.. woh kissi naymat say kam nahi.. mairi dua hai.. kuch na rahay.. magar yeah fiza.. yeah rishtay aisay hee mazboot say mazboot tar hotay rahain.. ameen... Question # 3 Ghar mein kitnay loug hain, aur aap ka sab say kareebi taluq kis kay sath hai ? Mairay ghar mein loug nahi hain.. haan mairi Maa Jee hain.. Bhai hai.. Behnain.. hmm.. aur Mein.. aur mairay sung mairi yaddain.. maira sayaa.. aur maira hamzad.. aksar battain hooti rahti hain. sab ko he yeah khawahish rehti hai kay woh pehlay hai.. magar awal akhir tu koi bhi nahi hota na.. Magar shaid baat kee hai taluq ke.. tu taluq ya tu dil ka hoota hai.. ya phir khoon ka.. aur baaz dafa souch samajh ka bhi hoota hai.. jo taluq khoon ka hai. uss ke baat tu nahi kartay na.. us ka tu maan hoota hai.. haan yeah taluq jab dil ka ban jata hai ya dil o dimagh ka.. tu baray naseeb ke baat hooti hai.. khair yeah tu waisay hee lifaaziyaan hain.. sach yeah hai kay ghar mein mairi chanti kissi kay sath nahi hai.. haan magar chalti sab pay hee hai.. Maa Jee ko nikaal kay.. ![]() Question #4 Dais ko Choor kay Pardais Jaa Basay hain aap.. Pardais kay hawalay say apnay jazbaat bataiyeah.. Kaisi lagti hai yeah zindagi aap ko .. ? Milli youn ik baad e saba sulagtay diyaar mein.. Jaisay koi hanstay howay bachay ko rulla dai.. Basna aur cheez hooti hai aur rehna aur cheez.. mein pardais mein rehta hoon.. rahi baat dais ko choor kay.. tu choot'ta tu woh hai.. jo khawb o khayaal say mahoo hoo jaye.. magar yahaan tu haal kuch aur hai .. jitnay miles baray hain.. utni dais say qurbatain barh gai hain.. haan pardais kay hawalay say jazbaat ke jo baat ke hai tu aik do ashaar hain.. !! Pardais kay buss khawb sohanay.. yahaan apnay bay gaanay hootay hain.. Wafa kay naghmay jo gaatay hain.. Loug un ko deevana kehtay hain.. ! Hum ban banjaray yahaan dar badar sarkoon pay awara phirtay hain.. Akhiyoon mein sulagtay khawab liyeah.. Lafzoon ke malla buntay hain.. ! Tu buss kuch aisa hee hai.... Apnay bhi bay'ganay hoo jatay hain.. aur phir agar aap kabi iss pardais mein wafa ke payar ke baat karain tu loug aap ko dhut'kaar daitay hain.. deevana kehnay lagtay hain .. yahaan kuch bhi apna nahi hoota.. woh kehta hai na.... Janta hoon kuch bhi maira nahi magar.. Phir bhi yeah zid sab mairay liyeah hai.. tu buss zid mein lagay howay hain.. loug.. kuch ko tama hai.. sikoon ke chankar ke.. tu kuch.. janay kis juram ke saza kaat'tay hain.. pochay gar koi tu kehtay hain.. kuch yaad nahi.. ![]() Aur poocha kay yeah zindagi kaisi lagti hai.. ab iss kay jawab mein tu kuch bhi kaha jaa sakta hai.. aur kuch bhi nahi... guzar rahi hai ... lakh chahain kay thaam lain.. na janay dain.. rook lain.. kahaan sunti hai.. buss.. !! Akhri ik kaam honay ko hai.. Zindagi Tamaam honay ko hai.. Tamaam din tu Safar mein rahay.. Chaloo ab shaam honay ko hai. Aur haan.. !! Masartoon ka hum ko ilm nahi.. Ranj o Alam Jam honay ko hai.. Question # 5 Aap bohat acha likhtay hain, yeah bataiyeah kay aap nay kis say mutasir hoo kay likhna shuroo kiya aur likhtay waqat kaya mushkilaat paish aati hain.. aur kaya cheez ya feelings likhnay kay liyeah inspire karti hai.. ? Aik baat mein soch raha tha pichlay sawal ka jawab likhtay howay kay the way you are asking me question.. and than the way i used to answer.. iss nay aik zakheem kitaab ke shakal ikhtiyaar kar laina hai /ohno Pehli baat ko clear kar doon. pichlay dinoon aik sahib nara lagatay nazar aye ... kay jee bohat manay howay aur mustanid likhari aur shair aur aisa hee bohat kuch aur bhi.. kay jee yeah humri mulkiyat hai aur shaan hai.. tu aik cheez jo mein aksar sochta rehta hoon kay yeah jo likhnay wallay hootay hain.. yeah koi asmaan say nahi utartay.. yeah hum jaisay hee hain.. hum say hee hain.. haan yeah hai kay likha unhoon nay.. aur parha.. aur phir islaah ke rah lee.. aur phir rujhaan aisa nikla kay aik makhoos tarz e tahreer apnaya.. aur phir in likhnay waloon nay apni apni shanakhat banaye.. aam say hum jaisay loug hain.. mein tu yahaan hg pay jab logoon ka likha parhta hoon tu mujh ko anay wallay waqat ka faiz aur faraz nazar aatay hain.. aur yaqeenan waqat bataye ga.. aur haan waqat hee sach bolta hai.. khair.. baat hoo rahi thi likhnay kee.. tu kehna yeah maqsood tha kay mein likhta nahi hoon.. haan jo dil mein aata hai woh rokta bhi nahi hoon.. share kar laita hooon.. lafzoon ko kabhi kabhi joor laita hoon.. tarteeb laga daita hoon.. buss aisay hee hai.. kuch logoon ko pasand aa jati hai tu kafi hai.. aab sawal jo hai kay kis say inspire hoo kay likhna shuroo kiya.. tu mein naya naya lahore shift howa tha 1987 mein.. college mein addmission liya.. udhar parhaiye kaya hooni hooti thi humaray mohalay balkay ghar kay bilkul samnay wallay ghar mein aik sahib thai abid azeem abid.. woh bhi ussi college aur humari khush kismati kahiyeah ya kuch aur humaree hee class mein parhtay thai.. roll number un ka abhi tuk yaad hai.. wajaah uss ke yeah kay jee un ke aksar proxy mein lagaya karta tha aur woh sahib sara saal canteen mein baithay rehtay thai.. khair yeah baat batanay ka maksad yeah kay abid shairi kiya karta tha aur nazim pani patti say islaah liya karta tha.. nazim pani pati ka baita jis kaa naam pasha tha kaafi acha dost tha abid ka khair.. mein aur abid aksar sath hee jaya kartay thai.. phir uss ke daikha daikhi.. la'shaoori kahiyeah ya sahoori kahiyeah ya phir experiment kahiyeah aik baar likha uss ko parhaya tu uss nay encourage kiya kay koshish karoo.. phir jahaan mein lahore mein rehta tha i mean ghalib colony udhar qateel shafaie marhoom aur ahmed nadeem qasmi next street to our house raha kartay thai/hain.. tu dono say milnay ka ittefaaq howa.. qateel sahib nay batoor e khaas bola kay bhaiya shairi wairee choro aur nasar ke taraf aoo.. khair yeah silsala tab say chal nikla hai.. kabhi saal saal barh baanjh rahta hai humara kalam aur kabhi itna barasta hai kay sab baha lay jata hai.. bara hee ajeeb sa hai.. kabhi kabhi aisa bhi howa kay dil kiya kuch likhain.. tamaam raat guzar gai do lafz tarteeb say na lagay.. aur kabhi kabhi aisa bhi howa.. kay do ghari ko ankh band ke aur tahreer safhay pay khud ubhar aye.. chalta hai yeah sab.. bari had tuk ikhtiyaar say bahir hai.. magar mein nay daikha hai.. kay agar aap likhtay rahain tu behtari paida hooti chali jaati hai.. jahaan tuk hai kay kaya mushkilaat paish aati hain.. tu sachi baat hai kuch khaas nahi.. wajaah uss ke yeah hai kay ghazal ko shairi ko mein nay baqaida kabhi nahi parha.. aur yeahi wajah hai kay behar kafiyeah say khairj rehta hoon.. khair rehta tu bay wazan bhi hoon..magar yeah hai kay likhta mein aksar aik go mein hoon.. matlab kay kuch likh raha hoon.. ya kuch khayal hai tu uss ko poora utaar laita hoon.. aur mazay kee baat batata hoon.. aksar yeah hoota hai kay daftar jatay howay bus late hoo gai.. ya treffic mein jam hoo gai.. ya aisa hee kuch tu safar mein likha... aur aisa aksar hoota hai.. ya phir.. andha hoo kamray mein.. aur ko jugnoo sa chamaknay lagay tu tab.. likhta hoon.. haan jo baat likhi kay koi khayala jo inspire karta hoo bohat.. tu haan.. khayaal e yaar hee kaya kam hai.. ![]() Question # 6: Aksar khana pakatay howay paye jatay hain.. yeah bataiyeah aap kouns ee dish sab say achi banatay hain.. apni cooking kay hawalay say koi dilchasp waqaya ya yaad share karain ? Mein shaam mein online aata hoon ziada tar tu zahiri see baat hai khanay pakanay ya khanay ka time wohi hoota hai tu uss time agar baat hoo gi tu aksar yeahi karta howa paya jaoon ga ;) .. acha mein koun see dish achi banata hoon... hmmmm... matlab kay miyaan mithoo banay ke davat e aam dee jaa rahi hai <IMG class=inlineimg title=" " alt="" src="http://www.hallagulla.net/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0 smilieid="776"> .. theek hai jee aap ka hukam sar ankhoon pay ... :p mein 2/3 dishes kaafi achi bana laita hoon.. aik tu haleem hai.. phir chiken qourma.. aur buss i think.. aur rahi baat dilchasp waqye ke ya yaad kee.. tu woh tu rooz hee koi na koi darama howa hoota hai.. abhi last friday ke baat hai.. white channay bana raha tha.. theek bana laita hoon.. magar janay kaya howa.. banatay banatay lahore mein masjid e shuhda kay pass chikar chanay milltay hain.. socha waisay chanay bananay ke koshish karta hoon.. ab tarkeeb koi thi nahi.. tu khud say hee socha kay kaisay banatay hoon gai.. tu apni taraf say bara expert ban kay chanoon mein baisan ghool kay daal diya kay iss say thooray chikar choolay type ban jayain ga.. magar woh chikar cholay tu nahi banay haan magar pakoora cholay ban gai.. ![]() Question #7: Aap nay kaafi jaghain daikh rakhi hain . Yeah bataiyeah koun see ziada pasand aye aur kiyon ? Hmmm... Kuch manzar hain jo ankhoon mein qaid howay howay hain.. deer aik jagah hai .. chitraal jatay howay rastay mein aati hai..lawari top say pehlay.. sarak kay bayain taraf pahaar hai.. aur dilaan itni hai kay uss pay ghar banay howay hain darkhtoon kay beechoon beech.. kitaar dar kitaar.... lakri kay ghar.. aur shaid cheerh ke lakri kay.. aur dayain haath dhilaan hai.. aur agar aap neechay daikhain tu darya kuch phail kay chlata hai.. aur kaafi hamwaar jagaah hai.. jis mein muqami logoon nay khaiti baari kar rakhi hai.. gandam uga rakhi hai.. sarsoon ugi hoi hai.. aik chadar see bichi hoi hai.. aur uss kay beech say darya guzarta hai.. bal khata howa shoor machata howa.. aur in kay dosri taraf phir bahaaroon ka aik silsala hai.. jis pay ganay dakhat ugay howay hain.. yeah pehla manzar hai jo mujh ko bohat acha laga tha.. shaid iss liyeah kay yeah pehla tha.. aur jab daikha tha.. tu badal itni hee unchai pay thai kay agar aap gari ke chat pay kharay hoo jayain tu hathoon mein bhar lain.. bheegi sarak pay door tuk badal aawara gardi kar rahay thai.. aur un mein kuch pari sorat chahray sharmatay baiyeen taraf pahar pay rasta banati lakri say banay gharoon mein kaheen gum hooti unko bhi gum kar rahi thi.. biloor ankhain theen un kee.... haan uss kay baad tu phir aisay hee manzar ke talaash mein janay kahan kahaan ghomay.. aur agar yeah likhnay baith jaon kay koun see jagaah achi lagi aur kion.. tu phir buss dai diyeah mein nay baki sawaloon kay jawab ![]() Question #8: Aap ke taleemi qabliyat kaya hai, aaj kal kaya kar rahay hain ? Taleemi qabliyat hmmm kuch khaas nahi MBA kiya howa hai Finanace mein aur sath mein MCS kiya tha.. aur kuch certifications.. networking mein aisay hee shoq shoq mein .. aaj kal idhar london mein aik local authority hai uss kay Performance Management Unit mein kaam kar raha hoon... jeenay ko kuch na kuch tu karna parta hai na jee tu kar rahay hain .. ;) Question #9: Sinf e Nazuk kay baray mein aap ke raye.. koun sa roop acha lagta hai.. aur koun sa bura ? Sinf e Nazuk yahi kay khawateen.. pay abhi pichlay dinon usuf bhai ke likhi aik tahreer parhi.. kafi hud tuk un say ittefaq karta hoon mein. woh gai zamanay thai jab sinf e nazuk nazuk howa karti thi.. aab tu in ke yeah sinf nayaab hoo gai.. suna hai wild life wallay iss ke protection kay liyeah koi compgain chalanay ke sooch rahaay hain.. magar choon kay kuch khawateen uss tanzem mein shamil hain so abhi tuk kuch faisla nahi hoo saka.. pichlay dinoon aik khatoon say bat hoi. unhoon nay kaha kay basit mujhay tumharee samajh nahi aati.. bhala koi poochay kay kaam woh kijiyeah kay jo karnay ke ista'taat hai.. ab par agar hoon hee na tu bhala koi kaisay uray.. laikin in ke uraan hoo na hoo pohanch in ke bari hooti hai.. aur wahaan wahaan tuk rasayee hoo jati hai.. jahaan in kay sinf e mukhalif sochtay bhi ghabratay hain.. in mein khoo biyaan bari hain.. matlab kay in ko biyaan karnay ke khoo bohat hooti hai.. jab daikhain biyaan karti nazar aati hain.. aur jahan aik say ziada hoo jayain tu wahan phir bayain bayain shuro hoo jati hai.. waisay in ka pata kuch nahi chalta kay shuroo kahaan hooti hain aur khatam kahaan pay.. haan baki ka khoob pata chalta hai.. aur jis ko na chalay.. uss ko yeah batoor e khaas khud batati hain.. yeah insanoon ke woh kisam hai jo har haalat mein baat karnay ka hunar janti hain... zubaan say bolain na bolain jisam bolta hai.. in hee ke wajaah say raqat ko aza ke shairi ka naam diya gaya aur lafzoon ke joor toor ko ghazal kaha gaya.. aik khatoon theen unhoon nay apna naam hee ghazal rakha howa tha.. ghazal woh kam theen.. haan marsiyaa ziada lagti theen.. pichlay dinoon un ke aik mail bhi receive hoi thi.. jawab diya tu pata chala kay woh sawal samajh baitheen.. waisay yeah sinf woh hai jiss jab milti hai mujasam sawal ke sourat milti hai.. aur hum nay daikha hai kay sirf wohi iss sawal ko hal kar patay hain jo maths mein bilkul he fairgh hootay hain.. haan yeah magar farigh kam milti hain.. humaisha khud ko masroof rakhti hain.. khud ko masroof rakhnay ka koi mouqa na millay tu dosroon ko masroof kar daitee hain.. aur agar koi masroof honay say inkaari ho jaye tu ussay har sinf say kharij kar daiti hain.. yeah baat abhi mujhay pichlay dinoon hee pata chali.. sinf e nazuk kay baray mein kuch khaas nahi janata.. haan itna zaroor pata challa kay aap iss ko jitna suljhain kay yeah utna ulajhti chali jaye gi.. aur agar uljha dain aap tu uss sourt mein yeah khud tu uljhain gee hee aap ko bhi uljha dain gi.. in kay abray mein aur bohat kuch likha jaa sakta hai.. magar phir sahi.. kay baat bohat lambi hoo jaye gi.. ;) Question # 10 : Aap ke appearence, qad, wazan, rungat waghaira.. Appearnace kay liyeah picture attach kar daita hoon khud hee daikh lijiyeah.. rungat bhi aur qad bhi.. haan wazan jo hai woh bay wazan hai.. woh likha tha na pehlay kay hawa bay wazan wajood ko sahraoon mein liyeah phirti hai.. khair yeah tu aisay hee baat aa gai.. kaafi arsay say note nahi kiya.. last time jab kiya tha tu 65kg tha.. but i think its no more 65kg ;) Question #11 HallaGulla kay illawa aap ke masroofiyaat kaya hain ? Well, HallaGulla kay illaawa jo kaam mein karta hoon un mein aik tu job hai, shairi karta hoon kabhi kabhi, dairy likhta hoon.. aur phir urduworld.com pay kaam karta hoon.. aur kabhi kabhi sarkoon pay youn hee billa irada awaragardi bhi karta hoon ![]() Question #12 HallaGulla pay kis say mutasir hain .. Aur kiyon ? Hmmm.. Talent & Knowledge always impress me.. but above that the person inside a person.. Pardese bhai did impress me loads, his dedication and devotion to islam.. @};- Question #13: HallaGulla kay kin dostoon say milnay ka shouq hai, wajaah bhi bataiyeah ? HallaGulla mein kin say milnay ka shouq hai.. sachi baat hai mujh ko patta chalta hai na kay falaah banda hai woh uk mein rehta hai tu mein ur kay milnay challa jaon.. tu in short mairay ikhtiyaar mein jo jo ho ussay milnay ka ishtiyaat hai.. ;) Question #14: Mohabbat kay baray mein aap kaya kahain gai.. ? Kaya Mohabbat ka hoona lazmi hai ? Sahir Ludhyanvi ka aik shair... Mohabbat choor di mein, garaibaan see liya mein nay.. Zamanay ab tu khush hoo ja, zahar ye bhi pee liya mein nay.. ik khawb e gum gishta...!! ik zulf e paraishaan.. ik aks sar e aaina.. ik tamana e na tamaam.. ik gham amawas raat ka.. ik khayaal yaar ka.. Mohabat SAYA hai..!! Badaltay waqtoon kay sung rawaan.. Zaviyeah badaal rahi hai.. Tujh say nikal rahi hai.. Mujh mein khoo rahi hai.. Mairay Qudd say barh rahi hai.. Yeh shaam dhaal rahi hai..!! Mohabbat MAYA hai.. Lahoo mein shamil Jisam mein behti hai..!! Ghar say door veeranoon mein.. Behki Hawaoon mein milti hai.. Tik tik kartee sansoon mein.. Khushboo ban kay utartee hai.. Jharnay ke sourat ankhoon mein milti hai..!! Mohabat Darya hai..!! Jawaan pahar jazboon say nikalta.. Cheekhta chilata, barhta.. utarta howa..!! Tanha maidanoon mein baain karta howa.. Banjar khatiyoon ko sairaab karay tu kabhi. Hanstee bastiyoon ko ujarta howa..!! Iss darya ko magar samandar nigal laita hai..!! Hmmm aur.. kaya kahoon ? Rahi baat kay mohabat ka hoona lazmi hai kay nahi.. mohabbat hee tu hai.. jo yeah duniya hai.. mohabbat kay bina bhi kaya kissi cheez kay honay ka tasvar kar saktay hoo aap ?? Question # 15: Zindagi mein kabhi mohabbat kee.. uss ka thoora sa zikar karain ? Hmmm... haan shaid.. kuch khabar nahi hoi.. Mooj e hijar mein khosh raha karain gai hum Shab e visal ke aas pay na jiya karain gai hum Chup chaap rahain gai tum say kuch na kahain gai hum Baywafaiyoon ka kissi say naa gila karain gai hum Kisi dasht kay ghubaar mein ya jangaloon mein kaheen Kar kay chaak garibaan naa phira karain gai hum.. Yadoon say mehkay dais mein jab pighlay ga badan Lag kay kissi girti divaar sung royaa karain gai hum Sard tareek ratoon mein tanhaiyon kay hajooom mein Tootay kissi taray mein tujhay dhoonda karain gai hum ![]() Question # 16: Zindagi mein koi aisa kaam jis pay pactawa ho ? Hmmm.. Zindagi mein aisa kaam.. let me re phrase it.. aisa lamha .. aisa waqaya jis pay pachtawa hoo.. Hmm.. haan shaid.. @};- Tunhai Kay Rastoon Pay Tairay Sar Ilzam Dharain Tu Kaya Visaal Ke Manzilon Ko Jatay Samay Mujbooriya Tairay Sung Raheen Mazooriya Mairay Sung Bhi Theen.. Bicharnay Ka Ghum Karain Tu Kaya Woh Zinda Lamhay Jo Mohabatoon Ke Ahad o Paimaan Kay Sillsallay Thai Guzar Gai Hain Woh Mar Rahay hain Tunhai Kay Rastoon Pay ... Kull !! Ik Ajnabi Galay Hum Say Mil Raha Tha Hansta Tha Wo Mujh Ko Rulla Raha Tha Bachon Jaiay Hal e Dil Chupa Raha Tha Laho Rung Bunjar Zamen Saja Raha Tha Guzri Baton Pay Woh Pachta Raha Tha Zair e Lub Koi Naam Gungana Raha Tha Dor Jata Tha Magar Aur Pas A Raha Tha Aur Aaj Tunhai Kay Rastoon Pay Aashiyaaan Say Nikaal Paray Hain.. Yadoon Kay Dais Ujar Rahay Hain Zindagi Say Rung Nikal Rahay Hain Woh Gulab Chahray Bichar Gaiay Hain Ab Baith Kay Mattam Karain Tu Kaya Tunhai Kay Rastoon Pay Jo Chall Parray Hain Tu Chall Paray Hain Question #17: Zamana e Talib e Ilmi ka koi aisa waqaya jo Bhool na sakta ho ? Hmmm ... yeah sawal poocha na jee.. haan jee kiyon nahi jee.. aik nahi .. poora debaacha hai.. kahiyeah tu suna doon aabhi kay abhi ? acha chaloo Inter kay zamanay ke aik baat sunata hoon.. aik dost tha maira Abid Azeem Abid.. uss kay sath bohat waqat guzra maira.. ghar amnay samnay thai humaray phir college hat'ta kay classes bhi same theen tu uss say khoob chanti thi.. humaray college kay samnay larkiyoon ka aik school tha.. woh sahib wahaan pay aik larki ko roz hee bazari ashiqoon ke tarhaan taka kartay thai.. par woh school say nikal kay bus mein baith jaati aur ghar chali jaati.. aik din sahib (abid) nay socha kay kiyno na larki kay mahafiz ban kay un ko ghar tuk choor kay aya jaye.. ab masla yeah tha kay hum dono he paidal howa kartay thai.. aur woh khatoon buss payjaati theen.. tu ab hum bus kay peechay bhaag bhaag kay tu un ke hifazat kar nahi saktay thai.. tu humara aik combine friend tha Jamil. uss kay pass motorcycle thi.. hum nay NCCS say phutta mara aur uss ke bike udhar lee.. abid chala raha tha aur mein peechay baitha tha.. ab college kay samnay pohanch gai.. intazaaar shuroo hoo gaya.. khair chuti hoi woh ayeen.. aur buss mein baith gaieen.. aabid sahib nay hawai salam kiya tu khatoon muskara pareen.. buss jee abid ke tu eid ho gai na jaisay.. khair buss chali.. aur hum buss kay peechay peechay hoo liyeah.. Govt. Science College mein hum parhtay thai.. Allama Ibal town mein.. hum buss say thora peechay thai.. tu aik isharay pay buss nikal gai agay aur hum isharay pay reh gai.. ab kiyon kay police wallay isharay pay kharaay thai .. hum ishara bhi nahi toor saktay thai.. tu jaisay hee ishara khula abid nay full speed pay bike doraye kay buss ko kisi tarhaan pakara ja sakay.. magar bus kaafi agay jaa chuki thi.. aur phir uss nay aik turn lay liya.. hum full speed pay thai.. aur jab turn aya tu abid nay bike slow na kee.. aur waisay hee turn karnay ke koshish kee.. tu khair say bike slip hoo gai.. agay kuch khudai hoo rahi thi.. tu mein aur abid jo hain udhar jaa kay giray.. aur bike left side pay nalla tha uss mein jaa giri.. aur buss ka kuch pata na chala.. chotain tu khair jo lageen.. magar jo huliya ban gaya humara.. aur jo bike kay sath howa... woh buss na pochain.. aur khair say jin ke bike thi woh azli sheikh thai.. iss saray qissay mein nuksaan jo howa woh tu hoa.. magar yeah howa kay woh khatoon ko phir kaafi humdardi hoo gai abid say.. uss kee wajaah yeah kay woh banda aisa mustaqil mizaaj tha kay aglay din phir uss ko salam karnay pohanch gaya.. sari patiyoon kay sath jo doctor nay uss kay jisam pay jaga jagah kee theen.. aur woh bhi jo uss nay special uss ko dikhanay kay liyeah additional karwayee theen.. (6) Question #18: Aap ke zindagi ka koi khushgawar lamha jo aap na bhool saktay hoon.. ? Hmmm.. haan jab mein pehli baar apni bike pay tun tanha lake saif ul malook pohanch gaya tha.. that moment was a sort of acheivement for me.. mein nay bohat saloon tuk yeah socha tha kay zindagi mein ik baar zaroor bike pay parhoon pa jana hai.. aur ziada adventure yeah howa kay akaila jana par gaya tha.. aur phir sab khair o afiyaat say hoo bhi gaya.. waisay kabi kabhi ab jab sochta hoon tu rong'thay bhi kharay hoo jatay hain.. coz there were few moments jab agar aik lamhay ke bhi ghalti hooti tu. shaid aaj idhar na hoota ;) Question #19: Koi aisi cheez, Aisa shakhas, jis kay baghair zindagi mein khala hoo ? Mairi khushi mairi zindagi mukamal hoo jaye.. Ik woh millay mairi bandagi mukamal hoo jaye.. Question #20 Gussa kab aur kin batoon pay aata hai, Aur ghussay ke halat mein kaya kartay hain ? Doooghlapan, Jhoot, Makaari, aur Jhoot pay aata hai.. aur iss kay illawa kam'aqli pay bhi bohat ghussa aa jata hai kabhi kabhi.. aur ghussay ke halat mein kaya karta hoon.. it depends kay kis pay aya hai.. if its from someone very close.. uss ko khob dant'ta bhi hoon aur samjhata bhi hoon.. and if its from someone not that close to myself.. tu depends what kind of relationship it is.. i do believe in reacting with equal force.. and let other relise things - waisay kaafi ulta seedha bolta hoon gussay ke halat mein aur sunta bhi nahi hoon kissi kee.... ;) Question # 21: Aap ke sab say bari kamzoori, sab say achi aur sab say buri adat ? Agression is my worst enemy.. i do try to get control over it, but still sometimes i do over react.. jahaan tuk baat hai achi aur buri adat kee.. i dont know how many of you agree with that.. but i am loving and caring.. but on worst side of it.. i am possessive.. ![]() Question #22 Aap ke nazar mein dosti kaya hai.. apnay sab say behtareen dost kay baray mein kuch bataiyeah ? I dont know whats the meaning of dosti.. magar the way i used to interpret this word iis of two soule thinking or sharing things on same wave length.. means zahni hum ahangi.. its not about liking.. but mental understanding.. thats how i interpret this.. and you can't have this understanding with everyone.. and as per this.. your lover can't be your friend.. but yes.. you can be in love with your friend... what i believe more is is friendship than love.. coz undrstanding is long lasting.. where as people do change their liking and disliking with passing time.. whereas one's thinking pattran doesn't change so often.. people do keep on thinking on same pattran for life.. aur rahi baat my best friend ke.. tu thats Kami.. mairay bachpan ka sathi.. aur phir jawani ka bhi.. i know i can spend years with him.. for nothing.. we used to fight a lot.. but we move like one.. i understand him.. so does he.. and most importantly.. we both share same set of memories.. and we always have loads to share with each other @};- Question #23 Sab loug achay nahi lagtay.. aur sab loug buray nahi lagtay.. Aap bataiyeah aap ko kis kisam kay loug achay lagtay hain kis kisam kay loug buray.. ? Mujh ko bad'diyanat loug burray lagtay hain.. matlab jo kehtay kuch hain kartay kuch hain.. ya jaan boojh kay bad niyaati kartay hain.. expres kuch aur kartay hain.. hotay kuch hain.. wat i believe in is simplicity.. one should at least try to be what he is.. instead of pretending what he is not.. and in those those people come who think of themself superman kind of ting.. what i believe is .. none is perfect.. so does we should not react like we know all or we can do everything.. but yes.. we can go and work hard to acheive our set objectives.. haan mujh ko woh loug bhi bohat buray lagtya hain.. jo islam kay naam pay dhaba hain.. jo apnay duniyaawi mufadaat kay liyeah islam ke shakal ko bigaar kay paish kartay hain.. jo hain tu none muslims... because of their faiths.. but always try to prove themself muslim.. and prove other wrongs with their fake and fussy logics.. and self created evidences.. I wish I can do something to bring them back tto where they belongs to or at least shut their mouths.. I also dont like those who forgetten their identity.. means hans ke chaal chalnay kay chakar mein apni bhool baithay.. but yes i do like those.. who believe in simplicity.. and who are just like a drop of clean water.. you can see everything inside.. khair thats how i think.. not necessary everyone thinks the same way.. ;) Question #24 Zindagi ka koi aisa lamha kay dil mein kasak hoo kay wapis lout aye.. ? Aik tu nahi kaye hain.. kabhi kabhi tu poori zindagi ke he talab hoo jati hai.. har beetay lamhay ko badalany ko dil karta hai.. kaash yeah aur kaash woh.. magar kab kuch kiya jaa sakta hai.. jeena tu aaj mein hee parta hai na.. tu buss.. yaadain achi achi sambhaal laini chaiyeah ;) woh mein kearta rehta hoon @};- In specific agar poochoo tu i think mujh ko Nowshehra mein guzray din raat wapis chahiyeah agar koi laa kay dai sakay. maira bachpan.. woh kaghaz ke kashti.. woh barish ka pani.. woh dadi ke daant.. woh jugnoon ko pakarna.. titliyoon kay peechay bhagna.. woh roshan lambi rattain.. woh dalan mein lagay darakhat kay meethay anaar.. woh shahtoot ka darakhat.. woh dada kay hath say khameeray ka aik chamach.. aur woh bohat sari kitabain.. aur phir woh company baagh mein lagay aamoon ka darkhtoon ke kitaarain.. aur haan mujh ko woh pichlay barsoon mein jo paharoon pay baraf pari thi.. woh bhi chahiyeah wapis.. ![]() Questoin # 25 Shairi kab aur kaisay shuroo kee thi ? Apni koi aik nazam aur koi ghazal sunain jo aap ko bohat pasand hai ? Hmmm Shairi kab shuroo kee.. woh upar aik question mein likha tha mein kuch ... buss wohi hai.. acha dobara quote kar daita hoon asaani kay liyeah ![]() Mein koi regular likhnay walla nahi hoon.. kahi kaheen mairi shair shaya bhi nahi hoi aur naa hee kuch aur likha kabhi kaheen chapa hai.. idhar net pay hee shairi karta hoon.. ya phir koi dost mill jaye tu taza likha uss ko suna kay (aksar zabardasti hee ) comments laita hoon .. khair kehna yeah maqsood tha kay mein koi professional writer naho hoon.. haan jo dil mein aata hai woh rokta bhi nahi hoon.. share kar laita hooon.. lafzoon ko kabhi kabhi joor laita hoon.. tarteeb laga daita hoon.. buss aisay hee hai.. kuch logoon ko pasand aa jati hai tu kafi hai.. aab sawal jo hai kay kis say inspire hoo kay likhna shuroo kiya.. tu mein naya naya lahore shift howa tha 1987 mein.. college mein addmission liya.. udhar parhaiye kaya hooni hooti thi humaray mohalay balkay ghar kay bilkul samnay wallay ghar mein aik sahib thai abid azeem abid.. woh bhi ussi college aur humari khush kismati kahiyeah ya kuch aur humaree hee class mein parhtay thai.. roll number un ka abhi tuk yaad hai.. wajaah uss ke yeah kay jee un ke aksar proxy mein lagaya karta tha aur woh sahib sara saal canteen mein baithay rehtay thai.. khair yeah baat batanay ka maksad yeah kay abid shairi kiya karta tha aur nazim pani patti say islaah liya karta tha.. nazim pani pati ka baita jis kaa naam pasha tha kaafi acha dost tha abid ka khair.. mein aur abid aksar sath hee jaya kartay thai.. phir uss ke daikha daikhi.. la'shaoori kahiyeah ya sahoori kahiyeah ya phir experiment kahiyeah aik baar likha uss ko parhaya tu uss nay encourage kiya kay koshish karoo.. phir jahaan mein lahore mein rehta tha i mean ghalib colony udhar qateel shafaie marhoom aur ahmed nadeem qasmi next street to our house raha kartay thai/hain.. tu dono say milnay ka ittefaaq howa.. qateel sahib nay batoor e khaas bola kay bhaiya shairi wairee choro aur nasar ke taraf aoo.. khair yeah silsala tab say chal nikla hai.. kabhi saal saal barh baanjh rahta hai humara kalam aur kabhi itna barasta hai kay sab baha lay jata hai.. bara hee ajeeb sa hai.. kabhi kabhi aisa bhi howa kay dil kiya kuch likhain.. tamaam raat guzar gai do lafz tarteeb say na lagay.. aur kabhi kabhi aisa bhi howa.. kay do ghari ko ankh band ke aur tahreer safhay pay khud ubhar aye.. chalta hai yeah sab.. bari had tuk ikhtiyaar say bahir hai.. magar mein nay daikha hai.. kay agar aap likhtay rahain tu behtari paida hooti chali jaati hai.. jahaan tuk hai kay kaya mushkilaat paish aati hain.. tu sachi baat hai kuch khaas nahi.. wajaah uss ke yeah hai kay ghazal ko shairi ko mein nay baqaida kabhi nahi parha.. aur yeahi wajah hai kay behar kafiyeah say khairj rehta hoon.. khair rehta tu bay wazan bhi hoon..magar yeah hai kay likhta mein aksar aik go mein hoon.. matlab kay kuch likh raha hoon.. ya kuch khayal hai tu uss ko poora utaar laita hoon.. aur mazay kee baat batata hoon.. aksar yeah hoota hai kay daftar jatay howay bus late hoo gai.. ya treffic mein jam hoo gai.. ya aisa hee kuch tu safar mein likha... aur aisa aksar hoota hai.. ya phir.. andha hoo kamray mein.. aur ko jugnoo sa chamaknay lagay tu tab.. likhta hoon.. ![]() Ab rahi baat kay koi nazam ya ghazal jo mujhay apni pasand hai woh share karoon :-s mushkil kaam hai na.. chalain kuch sunata hoon.. ![]() ~**...Sunooo...**~ Sahiloon pay basnay walli larki..!! Kiyon khawboon ke khaitee beejee hai..!! Khawb tu dukh daitay hain..!! Kanch say nazuk khawb tumharay..!! Thais lagi tu Toot jain gai..!! Aankhoon mein chubh jain gai.. Sakhiyoon nay poocha kaya howa..!! Tu kaya kahoo gi..!! "Ankh mein kuch par gaya hai..!!" Khawb kab chup rehtay hain..!! yeh sab keh dain gai..!! Duniya wallay awaaz kassain gai.. Tannay dain gai..!! Tum khushboo say mehki komal larki..!! Lafzoon kay nashtaar sah paoo gi.. ?? Rawajoon say kaya takraooo gii..?? Itni mohabbat kahan kar paoo gii..?? Shaam dhallay gi tu pachtaoo gii..!! Sunoo!! Sahiloon pay basnay wali larki..!! Khawboon ke khaitee mut beejoo..!! Hmm.. Acha jee ghazal bhi suna daita hoon koi ... pasand wali baat nahi hai.. aisa hai kay dairy khooli hai tu jo samnay aye hai wohi likh raha hoon ;) hmm.. aik ghazal kay 3 shair hain.. <IMG class=inlineimg title=" " alt="" src="http://www.hallagulla.net/vb3/images/smilies/mandi%20thuni.gif" border=0 smilieid="776">Dil kiyon bay'sabaab udaas rehta hai.. Mousam e gul meh'way yaas rehta hai.. Subh hootay hee dum toor daita hai.. Sitara e sehar ko safar e shab raas rehta hai. Lag kay kinaray doob jaata hai Safeena.. Kaya Toofan sahiloon kay Paas rehta hai... Question # 26: Mohabbat hasool e yaar hooti hai, dalail kay sath wazahat karain...? ( @ )Mohabbat ke baat chairi hai tum nay aur woh sawaal kiyah hai jo mein chah raha tha kay agar karay tu uss tarhaan jis tarhaan mein sochta hoon. magar jis rung mein tum nay kiya hai.. woh bilkul uss kay bar'aks hai.. khair sochta hoon.. shaid kuch keh paoon.. not sure.. khair.. baat yeah hai kay mohabbat ke baat karnay wallay aksar mohabbat mein hee haar jaya kartay hain.. khail hee aisa hai kay jeetain ya harrain.. baazi maat nahi hooti.. haan magar mohabbat khail nahi hoti.. kissi un daikhay jazeeray pay.. bikhray seep kay motiyoon ke talaash.. janay kiyon hum aisay khawb daikhtay hain.. mohabbat khawb bhi tu nahi hooti na.. yeah safar bhi ajeeb safar hai.. har moor pay hum ruk say jaatay hain.. ashk ankhoon mein bhar aatay hain.. janay koun see manzilain talaash kartay hain.. kabhi kabhi sochta hoon mohabbat manzil bhi tu nahi hoti.. tu phir kaya hooti hai mohabbat... kiyon chamakta chaand aur jhil mil kartay taray.. aur khayaloon mein urtay phirtay kuch bholi basree yadoon kay jugno.. hum apni muthee mein bhar laina chahtay hain.. mohabbat khawahish hooti hai kaya.. kiyon gajray motiyon kay surkh gulaboon kay.. aur kissi kay nazuk hathoon say aati khushbo e hina .. aur kissi kay naam ke laik dhoondtay phirtay hain apnay hathoon mein.. kiyon dil mein unhain basa laitay hain.. jin ko paa nahi saktay.. ! soch mein daal diya na tum nay akhir.. hota kaya hai.. insaan tanha hai.. dhooray pan ka mara hai.. kami hai koi jiss ke khooj mein hai.. aur iss khooj mein koi saya.. koi parchaye.. jo nazar aye aur dil mein utar jaye.. tu na chahtay howay bhi.. khawahishain angaraiyaan laiti jaag uth'tee hain.. paa lainay ke.. aab yeah paa laina kaya hai.. jism ke khawahish nafas hai.. aur mohabbat ka nafas kay sath tu koi rabat hee nahi hai.. tu phir mohabbat kaya hai.. jisam ke khawahish.. nahi.. mohabbat yaqeenan jisam ke talab nahi hai.. jisam tu bazar mein bik jaya kartay hain.. phir kaya hai.. kaya rishta hai yeah.. aur hasool kaya hai iss ka.. agar yeah jisam say bala hai.. tu phir peechay kaya reh gaya.. roh.. aur gar yeah roh ka rabt hai. tu roh ka hasool kaya hai.. aur roh kaya hai.. jism tu fani hai.. roh daimi hai shaid.. la fani hai.. tu phir agar yeah rabt jism ka nahi roh ka hai.. tu phir yeah taluq bhi tu daimi howa.. aab iss mein hasool kaya hai.. mujhay uss say mohabbat hai.. wajood uss ka magar mairay pass nahi.. mohabbat mar gai kaya.. nahi yeah tu zinda hai.. barhay chali jaati hai.. hasool e yaar howa kaya.. haan.. hoo tu gaya.. jab chahoon ussay ankhoon mein bhar loon.. jab chaoon uss say baatain kar loon.. shikway hazaar karoon.. kabhi ruthoon kabhi mana loon.. zindagi kaya hai.. khwab ke sourat.. mohabbat kaya hai.. khawb hai shaid.. hasool kaya hai khwahish hai yeh tu.. mohabbat gar kahain khwahish nahi tu aur kaya hai.. haan magar mohabbat ke pehchaan zaroori hai.. woh jo sab choor daitay hain.. sab bhool jatay hain.. nafas kay maray hain.. mohabbat tu kissi ko chahay janay ka naam hai.. kissi koo paa lainay ka naam hai.. woh kaha na.. ranjha ranjha karday mein aapi ranjha hoi.. kiyon kaha.. sochiyeah ga.. ranjha milla kaya.. nahi .. tu phir daimi kaisi hoi woh mohabatain.. yeah itna kuch jo hai itraaf mein. kaya hai.. naam e mohabbat he tu hai.. jo yeah karoobar e hayaat challay jaa raha hai.. hasool e wajood kab hai magar.. haan hasool e yaar tu hai magar.. aur yaar bhi woh jo jasd kay fana honay say fana na howa.. ik jaan hoo gaya.. haan gar youn daikhiyeah iss rishta e jaan ko jisay kahaain hum mohabbat tu hai hasool e yaar yeah.. ![]() Question #27: Chacha Ghalib kay ajeeb o ghareeb shair ke tashreeh karain.. /head Yeah woh shair hai jis ka mein nay khaas toor pay abtaya tha huma ko kay yaar ajeeb mushkil tareen shair hai chacha ghalib ka janay kaya matlab hai.. aur sazish ke intaha daikhoo kay interview mein jaan boojh kay wohi sawaal bana kay pooch liya /head awain tu nahi kehta kay poori /cow hai... yeah waqas nay signature mein laga rakha hai.. poocha bhai sahib say kay bhai yeah ajeeb sa shair hai.. matlab kaya hai samjhao.. uss hero nay bataya kay uss nay bhi kissi say poocha tha.. aur phir jo pata chala tha sahib ko woh koi 15 mins samjhatay rahay kay iss lafaz ka matlab yeah aur uss ka woh hoota hai.. ab bhai sahib nay uss andaaz mein bataya kay buss na pochiyeah.. woh kehtay hain na likhay mosa aur parhay khuda.. tu buss kuch waisa hee haal tha. mein nay keh diya haan jee haan aap theek keh rahay hoo.. waisay kuch kuch yaad parta hai kay uss ka mafhoom kuch aisa tha.. kay hum aisay junooni aur faqir sift insaan hain kay jin ke nazar jo hai woh hiran ke nazar say bhi taiz hain.. in simple words apnay aap ko chacha ghalib nay bohat hee khoochal kehna chaha tha.. /ohno Question #28: Art kis shakal mein acha lagta hai.. !! Run aur khushboo ke sourat mein.. ab yeah rung lafzoon ka hoo ya manzar ka.. ya jisam ka.. ya phir khusboo ho batoon say jo aye.. ya ... har cheez mein husan hai.. har cheez jo lay mein ho.. aik rabat hoo jis mein.. kuch hoo un kaha sa.. adhoora sa.. talaash hoo jis mein justajoo hoo.. acha lagta hai.. chahay kuch bhi hoo ![]() Question #29: Faisla karnay mein jald baazi kartay hain ya bohat soch samajh kay kartay hain ? Faislay karnay mein bohat jaldi kiya karta tha mein.. but with changing time i changed this habit of mine a bit.. ab sochta hoon.. aur waqat laita hoon.. koi bhi faisla karnay say pehlay.. aur koshish hooti hai 2nd opinion lay loon.. before making any deicion ![]() Question #30: Faisla karnay kay baad ehsaas hoo kay baad agar ehsaas ho kay faisla ghalat hai tu kaya faisla badal daitay hain ? Nahi.. faislay nahi badla karta.. no matters what ever price i have to pay.. know a bad habit.. thats what my chemistry is.. ;) Question #31: Aik ghazal ya nazam jo aap ko lagay kay aap ke akaasi kar rahi hai.. ? ik justajooo.. Arzoo, Tamana aur umeed.. Ik khawb bin agaaz.. Ik khawb bila anjaam.. yeah jo chahray say hawa' eed hooti hai..bay kasi.. mayoosi.. aur talaash e manzil.. buss yeahi hai.. ! mairi adhoori zindagi.. !! Question #32: Jab kissi baat pay bohat khush hoon tu khushi ka izhaar kaisay kartay hain ? hansta hon, gata hoon, bohat shoor machata hoon.. bacha sa ban jaata hoon bus.. ![]() Question #33: Zindagi aur Mout do talkh haqeeqatain.. in kay baray mein aap ke raye.. !! Anjaam e zindagi mout.. aghaz e mout zindagi.. Aik aina para hai aainay kay samnay Question #34: Agar aap likhtay na tu apnay aap ko kaisay express kartay ? baat kar kay.. i love to talk.. when i likes one company.. and discuss things. ideas, and stuff around.. infact likhnay say bohat pehlay mein nay bolna seekha tha.. and still i love to speak more than write.. ![]() Question #35: Zindagi mein bohat see tabdiliyaan aati reti hain.. jab koi aisi tabdeeli aa jaye jis say bohat kuch badal jaye tu kaisa mehsoos kartay hain ? it depends kay tabdeeli ke noiyaat kaisi hai.. if its in favor.. means i like that specific change than sure it ll makes me happy.. but if changes are those i dont like.. than i sometimes got depressed and isolate myself.. and than takes ages to get out of it.. ![]() Question #36: Bachay iss duniya mein khoobsourti ka ehsaas hootay hain.. aap ke kaya raye hai in kay baray mein ? Bohat achi raye hai.. obviously i love kids.. bilkul masoom say hootay hain.. but i like those bachay jo thoray say shaitaan hotay hain.. aur mast say hootay hain.. masoom bachay bhi achay hotay hain.. bilkul farishtoon jaisay hootay hain.. magar baad mein.. aisay aisay shaitaan hoo jatay hain kay naa pochoo.. ab khud ko hee dikho... /ohnoQuestion #37: Agar kissi cheez kay hasil karnay ke khawahish jaagti hai tu kaya sab kuch daoo pay laga daitay hain ya halaat pay choor daitay hain.. ? I have a nature of giving 100% to what ever i am doing at any time.. means if i am replying to this question my try is to give all i can.. so does it applies to all .. and when it comes to my wishes.. even now i dont got much such stuf.. but i used to give all i have and even what i dont.. ;) Question #38: Zindagi mein sab achay nahi lagtay jo shakhas sab say bura lagta hai uss kay baray mein bataiyeah.. ? I dont even wants to talk about it.. ![]() Koi bura nahi hoota.. haan amal kuch achay hotay hain.. kuch buray hotay hain.. they said.. a killer also have a justification of killing others.. means to say what every one do bad or good.. he have his own justification.. he become good or bad for you when he matchs with your justifications or otherwise.. and they also said. the one who discuss ideas and stuff is better than those who discuss persons.. ;) so lets talk about better things if we can.. theek hai na ![]() Question #39: Koi Iqtabaas jo yaad reh gaya ho .. Chaar murghabiyoon ka khushi say koi taluq nahi hoota Writer: Mustahsan Hussain Tarar Book: Raakh Question #40: Mukhalif sinf mein kaisay loug impress kartay hian... simple answer is impressive loug.. ![]() Question #41: Jab koi aap say jhoot bool raha ho aur aap ko pata chal jaye tu aap jawab mein kaya karain gai.. ? Hmm.. jhoot bool raha hoo koi aur ilam hai kay jhoot bool raha hai. kaya karon ga.. it depends on circumstances realy.. i dont have a set mind.. i do change with changing time.. so its very relative.. if a person is in private doing this.. than tu uss kay bakhiyeah udhair doon ga.. /jin and if its in public.. probably a typical smile do the trick ;) Question #42: Kabhi aisa howa kay jaan boojh kay jhoot bolna para ho.. agar haan tu woh jhoot kaya tha.. ![]() Haan.. it was.. It' alright i ll be fine Question #43: agar kabhi kissi rotay ko chup karwana par jaye tu kaisay karwain gai.. !! again a very relative terms.. i cant do it in same fashion with everyone.. think if i have to do it with you.. aur with my chota bhanja.. a big difference na.. well joke apart.. if i have to do it with kids.. obviously i ll try to offer them some chocolates.. a long ride.. take them out.. kiss them and stuff like that.. which makes them happy.. or what they look after.. and if its someone else.. mature.. and mehram to me.. than i ll give a big hug.. and try to let understand.. and understand myself.. and try to speak what one wanted to listen from inside.. and if its some of my friend.. than mein aik chamaat bhi laga doon ga.. /jin well its again depends.. what is the situation and what are the causes.. so answer to this question can go to 10 pages.. ;)Question #44: Shadi aik rishta hai aik bandhan hai aap ke iss kay baray mein raye.. ? friendship.. Compromise.. sacrifise.. understanding.. Care.. respect.. and some love too.. or it ll not last long.. or become a pain in ..... ![]() Question #45: Apni koi tareef jo humaisha yad rahi.. ? Sunoo.. bohat burray hoo tum basit.. ! Question #46: Apnay baray mein koi jumla jo sun'nay kay muntazir hain ? Sunoo.. Bohat achay hoo tum basit.. ! Question #47: Koi aisa kaam jis pay aap ko fakhar hoo.. ? Few of decisions i taken about myself.. in past.. and few of stuff i done for my family .. ! Question #48: Koun see shakhsiyaat say milnay ka ishtiyaaq hai.. ? Woh jo bichar gai .. ![]() Question #39: Koi sawal jo chahtay hain kay koi na pochay.. ? You already asked that ... Question #50: HallaGullla kay sathiyoon kay naam koi paighaam ? NO matters.. HallaGulla is a virtual community.. but every single ID you come accross.. there is a real person behind that.. and that person is as sensetive as you are.. give due care and respect and make sure you don't say a thing which someone say to you, you got hurt.. spread love.. life is too little for anthing else.. Maira Payghaam hai Mohabbat.. Jahaan Tuk Pohanchay.. ![]() Together We Stand ![]()
__________________ ![]() |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| basit |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Mushtarika Ghazal... Basit & Shagufta..Mehwar Sey Hatna Gawara Nahi Hai | Shagufta Basit | Shagufta | 3 | 07-19-2007 10:03 PM |
| ^^^ Sub Say Bura Admin ^^^ | naz | Gup Shup | 205 | 07-03-2007 10:47 AM |