It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aaho within the Announcements forums, part of the Updates & Help category; Aap ki jaye Paydaaish aur Tareekh Paydaaish ?? Abu Dhabi (UAE), March 30,1985 Aap ka Asli naam ? Nabeel Ijaz ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aap ki jaye Paydaaish aur Tareekh Paydaaish ?? Abu Dhabi (UAE), March 30,1985 Aap ka Asli naam ? Nabeel Ijaz Bhatti Ghar main kis naam se pukarte hain ? ziyadah tar 'Nabeel' hi kabhee 'Bilia' ya 'Bhatti' saab kon si shaksiyat aisi hai jis se milne ka buhat ishteyaaq hai? Aaj kal Usama Bin Laden aur generally HAZRAT Muhammad PBUH Shairi ka shock hai ? aagar hai to koi ghazal aaisi sunyein jo aap samajhte hon aapki aakasi kerti ho ? Jab kbhee yaad aate the un ki tu shauk tha magar ab naheen balkeh jab bhi koi shaieri ki forwarded mail aatee hai tu main delete kar deta hoon... (Zakham dobara taza hoo jatay hain naa /sad ) aapne aap ko 10 saal baad kahaan pey khara dekhte hain ? Main apnay aap ko 10 saal baad aik acha 'Computerised Communication Engineer' ki post par serving karta khara deekh sakta hoon aur haan es dauran mera Islam par Eitamad aur bhi pakka ho jaee gaa. aapna koi sa aik khawab batayein jo haqeeqat ka roop dhaar gaya ? Waisay tu koi khaas yaad naheen haan magar haal hi main main nay khawab deekha keh main BMW (Car) main hoon aur meray paas licence bhi hai aur usay khoob bhga raha hoon.. (waisay I love BMW like nothng else) aur ab us main say 80% sheeh hai aur lagta hai keh 100% hoo jaee gaa... aapni koi si 10 haadatein batayein jin pey aap ko fakhar hai ?? 1.Khamoosh 2.Akela 3.Ziddi 4.Bahut ziyadah deekh baal karnay wala (Caring). 5.Moody 6.Jehadi soch.(Magar abhee tak koi maukh naheen mila,agar cheh namaz ki taraf haath kujh tang hi hai) 7.Pathar Dil (Magar kabhe kabhe bahut hi nazik dil ho jata hoon )8.Agar koi kaam milay tu usay har tarah say pora karta hoon. 9.Use Some selected thing dont think to change it. 10.Iraday ka pakka. Extra) 11. Jazbati (Bhai jaan 10 likhnee teen ufffffffff shukar hai poree hoeen. Aik extra bhi likh dee ki agar koi aik paas na hoo tu doosree kaam aa jaee... :p) Gar jis se aap ko sab se ziada muhabbat hai wo aap se dhoka ker raha hai or aap ko ilm ho jaye to kia raday-e-amal ho ga ? Jo sawal aap nay kiya hai yeh meray saath ho chuka hai aur wo abhee tak es ko suffer kar rahee hai...! Waisay rad-e-amal yeh hoo ga keh usay usee tarah choor do baad main usay khud hi tumharee zaroorat paray gee magar bahut deer ho chukee hoo gee bas baad main pachtaway kay ilatah kujh naheen milay gaa...! duniya ke aise 5 maqamat jahaan janay ki buhat khawaish hai ? 1.KSA (Kibla Shareef Aur Masjid-e-Nabwi) 2.Germany (Parhaee kay liyae) 3.Italy (Mafia kay head say milnay) 4.Barmuda Tri Angle (Kiya hai yeh /thinking ) 5.WTC aur Pentagon (New York) ka jaiza karnay! aapki taleemi kabeeliyat ? 8-10 bar Quran khatam kiya hai (Hifz naheen kiya /sad ) 1st-7th Al Minhaj Pakistani School, Beda Zayed (UAE) 7th-10th (Hostel Life {Kiya din thay woh} Lawrence College Murree(Pakistan) 1st Year(HSSC)|Computer Science| - 2nd Year|Computer Science| Sheikh Khalifa Binzayed Arab Pakistani School And College, Abu Dhabi (UAE) 2nd year completed.With some extra courses! aaj kal kia ker rahay hain ? Kujh naheen bas farigh, Germany main frther stdies ki try kar raha hoon agar Germany naheen tu kaheen aur hi sahee (USA aur UK kay ilawah), waisay haal hi main TOEFL ka test diya hai Result ka intezar hai... baqi sara din Computer TV ya kabheeee kbhaaar ghoomnay chala jata hoon... aap ki sab se bari kamzori ? Eitamad kar jata hoon taqreeban har kisi par, jo keh 'bay wafa' bhi hota hai... aap ka Sanf-e-Mokhalaf (yani larkiyo'n) ke bare main raye ? agar larkiyaan larkiyoon walay kaam kareen tu bahut achee aur khoob soorat lagtee hain magar agar wo apanay aap ko tees mar khaan samjhain aur smthng spesal then Lanat hai aisee tarbeyat par en larkiyoon ki... (Generally they should not cross the prescribed limit) larkiyo'n ki konsi adat achi or kon si buri lagti hai ? Un ka 'hijab' karna... larko'n ki konsi adat achi or konsi buri lagti hai ? Achee aadat: Kisi matlab kay baghair doosray aadmee ka kaam poora kar deen... (Help without thinking of return) Boree Aadat: Zindagee ko mazak samajhna. bachapan ki sab se puraaani yaad kia hai Jab main 3rd main ghar say nikal diya gaya tha... (Waisay aur bhi bahut si hain) Zamanay-e-Talbeyilmi ka koi lamha jo aaj bhi yaad hai ? Aap lamhay ki baat kar rahay hai...? lamhaaaaat booliyae lamhaaat... taqreeban mere tamam HOSTEL LIFE mujhay aaj bhi yaad hai ... waisay khaas toor par jub ham BUNK (Leaving hostel without taking permission of any teacher or senior) mara kartay thay ) ) ) Rozmara zindagi ka kon sa kaam hai jo kerna sab se mushkil lagta hai ? Abu say chup kar Internet aur PC use karna kun keh wo bahut daantattay aur naraaz hotay hain... (main bhi bas 16-18 ghantay PC say naheen uthna naa) aap ki zindagi ka Maqsad ? shayed aap sooch rahay hoo gay keh wohee ghissay pitay alfaz main bhi istamaal karoon gaa magar kabhee aap nay un khisay pitay alfaz par nazar maree hai kabhee kabhee un ilfaaz ko soocha hai jo main kahoon ga yehe mere zindage ka asal maqsad hai... 1.Aik acha Musalamn bannanna.(jahan tak ko saka) 2.Walidain ki har arzoo jo halal hai poree karna. (jahan tak ko saka) 3.Aur apnay biwi bachoon ki (jab hoon gay) achee tarah deekh baal karna... (jahan tak ko saka ) /mother (main nay jahan tak ka lafaz es liyae estamal kiya hai keh main bhi insaan hoon koi ghaltee ya bhool mujhsay bhi hoo saktee hai) koi aisa kaam jis pay buhat faaqkher hai ? Yaad naheen (ghar waloon aur doosray ristay daroon nay meree tabeeyat hi kujh aisee bana dee hai keh main bas un kay liyae kaam kar jata hoon aur un ki taraf say koi response bask naheen baeshak main apni jaan bhi day doon) Shaadishuda hain ya ghair shaadishuda ? Ghair shadee shuda ) ) ) {es sawal ko deekh kar mujhay apnee ami ki yaad aa jatee hai kehteen hain (aaho G hon tay tu wada hoo gaya ai naa bara kalmand hoo gaya ai tere shadee na kar shriyae hon ei, teray we fair teray tarah pagal jaee bachay hoon gay, papa papa papa, abu abu abu, koi aithoon taray waal khich riya hoo ga tay koi teray kan khichda howey gaa)} jab koi aap se jhoot bol raha/rahi ho aap ko ilm ho to kia kerein gaye ? yeh cheez bas waqat kay mutabik hi hotee hai (generally sun loon ga aur phir us banday kay baray main soochoon ga I mean us ka internal idea aur personality ko jis tarah main nay socha hoo ga usay change kar doon gaa, waisay agar koi bara hoon ga tu usay siraf aik bar sach ka rasta bataoon ga us kay baad jisa wo chahe, aur agar chota ho ga tu usay bahut khushi say sunoon ga phir usay kuch es tarah say samjhaoon gaa keh wo mind naa karay yanee us ki feelings ko koi damage naa hoo /baby) Zindagi main tabdeeliya'n aati rehti hain. jab koi aisi tabdeeli aaye jis se buhat kuch badal jaye to kaisa mehsoos kerte hain? Aisa mahsoos karat hoon 'yeh bhi hona tha chalo koi baat naheen ab es kay baray main kiya karana hai /thinking {bas es kay sath chalnay ki koshish karta hoon, waisay khair kujh khaas mahsoos naheen hota... kun keh meree zindagee main bahut si tabdeeliyaan ayee hain aa rahe hai aur aate rahain gee...} aapna pasaandeeda lateefa sunaye/ joaap ko buhat pasaand ho ? Lteefa.... hmmmmm /thinking (saree zindagee thokareen hi khaeen hain es liyae agar koi acha bhi hai wo bhi en thookaroon main kaheen gir gaya ho ga,khair phir bhi...) Shyed kujh aisa hi hai... Quote: Policeman: "Did you get the license number of the car that knocked you down?" Pedestrian: "No, but I know who it was. My mother-in-law!" Policeman: "How can you be so certain?" Pedestrian: "I'd recognize that laugh anywhere!" 1-aap ka real name? Quote: Nabeel Ijaz Bhatti (Waisay main nay pehlay bhi post kar diya hai I mean yeh question poocha hoa hai magar aap nay kaha tu bata diya /flower 2-occupation? Quote: Student (Computer Science) {kiya yehee poocha tha aap nay} -aap ki favourite personality? Quote: [b]aaj kal Usama Bin Laden Generaly Hazrat Muhammad PBUH </B> 4-hg main kaisay aana hwa? Quote: yeh bas aap kay IT section aur adminz ka kamal hai 'from an e-mail invitation' 5-apni zindagi ka maqsad kya banana chahte hain? Quote: aik acha insaan 6-koy aik khami jo apney aap main shiddat se dekhta hain? Quote: kismat kujh kharaab hai mere (as I felt it) 7-agar aap k paas aik hour (ghantey) k lye dunya k saare ikhtyarat ajain to kya karain gaiy? Quote: UN disolve kar doon ga... Israel ko aik never acceptance ka fixed charter doon ga... har country ka high official seats siraf Muslims kay liyae fixed kar doon gaa... jitnay bhi ameer hain I mean more than 2000$ salary walay un sab ko order doon ga keh apnee aadhee daulat ghreeboon (especislly african countries) ko day deen... visa system khatam kar doon gaa... sab text books main say Shaeri khatam kar doon gaa... har aik shehar main teen masjidoon ki tameer ka hukar day doon gaa... tamam kay tama nuclear weapons lay kar aik store main jama kar doon ga jis ki hifazat OIC kay control main hoo ge... tamam kay tamam nuclear wepons kay plants jo weaponer purpose kay liyae hoon gay destroy kar doon gaa... (waisay aur bhi bahut kujh hai magar abhee itna hi sahee /smoke ) 8-koy aik gana jo buhat pasand haiy? Quote: hamain tum say payar kitna, yeh ham naheen jaantay, magar G naheen saktay, tumharay bina. (waisay 5 ganay hain jin ke grading meray paas 100% hai) 9-kis cheez se buhat darr lagta haiy? Quote: Allah kay azzab, Kiyamat, Haram ki maut, aur Jahanum say 10-koy aisa kaam jo buhat mushkil lag ta ho? Quote: Allah say mafee maangna (shayed wo maaf hi na karay {itna naraz ho mujh say}) 11-shadi ka kab tak plan haiy? Quote: jab waldain bolain gay us waqat soochoon ga (kahir us main meree marzee hi hoo gee siraf un ki marzee say kaam naheen chalay gaa) waisay taqreeban 5-9 saal baad. 12-unforgettable moments? Quote: Jab mujhay apnee Nani ami ki wafat ki khabar hooe.. (Wo bhi us waqat jab un ko dafnayee hoae aik hafta ho chuka aur us 50 ropae ki jo unhoon nay mujhay aur meree baree behan aur chootay bhai ko chotee eid par un kay death say 2-3 mahenay pehlay diyae tha /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad /sad ![]() 1) Ghussa Aaye to Kiya Kartey ho Bahut oonche awaz main 'Ustad Nusrat Fateh Ali Khan (Late)' kay ganay sunta hoon, ya phir long drive par chala jata hoon! 2) Apney Avtar ko Ghor Sey Dekhain ... Jo Raaz Usmain Chupey hain Woh Batayein bas raaz hi raaz hai kiya bataoo, behtar hai kiya sunana pasand kareen gay? 3) Koi Buhat hi Pasandeeda Ghazal Sunayein aap nay shayed mere post naheen parheen main sheri pasand naheen karta 4) Most Fav. Dish Batayein Daal Chawal 5) HG /hayjamalo kaisa laga ?? Pehlay acha tha magar ab kujh bore hota ja raha hai pata naheen kun... s 6) Interview detey hoye kiya Mehsoos Horaha hai /paseena bas kujh poorani yadeen dobara taza kar deen hai adeel G nay waisay aur tu bilkul fit faat 7) Bachey Kitney Achey ?? bachay 4 hi achay 8) Duniya Kaisi hai aapki Nazar main ?? waqat poora karo ab tu aur kujh naheen 9) Kisi sey Panga ya Phada kiya hai .. Uska Ahwaal Sunayein pangay aur bhaday.... hm line lag jaee ge us ki khair maar khaee bhi aur khalaee bhi wai dimgh thikanay aa jata hai mar kha kay... sab say bara panga POLICE waloon say kiya tha Pakistan main jab Double sawaree band thee...(bas itna hi kafee hai) yeh bataa'ain aap Aaho naa hotay to kia hotay? waisay main net par ziyadah 'bh8ti' kay naam say chalta hoo es kay ilawah 'redeye' 'spyeye' 'fine_sin' 'fi9_sin' 'mundakamalai' aur 'bigb' hain nick en main say koi sa bhi hota agar aaho na hota... /flowers kis janwar se dar lagta hai....... aur agar sher haathi aur reech samney aajain to kis ka niwala banna pasand kerin gey and Y ? Cheuwntee kabhee soochna es janwar kay baray main... sher ka nawala banan pasand karoon ga kun khe jang to sher say hi karoon ga naa baqi tu aiwaein ei hain... Sanjeeda swaal yeh hai ke kya aap sanjeeda kism ki shaksiyat heinn ya phir bahut hi zyada laaubaali.........?? ? jo main sochta hoon wo yeh keh ghamgheen Koi aesi khwahish jis ki completion tak zinda rehna chahein??? meray abu mujh say khush rahein 1. Kabhi HG mein posting kartey waqt aisa khiyaal aaya k " Haii yeh kaisa nick rakh liya mein ne /ohno " .. agar aaya tu kab Quote: Mujhay apnay par eitamad hai es liaye kujh bhi hoo main sheeh hoon 2. Kam'go log pasand hain ya batooni .. ya phir balanced Quote: balanced 3. Apni konsi aadat aap ko buri lagti hain .. misaal dey k batayein /jin Quote: har kaam dead limit par ja kar karna 4. Aap zyada dostoun pe yaqeen rakhtey hain ya yun k kamm hon par achey ho ;;) Quote: main apny doostoon par yaqeen rakhat hoon, agar wo apnee doste par qayem rahay tu bahut acha agar naheen tu bas 'kiya kaam hai' 5. 5th sawaal mujhay poochna nahin aata s Quote: hain G chalo koi baat naheen jab poochna seekh lain gay tu pooch lena 6. Khuley dil se apni 8 buraiyaan karein /clap Quote: 1.**** 2.**** 3.**** 4.**** 5.**** 6.**** 7.**** 8.**** 1: /slap ye thaper kis baat pey mara gaya hai such such batayiye ga :p /jin Thaper........... /thinking hoosh thikanay laganay kay liyae aur kis kay liyae hoo skta hai USA aur UK kou nahi ??? kujh sun na lena un kay baray main... ham loog tu soochtay hain na keh kiya yaar kujh bhi naheen bas kujh deer inspection karen gay hamare aur phir khude hai peecha choor deen gay magar baat kujh aisee naheen hai... ab yeh qissa jo terrorist ka shoree kiya gaya hai wo siraf aur siraf Muslamaanoon kay khilaaf hi hai haan jo Muslims loog wahan pehlay say settle ho gayee hain wo siraf kujh behtar halat main hoon gay un say jo nae jaen gay wahan , aur phir kiya faida haram ki moot marnay ka jo kisi kaam na awaay...! /firing Q1- app ko HG per sabb se aqalmand koon sa/si member Lagta/Lagti hein? /cool agar bilkul saheh baat karoon tu phir 'nettellect' aur agar aap favourism kay baray main kehtee hain tu phir soochoon ga...(kis ko favour karoon)! Q2- Favourite colour koon sa hai? RED (waisay aaj ka jisa mood ho waisa hi kun keh zindage kay rang mujh say kaheen door khoo gaee hain... Q3- Abu ji jabb uper se aa ker app ko pherr laitay hein computer per baithay to Kiya Jumla Kehtay hein /ohno [ /jin ] 'Maino naeen samajh awandee keh ki ei edhay wech jo tu har welay aihoye chlwuda raina way' (Asal main meray abu ko computer operate karna tu bahut hi thora aata hai woo soochtay hain keh kabhee yeh khud hi mujhay kahay gaa keh abu aaen main aap ko kujh sikhata hoon, magar aap ko tu pata hai PC ka matlab PERSONAL Computer hai es liyae main khud ho kun moot kay mounh main dhkeeloon, haan jab kaheen admission mila I mean Germany ya kaheen aur tu janay say pehlay enhay train kar jaoon gaa... /comp Q4- Apni favourite book ka naam likhein? /book Generally 'Al Qur'an Al Kareem', aur waisay Qateel Shfai ki sheri kay tamam tar albums pasand THAY Q. would U like to drive fast and safe or fast and rash Or slow and safe? aap khud sooch lain BMW 525 ki speed 260 km/h hai aur usay main 200-210 km/h kay darmiyan chalata hoon (jab abu saath nahen hotay, warna tu bas wo akhari din ho ghri ka) aur harsh ki baat kar rahee hain haan G really cutting harsh but safe on...! hmm Apnay Yeh *AHOO* nick kiyun rakha apna Bas G changa lagya si tay rakh liya kun keh aik kisam da ai 'takiya kalam' ai. hg pay best friend kon hai Do hain.... Male: --»nettellect /flowers Fe-male: --»Download shah /flowers mera question hai k tum ney ye nick kyoon rakha? Aaho /jin 'Bas G changa lagya si tay rakh liya kun keh aik kisam da ai 'takiya kalam' ai.' (as per posted) waisy 1-2 aur bhishare karin na 1.jab mujhay aur meray bhi ko school janay say mana kar diya tha (aik haftay baad phir khudee bheej diya, darasal prob meray bhi say shoroo hot_long to discuss that prob_ ) 2.jab mujhay naee cycle lay kar dee abu nay us waqat wheeling kay shook main main nay cycle aik lakree kay bench main ja maree us waqat jo maar parhee... /hammer 3.jab main 1st main pehlay din school gaya us waqat mujhay maths bilkul naheen atee the aur jatay saar hi LPC teacher nay mujhay test day diya jo keh '+' '*' '-' '/' kay questions thay jab wo test meray abu ko pata chala tu jo pataee hoee... (11 no. chittar kay saath) bas kujh na poochoo... /hammer /hammer /hammer Khair Apney Pasand key do Char Geet .. Batadein ?? Sarkaroo gheree CHASS quwaliyaan wech ai oo kitlay hoor naeen labdee... 1.Saya bhi saath jab choor jaway aise hai tanhaee rona chahoon tu aansoo na aawain aisee hai tanhaee 2.Afreen Afreen 3.The song for kashmir (Qafee deer ho gae hai na es ko sunay hoae...) 4.Sama payiaan 5.AA jaa teno akhiya oodeekdiyaan sajna teno aakhiyaan oodeek diyaa (aur bhi bahut say...) Aur HG Bore horaha hai to aapki Nazar main koi Aisi Baat jis sey mazeed behtari aaye??? 1.Competetion ki taadaad increase kareen. 2.Har forum main Doo Competetion rakhain. 3.Har naee aanay walay member ko kahain keh wo aik ya doo haftoon baad agar hoo sakay tu koi idea day HG ko improve karnay kay liya (kun keh aik dimagh say behtar 12,000 dimagh) 4.Har member ki rozana ki hazree lain (aik topic baneen), aur aik maheenay baad usay most online member ka award deen agar aik say ziyadah hoo tu phir polling karwa deen jis ka nateega aik haftay main day deen. 5.Chat room ko repair kareen. 6.Help line main aik topic banaeen jis main har naya aanay wala member HG ki totally A-Z guide hasil kar sakay from 'contol panel' to its posting... 7.Members ki start grading kay ilawah aik aur badge system shoroo kareen jis main extra exceptional cheezain shamil hoon... 8.HG ki apnee Avartar gallary banaeen. 9.Forums 2 Moderator kay ilawa 3 assistant moderator baneen. (Baqi aur baat main abhe kujh khaas soocha naheen hai es sawal kay baray main...) Kitnay Behen Bhai hain? Ghar main aap ki sab say ziyadah kis say bante hai? 2 Behen & 2 Bhai Taqreeban sab say hi bante hai khair choay bhai say kafe bante hai . Agar aap ko autograph dena hoo tu kiya likhain gay...? It depends in which cultural stage is in I m and wat kind of community is that to whome I m giving my auto graph... and on wat do they believe... but Generally it would b "I'd never ask you to trust me. Its the cry ov a guilty soul". Mohabbat par yaqeen rakhtee /mad hain? Tu batayeae ki hai muhabbat? Wo kiya kehtay hain keh sari raat heer ranjhay ka kisa sunata raha aur subh uth kar poochtay hain heer larka tha ya larkee...? Sonaiyaa main banda waan bandee naeen jeekar es tarah samajh naeen awnda tay I m MALE mot FEMALE so Y 'rakhtee'? okie I do think the love does matter. and wat it is... 'Insaan ki kul kayenaat' bas main es say aagay kujh aur naheen keh sakta... aur na hi kisi saeri zabaan main samjh sakta hoonn... Qoi aisa zindagee main jis kay bina zindage ka ihsaas na mukamal lagta ho? Haan thee ai magar ab naheen ab bas waqat pora karoo...! khir dil ab bhi wohe din yaad krta hai keh us jagah koi aur aa jaye... magar es dil ko yeh naheen pata keh wo jagah free ki promotion main say kujh win kar kay thoree hi pora ho jata hai yanee main ab koshish naheen karta kisi ko attract karnay ki bas phir bhi kabhe kabhe koi mujhay apne taraf attract zaroor karta rehta hai magar mujh main shayed ab mazeed sakkat naheen rahee es welding hoee dil ko phir say accident karnay ki... Kon si aisee shkseeyat hain jin milnay ka bahut sook hai...? Now a dayz Usama Bin Ladin and Suhadae Aqsa kay jansheenoon say waisay generally Hazrat Mohamma PBUH say... Star par yaqeen rakhaty hain? Kon say star ki aap ki bahut bantee hai? Waisay tu main Aries ki saf main hoon, aur pehlay kabhe thoda thoda sa tha magar baad main 1% bhi naheen, khair jahan tak bannannay ka taluk hai tu us kay baray main kujh andaza naheen waisay nakam-e-ishaq ki dastaan main jo doosra kirdar meray saath tha us ka star Scorpio/n tha. JAVA, VB, C++ kay ilawah kis kisam ki kitabain parhtay hain...? Waisay aap ko main aik cheez bata doon shayed hi main nay Java Shawa ki kitaboon ho haath lagaya hoo bas har cheez pangoon say hi seekhee hai, es kay ilawah koi bhi electro-mechenical pangoon ki kitaab ho tu usaydhoondhta hoon and us main dimgh crack karta hoon.. 34Halla Gulla par kis say Muasir hain? sab hi achay bachay hain aur sab hi ka apna apna style hai bas kujh haad tak 'nettellect' say... waisay all are equal... aap nay apnay siggy main aakhior ko yahi pic kyun lagaee Bas achee lagee laga lee... waisay bhi puthay pangay /attention karnay ka mujhay sook hai tu aik bahut hi bara panga sig ki soorat main aap kay saamnay hai... aap ka fav phool kaun sa hai :blush Na hi pooshain tu behtar hai... kun keh us phool ka matlab kujh acha naheen hai 'Yellow Flower' /flower Ghr qoi jan say (ziyadah) azeez rooth jaee tu kaisay maneen gay..? 'WALLS' icecream hai naa... bas kiya manana... aik ko naheen mana ska tu baqiyoon ko kiya manaoon gaa...? /sad Zindage main aaj tak koi aisa kaam kiya hai jis par aaj tak pachta raya hoon? Haan G Cigaar aur Cigratte piya tha bas wohee hai abhee tak...! Har koi khawab deekhat hai. Apna koi sa aik khawab bateyae. Aik tu main sayed aap kay pechlay sawaalt ki list main bata chuka hoon aur doosra batata hoon.[quote] Wo aisa hai keh Main Computer chala raha hoon... 'bahut kujh cheezain mujhay aateen hai computer ko operate karnay ki' phir parda prhta hai aur aik aur scene nazar aata hai ' main nay dunya kay Computer ko hila kar rakh diya hai aur saree dunyia es baat say pareeshan hai keh koon hai yeh magar kisi ko pata naheen chalta' phir parda parhta hai aur aik aur scene nazar aata hai ' keh Microsoft walay es cheez say sab say ziyadah effected hotay hai, wo es ko trace out kartay hoay mujh tak poohanch hi jatay hai' phir parda parhta hai aur aik aur scene shoroo hoo jata hai...'Wo mujhay gurantee deetay hain aur kehtay hai keh ham tujhay apnay saath lay jaeen gay aur kisi law maker ya Police ko naheen bateen gay, main bahut kush hota hoon aur uhain kujh btanay lagta hoon jo keh khud meree smajah naheen aya kiya bataya main nay unhain'...phir parda parha hai aur aik aur scene shuroo hoo jata hai ...' main Microsoft main kafee high post par hoon aur mazay hi mazay' aur baad main bas abu ki duty ka time khatam hoo jata hai aur main uth jata hoon... /sad Aap ki koon si aadat say aap kay ghar walay aur doost baizaar rehtay hain? Jab bhi koi mujhay personal baat ya secret baat kehta hai tu usay main kabhee leak out naheen karta chahe koi hameesha kay liyae mujhay kun na choor day wo baat poochtay poochtay...! Aap koi bhi kaam kartay hoo, Risk ziyadah leetay hai ya muhtaat? Materialistic kaam main mostly risk, magar socially aur souly kaam main muhtaat... Faisalay karnay main jald bazi say kaam leetay hain ya bahut sooch samajh kay kartay hain? If time doent matter then I do use to take my time but some time CHEETE CHEETE kun keh dumyia fast hoo gaee hai naa...! Faisala karnay ka baad fooran ehsaas ho jaee keh ghalat hai tu kiya faisala badal deetay hai? agar us say mujhay nuksaan hoo raha hoo tu shayed kabhee badal doon magar 99.99% Judge ki hathoree kay baad kujh changings naheen... Zindageee aur maut do talakh haqeeqateen hain. Enkay baray main aap ki kiya rai hay? Zindage jannat bhi jahanam bhi jis tarah aap es ko chalaeen us tarah chalay gee Maut Final hai yanee jis tarah Heading aur fotterhotay hain bas esee tarah Yeh hbhi hain... Jazboon ka izhaar karna mushkil lagta hai ya assan? Yahan Jazboon ki kadar koon karta hai izhar karoon tu ghalat na karoon tu ghalt.... Bas apnay main hi rehta hoon ... Gar kisi cheez ko hasil karnay ki khwahish jaagtee hai tu sab kujh daoo par laga deetay hain ya halaat par choor deetay hain? Cheez ki noeyat par munhasir hai waisay tu filhaal halaat par magar jahan jahan jis cheez ko us kay liyae qurbaan karna paray bas usay qurbaan kar deeta hoon... Gar koi aap peh bahut ghussa kar raha /rahi hoo tu aap aagay say kaisa bartaoo kareen gay? Agar kar rahee hoo tu bas usay aur tapaoon gaa /salp ... kun keh 'rahi' ghussay main bahut achee lagtee hai (nazuk jo hotee hai naa) /blush ... aur agar raha hoo tu pehlay soochoon ga keh agar meree ghaltee hai tu chup kar jaoon ga magar us kay ghussay bharay alfaaz kujh deer tak sunoon gaa phir agar wo mujh sayumar main qafee bara hoo I mean baal bachoon wala hoo tu phir wahan say chala jaoon gaa aur agar naheen tu usay us ki bolti band karnay ka kahoon ga agar ziyadah hai phannay khan banay tu bas phir do do haath hi sahee... aur agar meree ghaltee naheen tu usay direct words main kahoon g keh main nay kujh naheen kiya agar wo phir bhi laga rahai tu bas mundarja bala sabak sikh doon ga usay bhi... /!?! /hammer :firing Izzat, Daulat, Shuhrat kisi aik ka intekhaab keejyae. :Izzat sarkaro rajpoot waan izzat baree jarore shay way...! Teen rastay hain Aik sahil kinaray jata hai, Aik shehar ko aur aakharee ka pata nahee. Kis rastay par jaeen gay? Jis ka pata naheen kahan lay jaee. Kon sa sawal aisa hai jo aap chah rahay hain kaash koi naa poochay... Really koi naheen pochay gaa aur agar poochay ga bhi tu main us ka jawab naheen day sakta... wo yeh ke saal 2003 kisa guzra...? Aap ki nazar main Halla Gulla, Halla Gulla kay saathiyoon kay naam peeghaam aur naseehat... Peghaam: Koi mujhay Germnay main admission kay liyae help kar sakta hai plz /help Naseehat:jahan kaheen bhi hoo jo kujh bhi hoo jisa bhi hoo koi bhi lamha hoo koi bhi mooqa hoo bas Allah ko yaad kareen,Islam say nata jooray rakhain aur apnay waldain ki khidmat karen shayed aap ki aakharat hi achee hoo jayee... /gtg 1: Koi aesa khauff jo aksar pareshaan karta ho? Pata naheen Allah maaf bhi aray gaa ya naheen 2: Aap parties waghera aur mauj masti zyada pasand karte hein ya khamosi se kisi koney khudrey mein parey rehna? agar koi saath day tu jo wo kahay wohee agar kahay keh party kar rhahay hain tu bhi aa jaa tu soochoon gaa warna akela... 24hrs mein se behtreen waqt konsa and kyon? 3-6 bajay evening. Abu duty par hotay hain naa aur mujhay internet use karnay ka koi khatka naheen hota /comp 4: Passandeeda mauzo-e-guftugoo? Koi bhi Technology say mutalik 5: Aik aesi aadat jo aap ko buri bhi lagti hai par chhorney ko dil nahi karta?? Akeay rehana 6: From a scale of 1--10 how much will you give to Money Love and fame? 1-- Love 2--Love 3-- Love 4--(Love - Money) 5--(Love - Money) 6--Money 7--Money 8--(Money - Fame) 9--Fame 10--Fame loo ji aik sawal aor. aap ki tabiat main itni curiosity kion hay. i felt that. kafee sahee feel kiya bas G jab koi saath nay day tu khud hi rasta naeen cheezon ki taraf moor lena chaheyae... akela hota hoo koi prefrence naheen miltee mujhay bas aik jagah para rehta hoon tu kujjh niya mujh aur kujh ajeeb dhi daryaft karoon seekhoon aur kujh hidden enemy / friend kay toor par kaam karoon.... |
![]() |
| Tags |
| aaho |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| * aur match shuru ho gaya * | Mohsin-Khan | Gup Shup | 13195 | 11-11-2007 12:02 PM |
| ~!! hUm Raat bOhet Roye bOhet Aaho Fughan Ki !!~ | ~ HijR ~ | Ghazal | 10 | 06-22-2007 06:19 AM |