[SOLVED] Hashim Raza | | Q: aap kab or kahaan paida hoove ?
1:- main 12-August 1983 ko Iran kay aik shehar " Zahidaan " main paida hua
Q: shairi kab or kaise shuru ki? 2:- shairi kaisay shuru ki yeh to kuchh nahin keh sakta.. haan kab kay baray main zaroro kuchh na kuchh keh sakta hon.. Lahore kay aik chhotay say private school.. Al-Haseeb Model School, H-Block Model Town Lahore main (jahan main nay 9 saal taleem haasil ki) main har haftay ko honay walay Bazm-e-Adab main kuchh na kuchh parhta rehta tha.. (Jab say hosh sambhala hai) kabhi kashmir par, kabhi pakistan par, kabhi bachon kay liyeh.. kabhi walidain par so, bas younhi likhta raha.. laikin ghazal aur nazam. mera khayaal 98 ya 99 say shuru kia.. Q: aap ke pasaandeeda shair or shaira?? 3:- Pasandeeda Shaair.. Mohsin Naqvi, aur Shaaira.. Noshi Gilaani Q: aap ki pasaandeeda Ghazal or nazam ?? 4:-Ghazal: mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain jab inn ki yakh bas'tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say jomairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna (Noshi Gilani) aur nazam: Abhi Ki Kahain.. :! abhi kia kahain, abhi kia sunain kay sar-e-faseel-e-sukoot-e-jaan kaff-e-roz-oshabb pay sharar numa wo jo harf harf chiraagh tha usay kiss hawa nay bujha dia Kabhi Labb Hilain Gay To Pochhna sar-e-shehr-e-ehd-e-wisaal-e-dill wo jo nikhaton ka hujoom tha usay dast-e-mouj-e-faraaq nay tah-e-khaak kab say mila dia Kabhi Gull Khilain Gay To Pochhna abhi kia kahain, abhi kia sunain younhi khwahishon kay fishaar main kabhi bay'sabab, kabhi bay'khalal kahan kon kis say bichhar gaya kisay kiss nay kaisay ganwa dia Kabhi Phir Milain Gay To Pochhna (Mohsin Naqvi) Q: wo jazba jisay shairo'n main dhalna hamesha mushkil laga?? 5:- hmmm , youn to kai aik khayaal hain jin ko shair main bandhna mushkil lagta hai.. laikin phir bhi baandh leta hon.. han aik khyal kay jisay mukhtalif alfaaz main likh chuka hon laikin wo cheez to main chahta hon wo nahin ban saki.. aur wo meri apni zaat hai Q: bachpan ki koi shararat jo aaj bhi yaad aaye to honto'n pey muskarahat dor jaati ho ?? 6:- bachpan main aik martaba jab naya naya hosh sambhala tha to apnay abaai shehar (D.G.Khan) janay ka ittefaq hua, garmion ki chhution main, to apni chhto si cousin ko cycle kay peechay bitha kar dopair ko gannay ka juice peenay ko gaey thay.. aik jaga jab cycle ki raftaar kaafi taiz ho gai to main nay peechhay hath kar kay apni cousin ko cycle say neechay gira dia... uss bichaari kay gutnon, hathon aur maathay par gehri chout lag gai thee.. phir uss ko pyar karta hua ghar lay aaya.. aur ghar aa kar jo haal hua hoa aap andaza kar saktay hain.... Q: school life ka koi yaad gaar waqiya ?? 7:- hmmm school life ka koi aisa yaadgaar waqia nahin ... kyounki school life mein , main kaafi kamm-go, waqia hua tha.. laikin han, jis puranay school ki taraf say muqabla-e-tahreer-o-taqree main hisa la tha.. jis ka ehtimaam .. mahnaama PHOOL.. nay kia tha.. lahore kay Al-hamra hall no.2 main, uss main main nay first position li thee, shadeed bukhar kay bawajood main apna inaam lainay gaya tha.. jab inam lay raha tha to hall talion say goonja hua tha ya wo din jab 10th main thay aur sozo water park ja rahay thay to teachers nay kaha tha kay koi bhi walk man nahin laey ga.. laikin ham walk man, battries, cassettes aur Cds ko apni socks main chupa kay lay gaey thay.. magar wahan pohonchtay hi pakray gaey aur ham 3 doston ko wahan say wapis bhaij dia gaya.. Q: behan bhaiyo'n main kis se ziada kareeb hain or kyon ?? 8:- meray baray bhai.. mohsin raza... unn say main bohot close hon.. shayad uss ki waja yeh hai kay hamari pasand, shouq aur mizaaj aik jaisa hai.. wo meri har mouqay par help bhi kartay hain aur samjhatay bhi rehtay hain Q: bazurgo'n ki kon si adat se chir hai ? 9:- Buzurgoon ki kaafi adaat say chirr hai... laikin aik aadat kay jo kam-o-baish har buzurg main hi pai jaati hai kay jab hamain kissi bat ko samjhatanay baithtay hain to apnay zamanay ki batain kartay hain kay hamaray waqton main yeh hota tha.. ham youn kartay thay aur aaj tumhain na koi sharam hai na haya.. bla bla bla...  (agar koi buzurg yeh parhay to sorry //) Q: koi jaan se ziada azeez hasti rooth jaye to kaise manaein gaye? 10:- aik jaan say pyaara shakhs aisa rootha hai mujh say kay main kissi ko mananay ka dhang hi bhool gaya.. Q: aapna koi aisa khawab bataiye jo haqeeqat ka roop dhaar gaya ho 11:- hmmm agar khwab say muraab lafzi khwaab, yani neend main daikha hua khwab.. to aisa koi khwaab nahin jo main nay neend ki halat main daikha ho aur wo poora ho gaya ho.. aur agar khwaab say muraad khwahish ya kissi kaam kay karnay ki aarzoo hai to han, wo aik say zyada hain kay jin ki aarzoo thee aur wo ho gaey.. maslan kabhi aisa waqt aey ga kay log mera autograph lain gay.. to last month aik mushairay kay end par aik sahab aaey aur apni diary par mujh say meri ghazal ka aik shair likhwaya aur kaha kay neechay sign kar dain merey naam.. to unn ko main nay wo shair bhi likh kar dia aur sighn kiyeh... dosra khwab tab poora hua jab 24th july ko main nay Muslim Community Center London main taqreer ki aur unn logon nay aik bohot baray aur mash'hoor taqreer karnay walay ki jaga iss dafa mujhay bulaya aur mazeed yeh kay taqreer sunn kay mujhay next time ki bhi dawat day di.. Q: aap ki nisf-e- mukhalif ke bare main raye? 12:-apnay hathon say apnay pairon par mehndi lagati huee, khud ka singhar khud hi karti huee, chhotay say bachay ki tarha khwahish kar kay zidd karti huee larkian achhi lagti hain.. thori sa nasamajh hoti hain, jazbaat main jaldi aa jati hain, chhota sa kaam kar kay bhi khudd ko bohot mahaan samajhnay lagti hain agar unn ki sachi mohabbat mill jaey to koi bhi insaan kamyaab ho sakta hai.. magar unn ka dasa hua paani bhi nahin mangta khuloos inn main mardon ki nisbat zyaada hota hai.. magar sazishain bhi kamaal ki karti hain kamm aqal hoti hain, bolti bohot hain, aik dosri larkion ki tareef bardaasht nahin hoti haighussay main hon to manana asaan hota hai banawat bohot zyaada.. iss ko english main.. women.. kehtay hain... yani.. wo-of-men.... i think itni hi kaafi hai Q: rozmara zindagi ka kon sa kaam jis ko kertey hoove chiri hoti hai ? 13:- hmm shayad subha jaldi uth'na Q: kia aap cigratte peetey hain ? aagar haan to kyon or aik din main kitne?? 14:- nahin, main nahin peeta Q:Khawab .. saraab..or azaab main qadar mushtarak bataiye ? 15:- Alif aur Bay.... (mujhay khwaab, saraab, azaab diyeh mairee rooh ka naghma chhen lia) khwaab pehli seerhi hai.. jis ka haasil saraab aur unn ka anjaam azaab hai. Q: aap ki kamzori?? 16:- meri kamzori hmmm, achhi shairi, barish, shaam ka waqt, chicken pillaow, aur sab say zyada.. khubsurati Q: aap ki aapni likhi hooi koi ghazal jo aap ko buhat pasaand ho?? 17:- hmmm london kay aik shair pichhlay baras fout huey, unn say kissi nayyahi sawal kia tha kay aap ki apni pasandeeda ghazal konsi hai. to unhon nay kaha kay jis tarha walidain ko kay liyeh apni sab oulaad aik jaisi hoti hai.. ussi tarha shair kay liyeh bhi uss ka sab kalaam aik jaisa hota hai.. magar main kehta hon jis tarha oulaad main say koi zyada zaheen hota hai, koi zyada khubsoorat, koi shokh mizaaj, ussi tarha ghazlon main bhi koi teekhi hoti hai, koi nazuk si, koi inn say mukhtalif.. laikin shair ka kalaam uss ko bara shaair nahin banata balkay shaair ka apnay kalaam main say intikhaab usay bara banata hai aur wo shaair ho hi nahin sakta jo apnay hi kalaam main say intikhaab na kar sakay.. (bohot lambi tamheed ho gai na aik ghazal hai... paish kar raha hon kashkool mairee zeest ka hathon main diya hai yeh bhi mairay ma'bood ka andaaz-e-ataa hai aahat jo suni wasl ki main nay to yeh samjha sochon kay dareechay main aan khara hai ek weham hai mairay liyeh taaron kay jazeeray ek dhool mairay samnay manzil ka pata hai jis shehar ko chhora tha wo yeh shehar nahin hai yaadon ka wo mousam na khayalon ki fizza hai KIA CHAHTA HAI ABAR KA TUKRA YEH FIZA MAIN KYOUN AA KAR MUQAABIL MAIRAY SUURAJ KAY KHARA HAI kia yaad hai tujh ko kay kissi nay yeh kaha tha sahil pay tairee yaad ka mahool saja hai koi roya, hansi koi ajab baat huee hai yeh mairee mout ka qissa bhi ajab khail bana hai TANHAI MAIN AKSAR MUJHAY MEHSOOS HUA HAI CHHUP CHHUP KAY KOI CHEHRA MUJHAY DAIKH RAHA HAI ya to mairee aankhon main jhalaktay hain kanwal kuchh ya jheel kay paani main koi chaand chhupa hai matti ka badan lay kay kabhi samnay aaey jo khwaab kay aanchal say abhi jhaank raha hai youn basti hain Hashim meray dill main koi yaadain weeranay main jis tarha koi deep jala hai .................... .................... .......... ....... Q: kabhi aik hi jaga se 2martaba dhoka khaya?? 18:- ji han, 2 to kia.. aik hi jaga.. aik hi shakhs say 3 martaba dhoka khaya hai Q: duniya ka koi aisa hisa jahaan janay ko dil chahta ho?? 19:- hmm kaafi jaghain hain.. laikin aik USA main.. Mississippi.. aur aik canada main Niagra Falls... Q: barish par aik nazam likh saktey hain aap abhi ke abhi ?? 20:- barish par... hmmm agar yeh sawalnama pehlay parh lia hota to nazam likh kay aap ko keh deta abhi kay abhi likhi hai hai.. but sawal hi nahin parhay.... laikin still, lets try... AASMAAN KAY AANSOO...! yaad hain tairee aakhri baatain ham bhala kaisay bhool saktay hain apnay aanso bhi ham hi peetay hain khud pay ham khud hi zabt rakhtay hain barishon kay udaas mousam main yaad aain kahaniyaan tairee dhundhlay dhundhlay say manziron main bhi yaad aain tasalliyan tairee barishon kay udaas mousam hain mujh ko aisay udaas kartay hain wo jo nazron say duur duur gaey khwaab unn ko hi pass kartay hain barishon kay udaas mousam main yeh manaazir jo dhundhlay daikhain inhi barish kay paanion main magar khwab apnay bhi adh'jalay daikhain dill yeh kehta hai barishon main magar kachi dewarain behh na jain kahin wo jo masoom khwaab buntay hain wo adhoray hi reh na jaain kahin inn andheron main jagtay bujhtay kuchh raah bhatkay huey say jugnoo hain han magar barishon say kia shikwa yeh to khudd aasmaaN kay aansoo hain .................... .................... ........ i think kuchh sens ban gai hai... Q p ki zindagi main koi aisa shaks jis ke baghair zindagi namukamal lagti ho?? 21:- hmm zahir hai.. har kunwaray insaan ki zindagi adhori hoti hai.. jab tak mukhlis shareek-e-hayat na aa jaey to meri zindagi bhi abhi tak to adhori hai daikhain kab, kon aa kar uss ko mukammal karta hai Q: pereshaani ki halaat main aap kia kertey hain ?? 22:- parishaani ki halat main kuchh bhi nahin karta.. apnay kamray main ja kar lait jata hon.. khudd main hu kurhta rehta hon akelay main hi rehta aur rota hon Q: khanay main kia pasaand kertey hain ?? 23:- khanay main..... hmm sab say zyada CHICKEN PILLAOW, phir fried bhindian, chicken say bani huee koi bhi dish.. Q: aap ki aapni hi shairi jab kitaabi shakal main aap ke aapne ki haath main thi .to kia feelings thi ?? 24:- hmm ajeeb sa ehsaas hua tha.. laikin bohot bari khushi iss liyeh nahin hue thee kay wo jis kay liyeh sab kuchh tha wo hi nahin tha magar chunkay pehli kaawish siraf aik mehdood thee iss liyeh bhi kuchh khas excited nahin hua.. han ab jab kay mukammal kitaab publish hogi (Insha'Allah iss saal kay end main ya next year kay shuru shuru main) to uss waqt jo halat hogi zaoro bataaun ga.. Q: in sawalo'n ke jawabat detey hoove kaisa mehsoos ker rahay hain ?? 25:- bohot achha lag raha hai.. kyounki shayad iss tarha apnay baray main sab kuchh batanay ka mouqa iss say pehlay nahin mila tha.. go kay aik bar pehlay bhi yahin sawal pochhay ja chukay hain laikin tab halaat bhi aur thay aur sawal bhi zara mukhtalif thay.. ab go kay dil dukh-o-dard say labraiz hai laikin mutmainn bhi Q bhi aisa hoova kisi cheez ki khawaish ho? par himat na pari ho izhaar ki or wo kisi din achanak hi mukamal ho jaye puri kabhi aisa hoova?? aagar haan to kia?? 26:- han, aisa hua hai.. uss waqt to khushi deedni thee... main yeh samajh raha tha kay zindagi ki sab say bari khushi mill gai.. [ wo yeh tha kay jab aik jaga meri mangni ki baat huee.. mainna to apnay ghar walon say keh paa raha tha na kissi aur say.. laikin meray ghar walon nay khudd hi uss taraf baat karnay ka pochha.... laikin shayad wo khushi waqti thee.. kyounki chand dino bad wohi dunia say chala gaya jis say khushiyan mansoob theen Q: kabhi kabhi hum rishto'n ko bachnay ke liye in ko wo naam detey hain jo wo asal main nahi hotey hain kia kabhi asia hoova kisi rishtey ko kuch or naam dena para ho ..jo wo ho na? aagar haan to kab kaise or kis se.. or kia rishta tha wo jis ko kuch naam diya kuch or?? 27:- hmm han, yeh to hai kay rishton ko baz'ouqaat farzi naam day diyeh jatay hain, baz dafa unn ko bachanay kay liyeh.. baz dafa unn kay taqaddus ko bachanay kay liyeh hmm mujhay nahin yaad parta kay main nay kissi rishtay ko iss tarha say farzi naam dia ho... dono main say kissi bhi waja say.. Q: kabhi koi jaan se azeez rooth jaye to kaise manayein gaye? 28:- hmmm aisa hi aik sawal pichhi bar bhi ap nay kia tha hota hai.. dost ehbaab routh jatay hain laikin aik jan say azeez mujh say aisa routha aur baghair bataey routh gaya kay mujhay sab ko mananay ka dhang bhool gaya Q: wo kia hai or kon hai jo shab bhar sone nahi deta?? 29:- aik aisay shakhs ki yaadain... jis kay liyeh main nay apna sab kuchh chhor dia tha.. har rishta, har ta'alluq faramosh kar dia tha laikin ussi nay mujhay faramosh kar kay kissi aur jaga basnay ka faisla kar lia Q: aksar aap ne aisa dekha ho ga. hum lafzo'n se fasanay ghar letey hain chehrey buney lagtey hain khandokhaal nikhaarney lagtey hain kia ye mumkin hain ke aap sirf aapne lafzo'n se aapni shareekey heyaat se hum sab ko milwa sakein ?? matlab un ka khaaka lijiye ? 30:- hmm shareek-e-hayat.. zaror milwaaun ga aap ko aik tasawuur hai... jis ko main nay apni aik baji (Sahar ka Tara) say milwaya tha to unhon nay kaan khainch kay danta tha.. 5'6" ki aik slim, sanwalay rang ki, saaf chehray wali, kaalay baal kamar tak, ankhain bhi kali aur bari, patlay say hont aur unn par halki si surkhi, halki halki si sanwari huee kaanch ki churian pehnay huey , aik paira main nanhi si payal.. mehndi lagai huey hath, dheemi awaz main bolnay wali, aur kamm go [ gulaabi lehanga pehnay huee... ya sabz lehanga... (iss say pehlay kay koi waqee main ban jaey.. main likhna rokta hon.. Q: kabhi kisi dost pey ghussa aa jata hia mizaaj ke khilaaf baat ho jati hai to aise main kia kertey hain ??? 31:- iss ka zyada tar inhisaar uss baat ki noiyyat par hai.. agar koi cheez meri zaat say mutalliq hai to main uss ko kissi aur tarha say lon ga.. aur agar us ka talluq kissi aur say ho to uss ka zahir hai kissi aur tarha say reaction hoga.... agar meri zaat say ho aur koi meri pasand ya meray mizaaj kay khilaf bat karay to main zidd karon ga.. ulajh bhi paron ga (baton baton main) zor lagaaun ga laikin apni pasand ko hi manwaanay ki koshish karta hon... aur agar meri zaat say uss ka talluq na ho to main apni kahi huee bat kay haqq main aik aadh bar zor deta hon agar na manain to khamosh ho jata hon.... ghussa aata hai laikin inzhaar nahin karta hon... Q: sehrao'n main gulaab nahi khiltey saraab miltey hain .. kia kabhi kisi saraab se milne ka ittifaaq hoova aap ko?? 32:- hmmm yahan yeh dekhna hai kay saraab say ap ki muraad kia hai ? agar lafzi saraab muraad hai ( jo i think nahin hai ) to last year syria aur egypt main dekhay thay... be'ant saraablaikin agar saraab say ma'nawi saraab muraad hai to han, kai sarabon say mulaqaat huee hai... kahin kachay khwabon ki bujhi bujhi si qabron par sehmay huey charaghon ki madham roshni kay saey talay khaali aankhon ki be'bassi kay aansoo bahatay huey milay....... kabhi gunahon ki aarzi lazzaton main doobay huey bay-kirdaar saraab milay....... kahin charon taraf phol aur khushbuu kay hisaar main hotay huey bhi kaanton ki suurat khurdaray saraab..... kahin aisay bad'naseeb kay baadilon ko apnay andar sama lainay ki taaqat rakhnay kay baad, badilon ki mohabbat haasil karnay kay bad bhi apni uunglion ki pooron say unn badilon ko khud hi khoo kar rehnay walay saraab... Q: chakor chaand ki or urta hai paa nahi sakta hum bhi in rasto'n pey chaltey hain jin ki manzil koi nahi .. kyon chlatey hain ?? 33:- iss ka jawab to ap nay khudd hi day dia chakoor ko agar elm ho jaey kay wo jitna bhi chaand ki ouurr urr lay chaand ko nahin paa sakay ga to wo chaand ki taraf urrna chhor day... kyounkay uss ko elm hi nahin iss liyeh wo urrta rehta hai... ussi tarha ham yahi samajhtay rehtay hain kay jis manzil ki justujoo main ham safar kar rahay hain wo milay gi.. agar elm ho kay nahin milay gi to shayad ham bhi na chalain.. manzil ko paanay ka jazba soch par haawi ho jata hai iss liyeh ham bay kaar chaltay rehtay hain... laikin jab thakk jatay hain ya raasta khatam ho jata hai aur mur kay daikhtay hain to qadam wahin par hotay hain jahan par aaghaaz-e-safar main thay.. Q: aap ke bachpan ki taraf aatey hain.. pehli maar pehla dukh.. pehli khushi .. pehli khawaish or pehla pyaar kia humsaathio'n ke saath ye share ker sakey gayein?? 34:- hmmmm pehli maar, hosh sambhalnay say pehli yad nahin, han uss kay bad mera khayal hai kay ghar say school ka keh kay gaya kay wahan party hai dair say aaun ga, laikin chhuti kay baad main doston kay sath.. Chooriyyan .. daikhnay chala gaya tha.. aur wahan meray aik cousin bhi aey huey thay, nikaltay huey dekh lia, bas ghar aa kar shikayat laga di, abbu un dinon lahore main aaey huey thay, bas phir thukkai huee.. pehla dukh jo hua, hosh sambhalnay kay bad wo tab hua jab hamaray school ki taraf say main nay intercity karatay compitition main hissa lia, laikin koi position nahin mili thee... halankay pooray school main select kia gaya tha, laikin wahan haar gaya pehli khushi, wo huee jab quraan ka hifz kiya tha aur ramazan main aik raat poori Shabeenay main uss ko parha tha pehli khwahish.. hmm matric kay bad motor cycle ki thee.. jo poori na huee (kyounki pakistan chhor dia foran bad ) pehla pyaar, yeh mushkil sawal hai.. najanay ap kiss pyar ki aat kar rahi hain.. is liyeh filhall .. no comments .. Q: aapne ghar main basnay walo'n ke bare main ghar ke bare main.. or in se jo aap ki mohabbatein hain in ke bare main kuch batayiye?? 35:- ghar main ham 8 log hain, 6 behan bhai, aur walidain, 4 bhai hain ham aur hamari 2 behnain hain, baray bhai ( C.A. chartered accountent) hain , aik bhai ka hotel hai, main student hon aur bhai kay sath hotel ki management main hon,aur chhotay bhai abhi GCSE (10th) kar rahay hain behnain bhi student hain Abu aik arsa tak Iran main judge rahay.. phir retire ho kar london move ho gaey, aur lag bhag 18 saal say yahin hain, har mouqay par meray sath rahay, bohot tawajja di, bohot pyar dia hai ghar walon nay, mushkilon main sath diya, ghalation par maaf kia, khushion main khsuhh huey, meray dukhon main sambhala shayad iss say barhh kay mohabbat kuchh nahin hoti Q: mohabbato'n ki baat buhat ho gai.. nafrato'n ki baat kertey hain chahliye ye bataiye kia farq hai dono main.. kon ziada zor aawar hai aap ki nazar main ?? 36:- ham mohabbat bant'tay hain ap nafraton ki baat karnay aai hain laikin ab baat chal nikli hai to ham batatay chalain, mohabbat farmabardaari ka naam hai, aur nafrat na'farmaani ka (ghussa, badla aur intiqaam aur cheez hai, nafrat aur ) aur inn dono main mohabbat zoor awar hai, mohabbat bohot kamyaab hoti hai, bohot kuchh jeet jaati hai, bohot haasil kar leti hai, nafrat haar jaati hai, kamzoor hoti hai nafrat, itni kamzoor kay foran hi intiqaam main tabdeel ho jaati hai, mohabbat paak-o-pakeeza hoti hai, iss ki intiha yahi hai kay jisqadar yeh pak hogi uss ki bulandi hai, aur nafrat jitni zyada hoti jaati hai utni hi buri hojaati hai.. laikin mohabbat phir mohabbat hoti hai Q: aap ki shairi main kuch pehchatawey hain bhichiri yaadein hain .. kia hain kis ke hain kon bolta hai in main ?? 37:- farhat abbas shah kehtay hain.. shairi sach bolti hai... laikin hamari aik behan kehti hain kay shairi sach nahin hoti hai.. laikin meray khayal main dono hisahi kehtay hain, baz ouqaat shairi sach bolti hai bazouqaat nahin bolti hai, meri shairi taqreeban sach hai, iss ma'ni main kay kuchh apnay tajurba hain, kuchh logon kay, kuchh dukh hain, kuchh khushiyaan,, meri shair main apnay hi pichhtaway hain, apna hi maazi hai, aur yeh jo bol raha hai meray andar ka hi hashim hai, ussi ki awaaz ko main nay har bar qalam ki nok say seena-e-qirtaas par utaara hai ussi kay dukh hain, ussi ki khushian hain.. Q: kia aap ki zindagi main koi aisa shaks hai jis ke liye sab tayag saktey hain sab chor saktey hain ?? kon hai wo?? 39:- tha koi, ab nahin hai, jis kay liyeh siraf dawa nahin kiya tha, sab chhor bhi diya tha, uss kay gawah basit hain Q: aagar aap ki mohabbat aap se ye kehey kei milan nahi ho sakta. haan chaho'n to rabta reh sakta hai kia kerein gaye aap rabta rakhein gaye ya rasta badal lein gaye.. palat ke bhi nahi dekhein gaye?? 40:- main rabta rakhon ga.. kyounkay mohabbat milan ka naam nahin hai Q: zindagi ka wo din jo aaj tak nahi bhoola kabhi bhool bhi nahi saktey ..kia hoova tha us din ?? 41:- July 2004 ki 14th ya 15th hogi shayad aur raat kay taqreeban 2 bajay thay ....jab aik shakhs say phone par baat huee, ajeeb shakhas tha wo, meray honton say siraf chand lafz niklay thay, phir meri sama'aton nay jo suna, bas phir labb nahin hilay, wo shakhas bolta raha, cheekhta raha, aur main saakit hua, uss ki awaaz sunta raha, phir najanay wo kab tak bolta raha, meri zaban gungg thee, kuchh bol nahin paa rahi thee, siraf kaan sunn rahay thay, phir kuchh yaad nahin, bas itna yaad hai kay jab meray kano main aakhri lafz goonj rahay thay.. " khuda hafiz " meray mobile meri tangon par gira hua tha, aankhain bheegi huee theen, phir najanay kab tak main baitha raha.. ab shayad hi kabhi zindagi main wo din bhool sakon... Q: jab kisi bhi shaks se pehli baar miltey hain to wo kia cheez hai jis ka jaiza letey hain or jo aap ke aainda rawaiye ka tawaun kerti hai ?? 42:- iss jaisa aik sawal ya to kissi nay kiya tha ya baton baton main hi iss ka kahin jawab diya tha.. kay sab say pehli shay uss ki zaban, uss ka libas, mazaq ki tab'aa aur kissi bhi shakhs kay baray main uss ki raey.. yahi kuchh hai insaan ka poora wajood, jo main aik lamhay main jan leta hon aur mera aainda ka rawayya bhi issi say qaaim hota hai Q:kuch logo ko shakaqyat hai aap kuch maghroor hain kuch aapne aap main rehtey hain aapni hi moj main behtey hain . kitni sadaqat hai is baat main ?? 43:- hmmm, iss baray mein, ab main kia kahon, aik bat to yeh hai kay maghroor honay main aur apni mouj main behtay rehnay main faraq hota hai, maghroor wo hota hai jo kissi ko kuchh na samjhay ya apnay aap ko bohot kuchh samjhay, aur apni mouj main behnay walay iss say mukhtalif hotay hain, main khudd zaati tor par yeh samajhta hon kay jin logon ki yeh raey hai meray baray main wo sahi nahin.. (yeh main samajhta hon) kyounkay fitratan main khamosh tab'aa hon, maghror main nahin hon, apni mouj main tab tak behta rehta hon jab koi jan'nay wala na ho, han jab doston main baitha hota hon to main hargizz khamosh bhi nahin rehta hon aur na hi apni mouj main behta hon.. (iss ki gawahi aap aaina, diya, basit ya nilly say lay sakti hain) han anjaan logon say, ajnabi mehfil main, ya koi aisi jaga ya baat jahan meray shouq ya elm kay mutabiq bat na ho to main yaqeenan khamosh rehta hon, kyounkay bila zarorat aur be'mouqa baat insaan ki qadar ko kamm kar deti hain. Q: wo kon si jaga hai jahaan janay ki khawais hai ?? 44:- canada ka aik shehar hai toronto, uss kay nawah main aik jaga hai.. Niagara Fallas, wahan janay ki khwahish hai.. kyounki kehtay hain kay wo duniya ki sab say buland aabshaar hai,,, aur aabshaar meri kamzoorion main say aik hai.. Q: ragon main kon sa rang pasaand hai? 45:- hmm iss baray main meri pasand tabdeel hoti rehti hai, kapron main kuchh aur rang achha lagtay hain, lafzon main kuchh aur, kapron main Black, aur Blue, Lafzon main dark green aur yahi jis main abhi main likh raha hon pholon main surakh aur insano main gandummi ya sanwla Q: wo kon sa sawal tha jis ka jawab detey hoove sab se ziada dushwari paish aai ?? 46:- hmm iss ka jawab do hison main det ahon, aik wo salam jo baqi doston nay kiyyeh, aik wo jo aap nay kiyeh.. doston main meray khayal main Diya ka aik sawal... kay khudd ko 3 lafzon main bayan karin yeh mushkil tha, aur aap kay pochay gaey sawalon main.. 41, kay jo din aaj tak nahin bhola iss liyeh nahin kay jawab nahin tha, balkay iss liyeh mushkil tha kay iss ko bayan karna mushkil tha Q:insaan khud se baatein kerta hai sawal kerta hai wo kon sa sawal hai jo aksar khud se kertey hain ?? 47:- hmm yeh sawal kay kia ham siraf iss dunya main khanay peenay, namaz quran parhnay aur marr janay ko aey hain ya kuchh aur bhi hai jis kay liyeh ham paida kiyeh gaey hain? Q: zindagi ka maqsad kia hia kia hasil kerna chatey hain kia bana chahtey hain ?? 48:- iss ka jawab to uuper walay sawal main diya kay yahi sawal to khud say kart ahon kay zindagi ka maqsad kiya hai?kamyaabi haasil karna chahta hon, mohabbat paana chahta hon, sabit karna chahta hon kay Insaan siraf zinda rehnay aur marr janay kay liyeh nahin hai balkay kuchh aur bhi hai jisay talaashna hai.... aur aur kia ban'na chahta hon... hmm khuda mujhay Insan-e-kaamil bana day to iss say bar hkay aur kuchh nahin aur aik dua hai kay... Bohot Khaak Chhani Hai London Ki Ya' Rabb Mujhay Ab Dikha Day Dayaar-e-Madeena -------------------------- Q: kon sa mosum pasaand hai ?? 49:- Bahaar ka, iss liyeh kay iss main naey phool khiltay hain, ney pattay aatay hain, be'libaas darakhton ko libaas mil jata hai, khaali podon par ranggeen phool jhilmilatay hain..... Khizan ka,, iss liyeh kay aik saal kay puranay, gard aalodd pattay jharr jatay hain, barishon ka, iss liyeh kay aasmaan say paani barasta hai, aur dharti dhull kay paak ho jati hai... sardi ka, aur garmi ka, iss liyeh kay yeh insaan ko uss ki asliyyat bata detay hain kay ham laakh aasmano kay parday hataain, sayyaron par jaain, chaand par qadam rakhain, laikin haqeeqat main itna kamzoor kay mousam ka muqabla nahin kar sakta.. garmi main, majboor hai thanda paanai aur hawa ka, sardi main garmahat aur garm libaas ka [ ----------------------- Q: aaj ke musalmaan ki hoti tanzeel dekthey hon gaye aap parhtey hon gaye kia kabhi dil kiya ke in ke liye kuch likha jaye ya farqt mohabbat ke dairo'n ke assar main rehtey hain ?? 50:- mainnay musalmaano par bohot kuchh likhan, socha, bayan kiya, taqreer ki, tehreer likhi, laikin ab nahin likhta, kyounki jo qoum khuda ka hukum bhool jaey, quraan kay lafz na samajh sakay... hadees ka inkaar karay, sunnat main izafa karay.. apas main aik dosray par kufr kay fatway lagaey wo meray jaisay likhnay walon kay lafzon ka kia asar lay gee? aur main mohabbat ussi say karta hon kay jo uss kay qaabil ho, warna har kissi nay na mohabbat hoti hai na nafrat, kyounki har cheez ka aik me'yaar hota hai.. main mohabbat kay asar main zaror rehta hon laikin har waqt nahin -------------------------- Q: koi baat koi message hum sab ke liye.. koi naseehat jo hum ko kerna chahtey hon ??? 51:- do shair hain.... inhin main sab kuchh hai.. Ab Waqt Nay Mangay Hain Hisab Aur Tarha Kay Sehmi Huee Aankhon Kay hain Khwaab Aur Tarha Kay Jis Rooz Badal Do Gay Apna Lab-o-Lehja Logon Say Bhi Paow Gay Jawab Aur Tarha Kay pyaar kijiyeh, pyaar bantiyeh aur pyar hi kay talabgaar rahin, hosala nahin harna chahiyeh.. bhala hosla bhi koi harnay ki cheez hai Jeena Iss Andaaz Say Kay Zindagi Bhi Naaz Karay Aur Iss Shaan Say Marr Jana Kay Khudd Mout Bhi Roey Bohot Shukriyya Ap ka, Aur Sabhi Doston Ka.... Khushh Rahin Sada |