This is one of my favorites.
Thanks for sharing
Quote:
Originally Posted by Zafar M zindagi k maile main khawahishon k raile main
tum se kya kahain janan isqadar jhamaile main
baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umer bhar ki baatain kab
do gharri main hoti hain
waqt k samundar main
anginat jazeerey hain
beshumaar motti hain
aankh k dareeche main
tum ne jo sajaya thaa
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahoo ki khilwat main
chorr ban k aata hai
lafz ki faseelon per toot toot jaata hai
zindagi se lambi hai
baat rat jage ki hai
raaste main kaise ho
baat takhliye ki hai
takhliye ki baaton main guftagoo azaafi hai
pyaar kerne waalon ko ik nigaah kaafi hai
ho sake to sun jana aik din akaile main
tum se kya kahin janan is qadar jhamaile main |