teri zaat sey nikalana chahata hai | | Teri zaat se nikalana chahata hai
Yeh dariyaa rukh badalana chahata hai
wo sapna jis ki surat hi nahin hai
meri ankhoon main chalana chahata hai
diloon ki mandagi pey kia ta'ajjub
keh suuraj bhi to dhalana chahata hai
nashist-e-dard badali hey to ab dil
zaraa pahaloo badalana chahata hai
mujhey bhi samana hai karbala kaa
mera sar bhi uchalana chahata hai
nahin hai tarjumaan-e-Gam ye ansoo
yeh pani ab ubalana chahata hai
tabassum zer-e-lab kahata hai 'Amjad'
koi jazbaa machalana chahata hai
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |