Thread: Tarana-e-Hind
View Single Post
  #1  
Old 01-12-2005, 11:05 PM
CrazySam's Avatar
CrazySam CrazySam is offline
Sufi Woman
 
Join Date: Nov 2003
Location: HOme!
Posts: 655

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 2 Times in 2 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 189
CrazySam is on a distinguished road
Default Tarana-e-Hind

Saare jahaaN se achaa Hindustaan hamaaraa
ham bul_bule.n hain is kii ye gulistaaN hamaaraa

Gurbat men hon agar ham rahataa hai dil vatan men
samjho vahiin hamen bhii dil ho jahaaN hamaaraa

Parvat vo sab se uuNchaa humsaayaa aasmaaN kaa
vo santarii hamaaraa vo paasabaaN hamaaraa

godii men khelatii hain is kii hazaaron nadiyaaN
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaaN hamaaraa

[rashk-e-janaa.N = envy of Paradise]

ai aab-e-ruud-e-gangaa vo din hai yaad tujh ko
utraa tere kinaare jab kaaravaaN hamaaraa

mazhab nahiin sikhaataa aapas men bair rakhanaa
hindii hain ham vatan hai hindustaaN hamaaraa

yunaan -o-misr-o-romaa sab miT gaye jahaaN se
ab tak magar hai baaqii naam-o-nishaaN hamaaraa

[yuunaan = Greece; misr = Egypt; romaa = Rome]

kuchh baat hai ki hastii miTatii nahiin hamaarii
sadiyo rahaa hai duhman daur-e-zamaaN hamaaraa

'Iqbal' koii mahram apnaa nahiin jahaaN main
maaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaaN hamaaraa

[maharam = confidant; dard-e-nihaa.N = hidden pain]
__________________
Na tha kuch tu khuda tha,
Na kuch hota tu Khuda hota,
Daboya Mujh ko hone ne,
Na hota main tu Kya hota!

Last edited by Aisha Baig; 05-14-2008 at 02:05 PM.
Reply With Quote