It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here![]() |
Register Now! |
|
| ||||||||
| Notices |
| Akhter Shirani Poetry of Akhter Shirani/ Akhtar Shirani/ Akthar Sheerani/ Akhter sheerani/ Akther Shiraani/ Akthar Shiraani, find poetry of famous urdu poet Akhter Shirani/ Akhtar Shirani/ Akthar Sheerani/ Akhter sheerani/ Akther Shiraani/ Akthar Shiraani. collection of urdu poetry of Akhter Shirani/ Akhtar Shirani/ Akthar Sheerani/ Akhter sheerani/ Akther Shiraani/ Akthar Shiraani, majmooa-e-kalaam/ qalaam of Akhter Shirani/ Akhtar Shirani/ Akthar Sheerani/ Akhter sheerani/ Akther Shiraani/ Akthar Shiraani. |
![]() |
| | LinkBack | Thread Tools |
|
#1
| ||||
| ||||
| ay ishq na chair aa aa k humain, hum bhooley howoo.n ko yaad na kar pehley hi bohat nashaad hain hum, tu aur humain nashaad na kar qismat ka sitam hi kum nahi kuch, ye taza sitam ejaad na kar yoon zulm na kar bedaad na kar ay ishq humain barbaad na kar jis din sey miley hain donoo.n ka sab chain gaya aaraam gaya chehroo.n sey bahaar_e subhu gaii, aankhoo.n sey faroogh_e shaam gaya haathoo.n sey khushi ka jaam chuta, hontoo.n sey hansi ka naam gaya ghumgee.n na bana , nashaad na kar ay ishq humain barbaad na kar raatoo.n ko uth uth rotey hain, ro ro k dua;ain kartey hain aankhoo.n main tasaw'er dill main khalish, sar dhuntey hain aahain bhartey hain ay ishq ye kaisa rog laga, jeetey hain na zaalim martey hain ye zulm tu ay jallad na kar ay ishq humain barbaad na kar ye rog laga hay jab sey humain, ranjeeda hoon main bemaar hay wo har waqt tapish, har waqt khalish, be-khwaab hon main, bedaar hay wo jeeney sey idhar bezaar hoon main, marney pe udher tayyar hay wo aur zabt kahey faryaad na kar aay ishq humain barbaad na kar bedard zara insaaf to kar. is um'r main aur maghmoom hay wo pholoo.n ki tarha nazuk hay abhi, taroo.n ki tarha masoom hay wo ye husn_e sitam! ye ranj_e ghazab, majboor hoon main, mazloom hay wo mazloom pe yoon bedaad na kar aay ishq humain barbaad na kar aay ishq Khudara dekh kahee.n, wo shokh hazee.n bad-naam na ho wo mah_e laqa bad-naam na ho, wo zehra jabee.n bad-naam na ho namoos ka us k paas rahey wo pardah nashee.n bad-naam na ho us parda nashee.n ko yaad na kar ay ishq humain bad-naam na kar umeed ki jhooti jannat k, reh reh k na dikhla khwaab humain Aainda k farzi ishrat k wadey sey na kar betaab humain kehta hay zamana jis ko khsushi, aati nay nazar kumyaab humain chor aisi khushi ko yaad na kar ay ishq humain badbaad na kar do din main eh'd_e tifli k, masoom zamane bhool gai Aankhoo.n sey wo khushiyaa.n mit si gaee.n, lab ko wo tarane bhool gai Un paak beheshti khwaboo.n k, dilchasp fasane bhool gai in khwaboo.n sey yoon azaad na kar ay ishq humain barbaad na kar aankhoo.n ko ye kiya aazar howa, har jazb_e nihaa.n per ro dena Aahang_e tarab per jhuk jana aawaz_e fughaa.n per ro dena barbat ki sada per ro dena, muzrib k bayaa.n per ro dena ehsaas ko ghum bunyaad na kar ay ishq humain barbaad na kar jee chahta hay ik dosrey ko yoon aath peher hum yaad karain aankhoo.n main basaaee.n khwaboo.n ko aur dill main khayal aabad karain khilwat main bhi ho khiwat ka samaa.n wehdad ko doi sey shaad karain ye aarzoe.n eejaad na kar ay ishq humain bar baad na kar
__________________ merey kum sukhn ka ye hukm tha k kalaam us sey main kam karoo.n merey hont aise seley k phir, meri chup nay us ko rola diya Last edited by Aisha Baig; 05-23-2008 at 12:40 PM. |
| Sponsored Links |
|
#4
| ||||
| ||||
V.NICE DEAR ![]()
__________________ |
|
#9
| ||||
| ||||
| niceeeeeeeeeeeeeeeee |
|
#10
| ||||
| ||||
| Quote:
![]()
__________________ KION HAY ANDHERI SHAB E GHAM HAY BALAOUN KA NAZWAL AAJ IDHAR HI KO RAHAY GA DEEDA E AKHTAR KHULA |