kaam aa sakee.n na apni wafaain tu kiya karain | | kaam aa sakee.n na apni wafaain tu kiya karain
ik bewafa ko bhool na jain tu kiya karain
mujh ko ye aitaraaf, duaoo.n main hay asar
jain na arsh per jo dua'ain tu kiya karain
ik din ki baat ho tu usey bhool jain hum
nazil hon dill pe roz balain tu kiya karain
zulmat badosh hay meri dunya_e aashiqi
taaroo.n ki mishalain na chura'ain tu kiya karain
shab bhar tu us ki yaad main taarey gina kieye
taarey sey din ko bhi nazar aain tu kiya karain
eh'd_e tarab ki yaad main roya keye bohat
abb muskura k bhool na jain tu kiya karain
ab jee main hay k un ko bhula kar hi dekh lain
wo baar baar yaad jo aain tu kiya karain
waadey k aitabaar main taskeen_e dill tu hay
ab phir wohi faraib na khain tu kiya karain
tark_e wafa bhi jurm_e mohabbat sahi AKhter
milney lagain wafa ki saza'ain tu kiya karain
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit
Last edited by Aisha Baig; 05-23-2008 at 01:39 PM.
|