Juz teray koi bhi din raat na janay meray | |
juz teray koi bhi din raat na janay meray
tu kahaN hai magar ah dost puranay meray
shama ki lau thi kay wo tu tha sab'e hijr
dair tak rota raha koi sirhanay meray
khalq ki bekhabree hai ke meri ruswa'ee
looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
aaj ik aur buras beeth gya us kay baghair
jis kay hotay huye hotay thay zamanay meray
kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray
kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane meray
~Ahmad Faraz |