It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu writer - Abdul Basit within the Abdul Basit forums, part of the Collection of HG Writer's Work category; ~**... Mujhay Tanha Kar Do Tum ...**~ Sunoo... !! Bohat Din Tumharay Pehloo Say... Khud Ko Garmaya Hai... Tumharay Lehjay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#71
| |||||
| |||||
| ~**... Mujhay Tanha Kar Do Tum ...**~ Sunoo... !! Bohat Din Tumharay Pehloo Say... Khud Ko Garmaya Hai... Tumharay Lehjay Ke Barish Mein.. Badan Ko Bhigooya Hai.. Par Aab Jo Dhoop Nikli Hai.. Kahaan Pay Khoo Gai Ho Tum... Kiyon Tanha Choor Gai Ho Tum.. ? Guzray Teen Barsoon Kee.. Woh Ik Ik Shab Jo Guzri Hai.. Tumharay Sung Jo Beeti Thi.. Woh Ik Ik Pal Jo Guzra Hai.. Mujh Ko Yaad Aata Hai.. Tum Ko Jab Zaroorat Thi... Kissi Kandhay Ki Roonay Ko.. Mairay Kandhay Pay Sar Tumhara Tha.. Jab Bhi Dard Uth'ta Tha.. Jab Lafzoon Say Nikal Kay Woh.. Tumhari Ankhoon Say Behta Tha.. Mien Un Ko Poonch Layta Tha.. Tumhain Hansna Sikhata Tha.. Tumharay Saath Roota Tha.. Kaya Sab Kuch Bhool Gai Ho Tum.. ? Shab o Roz Rayaazat Say.. Tumhain Ghazloon Mein Jo Likhta Tha.. Tumharay Ik Ik Gham Pay Jo.. Pehroon Socha Karta Tha.. Khushi Jis Say Millay Tum Ko.. Mein Aisay Harf Kehta Tha.. Kabhi Mas'khara Ban Kay.. Kabhi Ban Kay Kavee Koi.. Kabhi Ban Kay Gawaiya Mein.. Mein Aisay Geet Gaata Tha.. Jinhain Sun'tay He Tum Aksar.. Pariyoon See Hansi Hans Kar.. Sab Kuch Bhool Jaati Theen.. Kaya Bhool Gai Ho Ye Bhi Tum... ? Gar Sab Kuch Bhool Gai Ho Tum.. Tu Mujh Ko Tanha Kar Do Aab.. Mein Tanha Tha.. Mein Tanha Hoon.. Tumharay Sung Gar Jeeta Tha.. Tumharay Bin Bhi Jee Loon Ga.. Yeah Rishta Jo Humara Hai.. Jis Ka Naam Chahat Tha.. Yeah Aapni Mout Mar Baitha.. Wadoon Ko Nibhaoo Tum.. Mein Kis Haal Mein Jeeta Hoon.. Aab Iss Ko Bhool Jaoo tum.. Jis Raah Pay Millay Hum Thai.. Yaroon Ke Adawat Mein.. Woh Reh Gai Kaheen Peechay.. !! Manzil Oor Jaoo Tum.. Mein Kis Rah Pay Chalta Hoon.. Manzil Pay Kay Bin Manzil.. Iss Qissay Ko Choro Tum.. Khushi Kay Geet Gaoo Tum.. Mujh Ko Bhool Jaoo Tum.. Mein Tanha Tha.. Mein Tanha Hoon.. Haan Mujh Ko Choor Jaoo Tum... Mujh Ko Tanha Kar Do Tum.. ![]() @};- @};- @};- @};- @};- @};- |
|
#72
| |||||
| |||||
| ~**... Mard ...**~ Mard kay baray mein likha shaid kissi aurat kay liyeah bohat asaan hoo.. aik do dost hain un say baat hoi tu unhoon nay yeahi kaha kay marad pay tu zaroor likhain gai aur aaina dikhayain gai marad ko.. mein nay jee zaroor.. magar woh tu aap tab dikhaiyeah ga jab daikhnay say fursat millay.. uss kay baad jo jo kuch sun'na para woh phir kabhi kay liyeah utha rakhtay hain.. Aik marad kay haysiyaat say khud ka ehtisaab karna bohat mushkil hai.. ehtisaab kissi aur kar karna hoo tu woh tu aisay hee hai jaisay saans layna hoo.. waisay bhi humain auroon kay baray mein baat karna aur un ke buraiyon ko barha charha kay paish karna asaan lagta hai aur youn bhi aaj kal kay door mein yeah rawaaj aam hai kay marad aurat pay tanqeed karta hai aur aurat marad pay tanqeed.. maksad donoon ka hee aik dojay ke tawajoo hasil karna hoota hai.. daikhnay mein aya hai jo dosri jins kay baray mein jita barha charha kay kehta hai woh utni hee tawajoo pata hai.. khair yeah aik behas talab baat hai aur issi pay shaid koi bhi al'll ilaan mutafiq na hoo.. magar mahir e nafsiyaat yeahi kehtay pa'ye jaatay hain kay har moa'shray mein aurat kay mukhtalif roop uss moa'shray kay marad kay liyeah hootay hain.. aur bilkul issi tarhaan mardoon jo tarhaan tarhaan kay roop dhartay hain woh bhi aurtoon ke khushnoodi hasil karnay kay liyeah hotay hai.. Marad aur aurat dono hee mukhtalif moa'shroon mein mukhtalif anwah o iqsaam mein paye jaatay hain.. agar hum in ke safaat ka jaiza layain tu humaray ilam mein aye ga kay har moa'shray mein uss moa'shray kay reet rawajoon say muansbat rakhtay howay mukhtalif sifaat kay marad o zan paye jaatay hain.. magar choonkay iss moz'oon mein sirf aur sirf mard ka zikar karna maqsood hai tu mein chand aik cheeda cheeda sifaat ka zikar karna chahoon ga.. jo umar kay iss behtay dharay mein hum nay behtay, doobtay, obhartay daikhay.. !! Farishta Sift Mard : Mardoon ke yeah qisam aab napaid hootee jaa rahi hai.. shaid issi liyeah shair hazraat yeh kehtay nazar aatay hain na tu farishta hai na mairay ishq farishtoon jaisa.. magar kaya kijiyeah Aadmi ko moyasar nahi insaan hoona ... aur saaray fasaad ke jar hee yeah hai hum insaan banay say pehlay aur bohat kuch ban'na chahtay hain.. aur iss kaar mein hum insan hoona aksar hee bhool jatay hain.. koi marad o zan ban baithta hai.. tu koi muslim o hindu bana baitha hai.. tu kaheen taqseem ka yeah alam hai kay issi pay iktafa nahi kee sindhi aur baloochi bhi ban baithay.. yeah taqseem dar taqseem ka amal jaari hai aur shaid yeah uss waqat tuk jaari rahay ga jab tuk naam e insaan khatam nahi hoo jata.. baat hoi farishta sift insanoon ke.. mairi bad'qismati kahiyeah kay in kay baray mein mein nay jitna bhi jana woh kitaboon mein hee parha.. ya phir un romanivee kahaniyoon mein jo sirf aur sirf khawateen kay rasaloon mein chapti hain aur jo un mein markazi kirdaar ada kartay hain.. waisay baat bhi mant'aqi hai.. insaan farishtoon jaisa hoo hee nahi sakta.. insaan aur khata ka chooli daman hai.. aur farishtoon mein hum nay ablees kay ilawa kissi ko khata kartay nahi suna.. tu woh khawateen jo baray shoq say iss farishta sift mard ke khooj mein hain.. woh shaid tamaam umar issi khooj mein rahain.. ya hoo sakta hai iss khooj mein woh marad ko tu na paa sakkain kisi farishtay ko zaroor paa layain.. shaid yeahi sooch kay City of Angels kay naam say aik film banaye gai.. yaqeenun uss kahani ko likhnay walli koi khatoon hee rahi hoo gi.. ! Shaitaan Sift Mard : Mardoon ke yeah woh qisam hai jo khawateen ko har dosray marad mein nazar aati hai.. aap kissi bhi aurat say pooch lijiyeah un ke mardoon kay baray mein kaya raye hai.. pehla aur hatmi jawab jo millay ga woh yeahi hoo ga.. Saaray marad hee shaitaan sift hootay hain... aab koi poochay in naik'bakhtoon say kay agar saaray marad shaitaan sifat hotay hain tu phir tu sari aurtain .................... . (kabhi kabhi zindagi pay payaar aa jata hai tu baat adhoori choorni par jaati hai... jeenay kay liyeah chup rehna bhi parta hai /wink3) Shaitaan yani kay iblees ke aurtoon say bohat banti hai.. aur uss ko aurtain bohat achi lagti hain.. aab iss pay mujh ko mukamal yaqeen hai kay mairay molvi bhai uth kharay hoon gai aur shuroo hoo jayain gai laa'n taan.. waisay yeah kehnay ka maqsad un kay ubadltay jazboon pay lafzoon ka thanda thaar pani dallna hee tha.. yeah bilkul waisay hee hai jaisay aap kissi ko keh dain mujh ko pata hai ab tum kaya karoo gai.. tu chahay sun'nay walla wohi karnay jaa raha hoo magar aap kay yeah kehnay kay baad woh chahtay howay waisa nahi kahay ga na karay ga.. yeah hi insaani nafsiyaat ka hissa hai.. /wink4 Haan tu kaha hum nay kay Shaitaan ke aurtoon say bohat banti hai.. aab iss pay molvi aitraaz karain ya na karain.. magar aurtoon ka vawailla machaana samajh mein aata hai.. zahir see baat hai koun chahay ga uss ka naam shaitaan kay saath liya jaye.. magar aap khud sochiyeah agar aap mard ko shaitaan sifat kahain aur phir aisay tamaam mardoon ka muta'laya karain jin ko shaitaan sift kaha jaata hai.. tu ilam hoo ga kay aisay tamaam mardoon ke ko jo jins sab say ziada pasand hooti hai woh aurat hee hoti hai.. tu agar shaitaan sift marad ke aurtoon say bohat banti hai tu khud sochiyeah shaitaan ke kitni banti hoo gi.. ? Magar woh sawaal tu waheen pay reh gaya.. keh shaitaan sift mard koun hain.. agar baghoor daikhain tu yeah shaitaan sift har marad kay andar badarja'e atum mojood hooti hai.. agar aisa na hoota tu larkiyon ko bayaahnay say pehlay un ke ma'yain aur bayahtaa sahailiyaan batoor e khaas mashwara e awal na dain.. hum nay daikha hai jab bhi koi khatoon bayaahi jaati hai uss ke jahaan aur bohat say mamoon mein tabiyaat hoti hai waheen yeah bhi tarbiyaat kee jaati hai kay marad ke iss shaitaan sift ko kaisay qaboo mein rakhna hai.. Magar shaitaan sift yeahi nahi hooti.. haan woh alag baat yeah bunyaadi hai.. shataani sifaat mein fasaad aur nafaq aur dosri bohat see shaitaaniyaan shamil hain.. magar hum un tamaam zamni khasoosiyaat ka baghoor muta'laya karain tu yeah baat wazeh hoo gi kay kissi na kissi toor baqi tamaam sifaat ka taluq kisi na kissi toor bunyaadi khasoosiyat say zaroor hoo jata hai.. !! Insaan Sift Mard : Agar tu aap pehli do iqsaam ka baghoor muta'laya karnay kay baad Insaan sifft mard kay iss hissay ko parhnay jaa rahay hain tu shaid aap issay parhnay kay baad pehli do iqsaam say mun'hiraf hoo jayain.. aur agar aap pehli do iqsaam ko parhay baghair issay parhnay lagay hain tu yaqeen janiyeah aap apna waqat bar'baad kar rahay hain.. kiyon kay jab tuk aap buniyaadi sifaat ko nahi parh laytay aap iss kisam ko nahi samajh saktay.. tu maira mashwara yeahi hai kay agay mat doriyeah.. saans phool gaya hai tu aik gilaas thanda paani pee lijiyeah aur agar rozay say hain tu khuda ra mujh ko gunah'gaar mutt kijiyeah.. Insaan sift mard, mardoon ke woh kisam hai jo iss duniya mein paye janay wallay 99.9% mardoon ka ahaata karti hai. yani aap keh saktay hain dunia mein jitnay bhi mard paye jaatay hain woh insaan sifat marad hotay hain.. yahaan insaan say muraad insaaniyaat na liya jaye.. insaan ka lafz jin mainoon mein istamaal howa hai uss kay baray mein tafseeli baat iss mazmoon mein agay jaa kay kee jaye gi.. ! Jaisay Farishta sift insaan ko samajhnay kay liyeah hum nay koshish kee pehlay farishtoon ko samjha jaye bilkul usi tarhaan insaan sift mardoon ko samajhnay kay liyeah zaroori hai pehlay insaani sifaat ko jana jaye.. Insaan nay jay moa'shray ke bunyaad rakhi aur woh moa'shray ko samajhnay kay qabil howa tu uss nay khud ko Social Animal kaha.. social anilam matlab kay samaaji janwar.. janwar woh hai jo jibalat kay matay'hat kaam karta hai.. aik shair ka bachay ke jibalat mein shikaar karna hota hai aur aik machlee ke jibalat mein tairna hota hai.. aur aik parinday ke jibalat mein urna hota hai.. bilkul waisay hee agar hum daikhain kay samaaji janwar kaya hai tu shaid hum uss ko kahain jo aik samajaj mein zinda reh sakta hai waisay hee jaisay machli paani mein jeeti hai aur yeah uss ke jibalat mein hota hai aur prinday ke jibalat mein urna hota hai.. Aab sawal yeah paida hota hai samaaj ya society kaya hai.. iss baat say shaid hee koi inkaar karay kay in ka wajood hum say hee hai.. matlab insaan hee in ke bunyaad dalta hai aur woh hee iss kay tab'ay zindagi guzarta hai.. samaaj kissi aik cheez ka naam nahi hai yeah muktalif cheezoon ke amizish say milla aisa murakab hai jis mein iss kay tamaam ajzaa'e tarkeebi apas mein youn ghul mill chukay hotay hain kay woh aik akaye ke sourat ikhtiyaar kar laytay hain.. marad aur aurat bhi issi samaaji murakab say milli akai ka hissa hotay hain.. Humaray iss moa'sharay mein marad mukhtalif roop mein milta hai.. kabhi woh ghana pair hai jiss ke chaoon mein sab baithna chahtay hain.. tu kabhi woh ba'qamaash wehsha hai jo har roz aik naye jisam kay sath aur kabhi kai jismon kay sath rehna pasand karta hai.. aur kabhi kabhi tu marad aik bay'his bay'jaan goosht ka loothra dikhaye daita hai.. magar mein yahaan yeah bat zaroor wazeh kar doon choon'kay marad har moa'shray mein mukhtalif andaaz say taraz e zindagi guzar raha hai tu zaroori nahi aik moa'shray mein paye janay walla marad dosray moa'ashray mein paye janay wallay mard jaisa hoo.. yahaan yeah baat bhi wazeh karna zaroori hai kay aik moa'shray mein paye jaanay wallay tamaam marad aik jaisay nahi hoo saktay.. chaliyeah pehlay hum daikhtay hain humaray moa'ashray mein jo marad paya jaata hai woh kiss kis rung mein milta hai.. Mardoon ke aur bohat see kismain hain.. magar mein sooch raha hoon kay jaisay shaitaan ke aant ke tarhaan yeah mozoo lamba hoota jaa raha hai mazeed likhoon tu shaid koi issay parhna bhi gawara na karay.. tu woh baki sab phir kabhi kay liyeah utha rakhta hoon.. aur intazaar kartay hain aur sathioon ka kay woh likhain iss mozoo pay.. aur hum un kay likhay say istafada hasil kar sakain.. muntazir aap sab ke tahrereeroon ka.. @};- Khush Rahiyeah Wa.Salam Basit |
|
#73
| |||||
| |||||
| ~**... Aai'traf e Shakast ...**~ Mairi bay'khawb ankhoon mein...jab koi khawb utar'ta hai... tumhara zikar karta hai... tumhari baat karta hai... naye manzar dikhata hai... mairi umeed bandhata hai... woh mujh ko batata hai... tumhain jo yaad rakhta hoon... tumhain jo likhta rehta hoon... yeahi tu mohabbat hai...aur kuch aisee mohabbat hai...lafzoon mein nahi hai joo Bara ziddi hoon mein bhi tu.. mein uss ke baat nahi manoon.. mohabbat aisi nahi hotee.. mohabbat ik samandar hai.. maira dil tu shakasta hai.. chahat mein tumhari mein.. tumhain bus yaad rakhoon aur.. tumharya naam likhoon kuch.. aur uss ko naam mohabbat doon.. bhala yeah kaisay mumkin hai.. mohabbat aisay nahi hooti.. Mein likhta hoon bari battain.. mein sab ko yaad rakhta hoon.. mein ab tuk bhool nahi paya.. uss ko bhi kabhi jiss nay.. ghar maira jalaya tha.. mein likhta hoon kabhi kuch tu.. uss kay naam bhi likhta hoon.. ussay bhi yaad rakhta hoon.. bhala mumkin hai yeah kaisay.. mein tum ko yaad rakhoon aur... tumharay naam likhoon kuch.. naam uss ko mohabbat doon.. nahi mumkin .. nahi mumkin.. Gar sunti hoo tu kehta hoon.. mohabbat hai tumhi say hai.. magar aisi mohabbat hai.. sochoon tum ko jab bhi mein.. koi sargooshi karta hai.. tumhara naam layta hai.. dil e nashaad ko mairay... koi abaad karta hai.. sahil kay kinray pay.. gharoonda sa banata hai.. zard udaas mousam ko.. rungoon say sajata hai.. mairi bay'khawb ankhon mein.. aanay wallay lamhoon kay.. sunehray khawb jagata hai.. woh mujh ko yeah batata hai.. mukamal hoon nahi tum bin.. Mohabbat qarz ke hai sourat.. mujhay yeah qarz chukana hai.. tumhain apna bana'na hai jeevan sung beetana hai.. chahat say mohababt say.. ik ghar ko sajana hai.. nai anjaan rahoon pay.. thamay haath chalna hai.. humain girnay say pehlay hee.. ik dojay ko thaam layna hai.. kabhi jo waqat bura aye.. ussay hans kay beetana hai.. kabhi jo kho koiyee jaye.. ussay awaaz daini hai.. ussay wapis bulana hai.. iss zid mein nahi rehna.. pehlay tum nay kehna hai.. pehlay tum nay karna hai.. issi ka naam mohabbat hai.. haan mujh ko hai... tumhee say hai.. Mairay lafzoon ke.. jazboon ke.. jo aanay hein un lamhoon ke.. khushi hai tum say wabasta.. mairay khawboon mein jo basti hai.. shehzadi woh tum hee tu hoo.. tum iss ko naam koi day do.. mohabbat ka ya chahat ka.. un'siyaat ka ya ulfat ka.. mohtaaj nahi kissi ke yeah... yeah jeete hain mairay dil mein.. lagaye kaan ahat pay... uss pal ke, keh jis pal mein.. tum aoo gi dabay qadmoon... inhain apna banoon gi.. seenay say lagaoo gi.. jab tum aoo gi tu sach mano.. yeah sab bool uth'ain gai.. mujhay tum say mohabbat hai... Tumhari iss mein khushi gar hai.. tu phir mein maan laita hoon.. keh tum say haar janay mein... jeet mairi hee tu hai janaan... mujhay tum say mohabbat hai.. mujhay yeah baat kehnay mein.. nahi hai zid koi tum say.. lo phir ik baar kehta hoon.. kahoo tu soo (100) baar kehta hoon.. mujhay tum say mohabbat hai... Mujhay Tum Say Mohabbat Hai... |
|
#74
| |||||
| |||||
| ~**... Badla Tairay Payar Ka Rung ...**~ Badla Tairay Payar Ka Rung.. Tu Sooch Raha Hoon.. Zindagi Ke Rah Mein... Sar e Rah Jo Mil Jayain.. Pehli He Nazar Mein.. Jo Dil Mein Utar Jayain.. Bun' Kay Khawb Jaisay.. Ankhoon Mein Bus Jayain.. Zaroori Tu Nahi.. Barhain Hum Jo Haath.. Tu Oorh Kay Qoos e Qazah.. Woh Daman Pay Bikhar Jayain.. !! Kabhi Kabhi.. Woh Loug Jo Ban Kay Khushbo.. Sansoon Mein Mehaktay Hain... Ho Kay Jaan Say Aziz,.. Seenay Mein Dharaktay Hain.. Ikhtiyaar Ke Hadoon Say Door.. Bohat Door Rehtay Hain.. Milna Chahoo Jo Kabhi Tu.. Ban Kay Sarab Woh.. Kharaboon Mein Miltay Hain.. Kuch Loug Ikhtiyaar Ke Hadoon Say Door.. Bohat Door Rehtay Hain... !! Badla Tairay Payar Ka Rung... Tu Soch Raha Hoo.. Tu Tu Sada Hisaar e Zaat Ke.. Qaid Mein Rahi Hai.. Barishoon Ke Mousam Mein Tu Nay.. Khawb Tu Bohat Daikhay.. Badloon Kay Khoof Ko Par.. Dil Say Na Nikala.. Uranoon Ke Khawhish Mein.. Tairay Par Tu Nikal Aye.. Bulandi Kay Dar Say Magar.. Qowat e Parwaz Nahi Ayee... Rungoon Ke Khooj Mein Tu Nay.. Rung Tu Bohat Paye.. Afsoos Tairay Daman Pay.. Qoos e Qazah nahi Bikhri.. Hazar Khushboo'on Mein Ghira Daikha Hai Tujhay.. Par Woh Tairi Khushboo.. Jo Aab Tuk Nahi Mehki.. !! Badla Tairay Payar Ka Rung.. Tu Sooch Raha Hoon.. Tu Nay Mujh Ko Kabhi Chaha Hee Nahi Tha.. Izhaar e Mohabbat Jo Kiya Tu Nay.. Woh Mujh Say Nahi Tha.. Khawahish e Mohabbat Ka Tu Nay.. Tajurba Kiya Tha.. Tairay Ehsaas e Mehroomi Ke.. Mein Bhaint Charha Tha.. Rawajoon Ke Zanjeeroon Nay.. Tujhay Bandha Howa Tha.. Kismat Kay Kiyeah Ka Magar.. Kaya Doosh Dharoon Tujh Pay.. Mairay Hathoon Mein Kaheen Bhi.. Tairay Naam Ka Jugnoon.. Likha Nahi Tha.. !! Badla Tairay Payar Ka Rung.. Tu Sooch Raha Hoon.. Iss Shakasta Badan Ko Lay Kar.. Aab Jaoon Tu Kahaan Jaoon.. Sar e Shaam Say Rug o Jaan Mein.. Jo Mehshar Hai Bar'Pa.. Koun Janay Thamay Yeah Tu.. Dam Rahay Na Rahay.. Aab Tuk Tu Taira Gham.. Wajood e Jaan Ke Girti Dar o Divaar Ko.. Thaamay Howay Tha.. Baad Tairay Tu Jeenay Ka Saleeq Bhi Bhool Gaya Hai.. Tairi Bay'wafai Ka Gilla.. Karoon Tu Kiss Say Karoon.. Tujh Say Tu Maira Aaisa Koee.. Rishta Bhi Nahi Tha.. !!! @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- |
|
#75
| |||||
| |||||
| ~**... Asteen Kay Saanp ...**~ Kehtay hain Nadaa'n dost say Aqalmand dushman behtar.. magar un ka kaya kijiyeah jo miltay hain tu dostoon ke tarhaan .. baat kartay hain tu lehjoon mein shehad hoota hai.. kanon mein rus ghooltay hain.. chehray pay muskaan saja kay rakhtay hain.. aatay hain aisay kay jaisay humaisha meharbaan thai.. par jahaan aap say alag hootay hain.. aap ke hee jarrain kaat'nay lagtay hain.. aur phir kaat'ay bhi aisay hain kay aap soch bhi nahi saktay.. !! Yeah loug jab kissi say miltay hain.. tu kehtay hain... "tumhain pata hai ... mein tumhain bachana chahta hoon.. woh shakhas jaantay hoo ussay .. haan haan wohi shakhas.. woh tu bara khatarnaak hai.. bach kay rehna uss say.. mujhay pata challa woh tu bara hee shaitaan sift shakhas hai.. woh tu kissi ka nahi.. woh bara adaakar hai.. woh tu aisa hai kay qatal kar dai .. pata bhi na lagay.. kaya kaheen tum uss kay daghay mein tu nahi aa gai.. sooch loo.. kaheen lutt hee na jaoo tum bhi.. woh tu makaar hai aisa.. mein nay pehlay daikha na kabhi.." Haan yeahi woh loug hain jo asteen mein paltay hain.. aap say miltay hain tu lagta hai aap ka koi aisa khair kha'waah nahi hai.. magar jahan aap nazar say door howay nahi... yeah aap kay khilaaf aisa zehar ugaltay hain.. jeena dobhar hoo jata hai.. mein janta hoon koi parsa nahi.. mein bhi nahi.. mein khud ko buraiyoon say mubara nahi samajhta.. insaan hoon mein.. magar yeah jo khud ko bana kay farishta rishtoon ka lay kay naam.. biyoopaar kartay hain.. jiss ghar mein rehtay hain uss ke hee bunyaadoon ko barbaad kartay hain.. sajjay sanwaray gulshan ko khaar khaar kartay hain.. tohmattain lagatay hain.. tehqeeq nahi kartay.. suni sunaiyee batoon ko barha charha kay agay paish kartay hain.. naam e mohabbat pay nafratoon kay ameer bantay hain.. yeah loug jo asten ka saanp ban kay humain hee dassa kartay hain...!! Yeah loug aisay kiyon hotay hain.. socha hai kaya kabhi.. yeah bay'chaaray mazaoor loog.. apahaj loug.. reham kay bhi qabil nahi hain.... yeah masoom bantay hain.. mazoor bantay hain.. apni gham ke baat kartay hain.. apnay dard ko sajatay hain.. barhatay hain... uss ke tazeen kartay hain.. ussay bazaar latay hain.. uss ko baichtay hain ... logoon ko batatay hain.. un ke hamdardiyaan bat'oortay hain.. kitnay ghanaoonay loug hain yeah.. soocha hai kaya kabhi... ? Mein kaya kahoon in kay baray.. mein nay daikha hai inhein.. yeah baat kartay hain saja kay sanwaar kay.. lehak lehak kay.. yaqeen dilatay hain.. uss sach kay jo inhoon nay jana hee nahi hoota.. uss ka parchaar kartay hain jissay jana hee nahi hoota.... mazoor loug yeah ... nafrat kay bhi qabil nahi hain.. yeah woh loug hootay hain.. jo humaray aas paas... humaray saath rehtay hain.. haan garaibaan mein jhankayain tu shaid millay koi aisa.. haan kaabhi aaina daikhain tu pehchaan payain gai inhain hum..! Yeah loug koun hain.. yeah loug hain woh loug.. jo humaray dost hotay hain.. jo khair ke baat tu kartay hain.. magar shar ka beej bootay hain.. visaal kay naghmay gatay hain.. hijar ke bunyaad daaltay hain.. mohabbat ke oot say yeah loug.. nafrattain phailaatay hain.. kiss lieah akhiar.. kiss liyeah akhir.. khud ko samajhtay hain kaya yeah loug... hain yeah kaya loug.. nafrat kay bhi qabil nahi hain yeah tu ... sharam ati hai in ka sochoon tu.. yeah asateen kay saaanp jaisay loug.. yeah doghlay.. nazroon say giray bay'hiss bay'jaan loug.. Qasmoon wadoon ko bay'mool karnay wallay loug.. yeah jhooti sachi baatain karnay wallay loug.. yeah mohabbat ke bheek mangnay wallay loug.. naqaab orhay auroon kay ujlay chehroon pay daagh laganay wallay loug.. yeah khoobsourat battain karnay wallay qabeeh sourat wallay loug.. yeah nafas kay agay ghutnay taikay wallay loug.. yeah sadiyoon say apnay hee nafas kay mehkoom loug.. hakim ban'nay ke khawahish liyeah dil mein.. kaya kaya kartay phirtay hain.. kiyon yeah sab kartay phirtay hain.. . Kabhi sochtay nahi hein yeah loug.. haan battain kartay hain sab he loug... ratoon ko jaag jaag kar.. roshni ke battain kartay hain.. andhairoon ko kehtay hain zia hum say hai.. masoom chehroon ko warghalaatay hain.. un ke abroo say khailtay hain.. unhain naghmay suntay hain.. koi bhi milta hai ussay yeahi naghma sunatay hain.. mein hee hoon woh shakhas.. tairi tunhaiyoon ka ameen hai joo... haan hain yeahi woh loug.. jo lafzoon ko paroo paroo kay.. jazboon ke tazheek kartay hain.. Yeah asteen kay saanp jaisay loug.. kitnay nadaan hain yeah loug... samajhtay hain nahi janoon.. mein in kay un sab waroon ko.. jo mairi peeth pay yeah kartay hain.. nahi pehchanoon.. baray nadaan.. baray nadaan hein yeah loug.. yeah jaan'ta nahi.. mein janta hoon ... in kay sabhi chehroon ko pehchaanta hoon.. iss liyeah nahi kay mein janta hoon.. iss liyeah kay yaqeen hai mujhay.. USS pay jo janta hai sab kuch.. jo janta hai in ko bhi.. woh bata daita hai mujhay.. ehsaas dila daita hai mujhay.. !! Yeah jo loug banay mohtaram mehfiloon mein dhaak bithatay hain .. yeahi woh loug hain jo mairee hee asteen mein pallay.. aaj mujhee ko das rahay hain.. gilla in say nahi mujh ko.. mein kiyon koi harf in bay'mool logoon pay zaya karoon apna.. in say kahoon bhi tu kiyon kar kahoon mein ab kuch.. mujhay kuch kehnay ko woh IK he jo kaafi hai.. mujhay uss ko hee sun'na hai mein in kay bay'kaar batoon pay kaan dharoon kiyon kar.. magar in ko itna tu kehna hai mujhay ik baar.. keh aab jab baat karna tum.. bus itna jaan layna keh.. akaas bail kitnee bhi bulandi pay chali jaye.. jab woh shajar girta hai... jiss ke jaroon ko woh kaat'tay rehtay hain.. woh jab pair marta hai.. wajood akas bail ka bhi nahi rehta.. !! Yeah asteen kay saanp jaisay loug.. khuda jaanay kab mairee jaan choorain gai.. iss qabil bhi tu nahi hain keh.. nafrat hee kar sakoon in say.. hansi aati hai in pay bus.. khuda in ko hadayat dai.. - Ameen @};- |
|
#76
| |||||
| |||||
| ~**... Sitaray Toot Jaatay Hain ...**~ Sitaray toot jaatay hain... khawboon kay jazeeroon kay.. kinaray doob jaatay hain ... jab apnay rooth jaatay hain.. shaam kay sunehri anchal ko... aag jala'anay lagti hai.. saddain shoor machati hain... katoora jaisi ankhoon mein.. jhaari see lag jaati hai.. saharay chooth jaatya hain...kh |