It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu writer - Abdul Basit within the Abdul Basit forums, part of the Collection of HG Writer's Work category; .................... .................... .................... ................
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#61
| |||||
| |||||
| .................... .................... .................... ............. |
|
#62
| |||||
| |||||
| .................... .................... .................... . |
|
#63
| |||||
| |||||
| ~**... Shab'e Khair ...**~ Waqat hoo chala hai chand lamhoon ko ankhain moond kay... kissi khawb ka paloo thaamay door wadyoon say aati mehakti hawa mein... urtay jugnoon kay peechay dorrtay... unhain pakarnay ke chah mein thak kay gir janay... aur phir waheen kissi pathar pay sar rakh kay... kissi bhoolee bisree yaad ke chaoon ko jisam mein youn utarnay ka keh... saaray din ke thakan mitt jaye... !! Shab e Khair..... |
|
#64
| |||||
| |||||
| ~**... Mujhay Meethi Neend Sula Do...**~ February 1987 Sab kuch badal gaya, tum jo challay gai hoo.. asmaa hee chup gaya hai.. sehan mein laga tha jo... peepal woh gir gaya hai.. aab chaoon nahi hai milti.. dhoop daira jamaye baithi... sab loug badal gaiy hein... woh chehray bhi jo tumhari .. khushnoodi ko har pal.. miltay tu khil say thai jaatay.. ab miltay hain kahen tu... nazrain chura kay guzar hain jaatay.. kaya daikhtay ho tum bhi.. yeah kaya hoo raha hai.. khairaat mill rahi hai.. waqat ruk gaya hai daikho.. loug hans rahay hain daikho.. mool barh rahay hain daikho.. dar lag raha hai daikho.. koi khoo gaya hai daiho.. tum tu nahi hoo kaheen woh... kiyon aisay lag raha hai.. yaheen kaheen pay hoo tum.. daikh nahi mein sakta.. mehsoos kar raha hoon.. kaya bool rahay hoo kuch tum.. mein keh raha hoon kaya kuch.. sun rahay hoo kaya tum.. choor kay mujh ko tunha.. challay gai kahaan ho.. bullawa aa gaya tha.. ? par aisa kiyon howa tha.. battain theen mujh ko karni.. chutti kay din hum nay... sahil kay kinaray.... seepiyaan ikathee kar kay.... gharoonda bana kay koyee.. lehrain thee pakarni.. ya jhoot moot ka roo kay.. zid tum say thi mujh ko karni.. woh saray kaam humaray.. adhooray reh gai hain.. tum jo khoo gai hai.. bulawa jo aa gaya tha.. !! loug mujh say poochtay hain.. itnay baray ho phir tum.. bachay say ho kiyon lagtay.. mein kaya kahoon un ko.. mara bachpan guzar raha tha.. hath thaam kay tumhara.. phir youn howa ik din.. mein so gaya tha shaid... din jo charaha tu daikha.. sab bayain kar rahay hain.. sab tum ko roo rahay hain.. poocha kaya hoo gaya hai tum ko.. kiyon roo rahay hoo itna.. kehnay lagay woh mujhay say.. tamhara baap mar gaya hai.. yateem hoo gai ho tum ab.. mein kaisay maan layta.. men kaisay tum ko roota.. mehsoos kar raha tha.. mein pass tum ko apnay.. din woh guzar gaya par.. woh lamha thehar gaya hai.. tum tu challay gai thai.. peechay mein reh gaya tha.. sab kehnay lagay phir mujh ko.. yeah baap kay hai jaisa.. hoo bahoo hai waisa.. choota sa tha mein bacha.. ban'na bara tha mujh ko.. woh bachpan jeeta tha jo mujh mein.. thapak kay ussay sullaya.. ban kay bara dikhaya.. laykin karoon mein kaya ab.. tazaad mein ghira hoon.. bara tu hoo gaya hoon.. tum sa mein ban gaya hoon.. laykin woh nanha bacha.. kandhay pay bitha kay jis ko.. sahil pay tum thai jaatay.. kahaniyaan thai sunatay.. sulata hoon mein uss ko.. par jaag woh hai jata.. ziddain ajeeb karta... kehta hai mujh ko woh yeah.. mairay baap ko bula do.. mujhay meethi neend sulla do.. !!! . |
|
#65
| |||||
| |||||
| ~**... Sacha Jhoota ...**~ Zabat ke aik had hoti hai.. had tu har cheez ke hooti hai.. logoon ko sacha banay ka shouq hai bohat.. baat baat mein khud ku sacha sabit karnay baith jaatay hain.. yeah sab khud ko acha bananay kay liyeah kiya jaata hai.. aur hum acha shaid iss liyeah ban'na chahtay hain kay iss say auroon ke tawajoo hasil kee jaa sakay.. rounaq e mehfil bana jaa sakay..!! Hum nay logoon ko rung rung kay faraiboon mein mubtala daikha hai.. wohi bhi daikhay.. jo lougoon ke hamdardi batoortay hain.. koi koshish nahi choortay khud ko mazloom sabit karnay mein yeah loug.. kabhi mazoor ban jaatay hain khud ko apahaj kehtay hain. tu kabhi bistar e marg pay baith kay aah o kanaan kartay hain.. aur kabhi ujaray daman ka soog rachatay hain.. Hum yeah nahi kehtay loug achay nahi hotay.. hum yeah bhi nahi kehtay logoon pay zulam nahi hootay.. magar woh jo inhain senay pay saja kay daad o tahseen kay tamanaye hain.. faraib dai rahay hain.. khud ko tu janay kab say hee dai rahay hain.. par woh jo sar rah guzar un ka behroop daikh kay ruk jaatay hain.. un say baat karnay lag jaatay hain.. un say izhaar e humdardi kar daitay hain.. jab yeahi loug iss izhaar e humadardi ko aur rung daitay hain tu bohat uljhan hooti hai.. !! khud ko mazloom sabit karna aur iss ke bunyaad pay humdardiyaan hasil karna aur paak baaz ban'janay ke reet bohat purani hai.. aap aah o baka karain koi aap kay daman kay daakh ko nahi daikhay ga.. aap vawayla machayain loug aap sang chilaana shuroo kar dain gai.. yeah aik azmoodah nuskha hai.. aur iss say bohat say faizyaab hootay hain.. hoo rahay hain.. hootay rahain gai.. !! par sochta hoon kaya kabhi un ka zameer un ko malamat bhi karta hoo ga.. kaya kabhi woh pal ko yeah bhi sochtay hoon gai.. kaya paa liya hai.. kaya mill gaya hai.. sar do sharam say gar jaana chahiyeah aisee bheek mein mangee nazar e karam pay.. magar hum loug janam say bhikaaree hain.. !! paida hootay hain tu izhaar e khawhaish ko rootay hain.. aur phir tamaam umar issi sung zindagi beeta daitay hain.. magar joon joon mairee muthee say sansoon ke naqdi phisaltee jaa rahi hai yeah ehsaas ghalib aata jaata hai.. yeah zindagi jo hum beeta rahay hain.. jis rawaish pay yeah jaa rahi hai.. yeah humain kissi manzil ke taraf tu nahi lay jaa rahi.. balkay yeah tu uss azli manzil say bhi bhatka chukee hai humain.. jo humaree meeraas thee.. !! par kaya kijiyeah.. adaat hoo chali hai.. aur woh adattain jo zindagi pay moheet hoon.. un ka iktataam tu zawaal e hayaat kay baad hee howa karta hai.. tu kaya phir yeah tay hai.. jo pal reh gaiee hain woh bhi issee khairaat ke aas mein younhee khud ko aur auroon ko jhota sacha faraib daitay guzaray gi.. ? |
|
#66
| |||||
| |||||
| ~**... Khud Kalami ...**~ Ansoo Jo Bujh Gai Thai.. Lehjoon Say Beh Rahay Hain.. Lafzoon Mein Dhal Gaiye Hain.. Tairi Rah Jo Tuk Rahay Thai.. Woh Khawb Mar Gai Hain.. Woh Raat Ka Musafir.. Ankhoon Mein Payaas Lay Kar... Jo Chal Para Tha Tanha.. Tairay Shehar Say Jab Nikla.. Pathar Ka Ho Chuka Tha.. !!! Woh Payaas Ka Samandar.. Payaasa Hee Reh Gaya Hai.. Safeenay Jo Chal Rahay Thai.. Sahil Pay Jaa Lagay Hain.. Woh Daway Karnay Wallay.. Mohabbatoon Kay Paykar... Woh Shaam e Gham Kay Saathi.. Woh Naghmay Gaanay Walay.. Jaa Chukay Hain Kab Kay.. Phir Kis Aas Kay Saharay.. Yeah Dil Maira Akayla.. Dareechay Pay Khara Hai.. Kiss Rah Ko Tuk Raha Hai.. Kiyon Bayain Kar Raha Hai.. !!! |
|
#67
| |||||
| |||||
| ~**... Sanwali ...**~ Kal shab pichlay pehar ik khawb nay darwazay pay dastak di... sanwli rungat liyeah roobaroo aan khara howa.... sayaah ankhoon mein khawahishain naach rahi theen.. khullay asmanoon mein.. unchee uranoon kee.. badloon ke sawari kee... kissi door kay dais mein sunahree kissi jheel kinaray.. naram ghaas pay utree shabnam pay... nangay paoo ghanay darkhatoon ke kitaar sung,hathoon mein haath liyeah door jahaan naye din kay souraj ke kanwari kirnain pehli raat ke dulhan jaisay.. apnay hee roop say sharmati zameen kay seenay pay bay khud hoo kay apna aap luta daiti hain.. wahaan talak janay ke khawahishain... kaya bataoon un bolti sayah ankhoon ke ba'bat... Kaya kahoon uss khawb ke babat... naam lay kay jab pukara tha us nay... kitna hairaan hoo kay takka tha mein nay... apna naam hee bhool gaya tha mein tu... sehra mein khara tha mein tu... uss nay tu saraab sa ghair liya tha mujh ko... sehar tha koi jis nay jakar liya tha mujh ko.. uss ik lahmay mein kitni hee sadiyaan bitayeen mein'nay... hasratoon kay jungloon mein... bin manzil rastoon pay bay naam justajoo liyeah kitni door nikal gaya tha mein bhi..... kitni hee bay maksad battain kee theen... pichlay safar kee thakaan ke battain.. dashat mein guzray jo din unkay azaab ke battain... ainda dinooon say wabasta aas ke battain.. !! woh gharee millan ke jo hijar sung layee thi.. Uss ik gharee mein kaya kaya na bahanay dhoonday.. uss ko rook lainay kay.. kissi shaam phir say milnay kay... parbatoon kay uss paar undaikhee wadiyoon kay kitnay hee qissay gahray... lehjay mein kaisay ik zamanay ke payaas bhar kay kaha tha mein nay.. mill kay challain gai kissi roz.. tum phir say milna... dhanak kay us paar ik ghar hai wahaan tuk chalna.. uss ghar mein soya ik khawb hai, palkoon pay saja laina... khila uss mein ik gulaab hai, jooray mein laga laina... nazar na lag jaye zamaanay ke.. sab say chuppa laina us ko.. Mairi bay rabat batoon pay kaisay laboon pay uskay.. dabay paoon hansi utar aye thi.. aur phir kitnay hee rujhaoo say kaha tha uss nay.. mushkil hai bohat mushkil hai Basit... ittefaaq say millay hain hum aaj.. ho sakay tu issi ko ghaneemat janoo.. phir say milnay ke yeah hasaratain na paloo... dashat kay musafir ho tum tu, na youn sarab sahil mein panaah loo.. lafzoon ke khaiti kay yeah mehaktay shagoofay... samait loo saray, kaam ayain gai in ko sambhal loo.. Kuch bhi tu na keh saka tha baad iss kay... bay maini hansi ke baat kar kay.... ankhoon mein utar ayee namee ko kaisay chupaya tha mein nay.. aur jab bicharnay kee sa'at aan pohanchee... jaisay rooth gaya hoon uss say... palat kay bhi na daikha na hath hilaaya tha mein nay... Par wapsi kay karray safar mein, kaisay dil e baychain ko sambhala tha mein nay.. kaisay bayikhtiyaar hoo kay uss ko pukara tha mein nay.. Sanwli..!! |
|
#68
| |||||
| |||||
| ~**... Dil Chahta Hai ...**~ Dil Chahata hai.. kaheen jungloon mein kissi waadi mein kho jaoon.. kiss darakhat ka saya ban jaoon.. kaheen say pankh milain ban panchi urta phiroon.. barishoon mein bheegta rahoon.. urtay urtay wajood shal hoo jaye.. badal utha lain mujhay.. hawa thaam lay mujhay.. sakoon dhoonta phiroon kaheen na millay.. ghar ke khawahish karoon ashiyaan na millay.. chand hairat say takkay.. kinaray darya kay chandini mein nahatay do bandan mairi koonj sunayain baychain hoo jayain.. koi sargooshi karain.. pighal jayain.. uthay ik lehar beha lay jaye sab.. mein urta hee rahoon kay pohanchoon kabhi door uss wadi mein jahaan jharoon say pani motiyoon jaisay girata hai.. jahaan barf ke chadar urhay boorhay pahaar sadiyoon say apnay wajood ko dharay soo rahay hain.. jahaan neeli gehri jheel kinaray door tuk mairay hee qabeelay kay loug baithay janmoon ke payaas bujha rahay hain.. ik boond payaas liyeah |