Kharaman Kharaman...! | |
Woh pass a rehe hain, karaman kharaman....
Hum gire ja rehe hain, Kharaman kharaman
Woh paas aa ker, kiya kehain ge hum se
Hum guess laga rehe hain, Kharaman kharaman
Jo nuzur peri un ke haath per apni
Hosh urre ja rehe hain, kharaman kharaman
Un ki chal main kiya ajab dilkushi hai
Hum tuke ja rehe hain, kharaman kharaman
Abhi bhi woh aa rehe hain, kharman kharaman
Aur hum gire ja rehe hain, kharaman kharaman
Woh aa ker paas, dekhte hain humain aise
Hum bhi ghoore ja rehe hain, kharaman kharaman
Aur jo huwi, aahista se, un lubon main junbish
Kaan sune ja rehe hain, kharaman kharaman
Ae tere baap ki zameen ae, jo keha unhon nain
Hum mitte ja rehe hain , kharaman kharaman
Tera license zabt ker doon ga piyaare
Aur hum mare ja rehe hain, kharaman kharaman
Jo cheene meri gaari ke unhon ne kaaghzaat
Hum roye ja rehe hain, kharaman kharaman
Phir kehte hain piyaar se, ke babu jee
kahan ja rehe hain, kharaman kharaman
Abhi churhe ho huthe, abhi se yeh haal
Ke kute ja rehe hain, kharaman kharaman
Is gustaakhi ki saza to mile gi tujhe piyare
Duty diye ja rehe hain, kharaman kharaman
Do dus ke naut hain, to woh bhi nikaal lo
kahan phunse ja rehe hain, kharaman kharaman
Kiya arz hai babu, hum hain naan yahan warid
Yaan hum thane ja rehe hain, kharaman kharaman
Thane ka sun ker meri, bujne lugi jo sitti
Woh hunse ja rehe hain, kharaman kharaman
Apne butwe ki hajamut ka soch soch ker hum
Dua kiye ja rehe hain, kharaman kharaman
Woh dete huwe, apni moonchon ko tao
Maal gine ja rehe hain, kharaman kharaman
Hum dil main dubaaye, gaaliyon ka toofan
Aur Dabe je rehe hain, kharaman kharaman
Abhi meri baari khutum bhi na huwi thi
Aur bhi phunste ja rehe hain, kharaman kharaman
Is nokeri ko Wellah, mera bhi kere mun
Woh bunaye ja rehe hain, kharaman kharaman
Un ki aik dihari aur khoon ke ghoont hum
Piye ja rehe hain, kharaman kharaman
Kiya suhani woh ajab mulaqaat thi apni
Yaad kiye ja rehe hain, kharaman kharaman
Us aik mulaqaat ka yeh huwa asser
Ab cycle pe ja rehe hain, kharaman kharaman |