Mera Maazi...! | | Na mustaqbil ki fiker hai, na haal ka ghum hai
Mere seene main basa to maazi ka alam hai
Woh maazi, woh baap meri azmeton ka
Woh maazi, woh daur mere faatihon ka
Woh maazi, woh lushkur-e-Islam ka chumun
Woh maazi, woh mere shaheedon ka wutun
Mera Maazi mere aslaaf ki ta'meer tha
Mera maazi mere buzurgon ki teqdeer tha
Mera maazi rehmut tha, mere deen per
Mera maazi junnut tha, is serzameen per
Yehi maazi qabar hai, meri husraton ki
Yehi maazi aaina hai, meri ghuflaton ki
Yehi maazi hai ab meri zaat ka mehwer
Yehi maazi hai mere saahil ka tussuwwur
Ab haal main rehna hai, humain umer bhur
Kiya gila maazi se, kiya shikwa, kiyoonker |