Tum ne Hi Majboor Kiya Hai
Mujh ko Raah Badalney Par
Jeewan ke Be-Ant Safar mein
Ghair ka Ho kar Chalney Par
@};-
Main ne Tumhari Aashaaoo'n ka
Har har Roop Saraaha tha
Main ne Apna Aap Bhula kar
Tum ko toot ke Chaha tha
@};-
Umar ki Ujli Deewaroo'n par
Qismat Ka Anshyaara tha
Aur Bohat they Sooraj lakin
Tum sa Charaagh hi Payaara tha
@};-
Lakin Tum hi Merey Maseeha
Nafrat ke Saanchey mein Dhal Kar
Ik Din Merey Saamney Aa gey
Qatil ka Behroop Badal Kar
@};-
Ab kya Shikwa , Kaisi Shikaayet
Chahat ke Sab Rishtey Kachey
Main bhi Aur Tum bhi Harjaayi
Main bhi theek aur Tum bhi Sachey
@};- @};- @};-