La'KaLaM...! | |
mousam aik ke baad aik atey hain
guzar jate hain
aik dosrey se baat kiye bina
sirakte jate hain
guzarte lamhoon ko
takti jati hoon
kuch zakhmi yadein hain
unhain rafoo karti hoon
waqt ka marhaam rakhti hoon
yaheen pe khari hoon be'awaaz
sab se guftagu hoti hai
khud se la'kalam ho kar... |